Computer me Whastapp kaise chalaye ya Download kare.

Whatsapp ek messaging app hai jise sab chalete hai isme koi shak nahi hai. Har koi user apne android mobile, windows, iOS me Whatsapp chala raha hai. Par aapko shayad ye nahi pata hoga ki hum apne Computer me bhi Whatsapp ke web version ko aasani se chala sakte hai.

Aaj hum Aapko apni is post me batane wale hai ki, Aap Whatsapp web ko use karke kaise apne Whatsapp account ko Computer me khol kar chala sakte hai. Ab agar aap ye soch rahe hai ki hume apne computer me Whatsapp ko download karna hoga to aap galat hai kyoki whatsapp ke web version ko chalane ke liye hame Whatsapp download karne ki jarurat nahi hoti hai. Bas hume mobile me install Whatsapp se scan karna hota hai uske baad hum apne computer me whatsapp chala sakte hai.
Computer-me-whatsapp-web-kaise-chalaye

Computer me Whatsapp kaise download kare

Vaise Agar aap Apna Whatsapp Computer ya Laptop me chalana chahte hai. To hume Android App player : Bluestack name ka software install karna padta hai. Jisse hum whatsapp ke alava aur dusre app bhi use kar sakte hai. Lekin agar aap ise install karte hai to computer hang hone lagta hai kyonki yeh software computer ki jyada memory use karta hai. Lekin agar aap sirf Whatsapp ko chalan chahte hai to niche diye gaye link se whatsapp ka app download kar sakte hai.


Download

Par ab chinta ki koi baat nahi agar aap keval Computer me Whatsapp chalana chahte hai. To, mai aaj aapko esi trick batane ja raha hu jisse aap kisi bhi computer/laptop me Whatsapp ko aasani se chala sakte hai.

PC aur Laptop me WhatsApp kaise chalaye

STEP-:1 Whatsapp ko chalane ke liye Sabse pahle aapke computer me koi sa bhi browser jese – Mozilla Firefox, Google chrome , Opera mini me se koi bhi ek browser install kar lijiye aur URL search box me web.whatsapp.com likhe aur Enter kar de.
STEP-:2  Site open hone ke bad me Aap ko ek QR Code dikhai dega is QR Code ko aapko apne mobile se scan krna hai. Par ise kisi scanner se scan nahi karna hai balki aapko ise whatsapp ke scanner se scan karna hai iske liye aap Apne mobile ke whatsapp ko khole aur menu me whatsapp web ko select kare jisse ek scanner open hoga.
computer-me-whatsapp-web-chalaye
STEP-:3 Scanner open hone ke bad computer ke browser me jo QR code dikh raha hai use whatsapp scanner se scan kr lijiye jaise hi apka mobile us QR ko scan krega aur aapke computer ke browser me kuch hee second me whatsapp start ho jayega ab aap apna whatsapp mobile aur computer dono me ek sath chla skte hai.

Whatsapp ko apne computer me Logout kaise kare

Whatsapp log in karne ke baad ise off krne karna hoga Aap chahe to Computer ya mobile dono me se kisi bhi tarike ka use kar sakte hai.



Computer me whatsapp log out kaise kare

STEP-:1 Web.whatsapp ke page par apko Chat list ke upar 3dot dikh rahe honge un par click kare aur phir Log out button par clic kare.
computer-me-whatsapp-web-logout-kaise-kare
STEP-:2 Ab Aapka whatsapp log out ho jayega aur aapki screen par firse qr code show hoga jise scan karke aap fir se whatsapp ko apne computer me run kar sakte hai.
whatsapp-web-ka-qr-code
Toh is tarike se aap apne computer me whatsapp web chala sakte hai. So enjoy kijiye apne whatsapp ko vo bhi apne computer or laptop me. Lekin Ek bat ka dhyan rakhe ki Aapke computer me whatsapp tab hi chalega jab mobile me whatsapp on hoga.
Aapko hamari post kesi lagi hume comment kr jarur btaye aur is post ko jyada se jyada apne dosto ke sath Facebook par share jarur kare.

Yeh bhi padhe:-

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare