CD/DVD kaise burn kare ? Nero se cd aur dvd burn kare.

Namaskar Dosto, Aaj hum janenge ki Nero ki madad se C.d. Or D.v.d. kaise bharte/burn karte hai? nero ek cd dvd burnig sofware hai Aaj kal bazar me data transferring aur data store karne ke liye pan drive, Hard disk avalible hai par kuch samay pahle data transfer aur store karne ke liye C.d. aur D.v.d., Floppy ka use kiya jata tha aur aaj bhi kiya jata hai.
cd dvd kaise bhare

Agar humne ek data sheet, video, files teyar ki hai aur hume yeh data kisi dusri jagah pahuchana hota hai to hume oos data, files ko cd ya dvd me burn karna padta hai par iske pahle hume cd dvd  ke bare me kuch jaruri chije bhi pata hona chahiye jaise ki Cd, dvd me kitna data store kar sakte hai?, cd, dvd ko kitni bar use kar sakte hai?  Es post me hum apko Computer me cd kaise burn kare, cd kaise banate hai.
Cd, Dvd me kitna data store kar sakte hai ?

Friends, Cd me hum 760MB tak ka data store(rakh) sakte hai ya burn kar sakte hai Aur Dvd me 4.74 GB tak data burn kar sakte hai?
Ek Cd ya Dvd ko kitni bar use kar sakte hai?

Cd aur Dvd ko keval hum sirf Ek bar hi use kar sakte hai yani ki agar humne cd aur dvd me ek bar data dal ya burn kar diya to hum phir se use nahi kar sakte hai keval oon data files ko copy, delete kar sakte hai.
Re-writeable Dvd aur non ReWritable Dvd kya hoti hai ?

Esi Cd, Dvd jisme ek bar data burn karne ke bad hum oose dobara use me nahi la sakte oose non- Rewrite able Cd ya Dvd kahte hai thik iska ulta hai Re-writable easi Cd ya dvd jise Ek se jyada bar read aur write kiya ja sakte yani ki apni jarurat ke anusar hum iske data ko delete aur phir se burn kar sakte hai ise Blue-ray disk bhi kahte hai.

Nero Burning Rom se Cd aur Dvd Burn kaise karte hai?

Cd aur Dvd burning ke liye internet par bahut sare software avalible hai jaise-Nero, Iso, Cd burner par Nero cd dvd Burner Software bahut popular hai isliye hum yaha nero burning software se cd aur dvd kaise write kare ye dekhenge, par pahle apne computer Nero Software download aur install kar lijiye. Aap nero cd dvd burner free download kar skte hai


STEP-:1 Sabse pahle Computer ya laptop ke Dvd drive ko open kare aur usme Cd ya dvd dale aur phir Dis burner Nero Software Open kar lijiye.
    STEP-:2 Favourites Me jaye aur Make Data Dvd par click kare.

     Cd dvd burner free download kare

    STEP-:3 Make Data Dvd par click karte hi aapke samne ek windows open ho jaygi jaisa ki main niche image me dikhaya hai tab Add button par click kare.

     cd dvd burning kaise kare

    STEP-:4 Ab aapke samne Add files and Folder ka Browse box open ho jayega usme apni files select kare jinhe aap Dvd me burn ya dalna chahte hai.

    STEP-:5  Files check kare ke baad me burn karne ke liye Next Button par click kare.

     cd dvd ko bootable kaise banaye

    Note:- Jin files ,folder, audio, video ki list yaha show hogi agar inme se aapko koi file hatana hai to oose aap abhi hi remove kar dijiye kyonki baad me aap ise nahi kar sakte hai aur niche dikhai de rahe status ka bhi dhyan rakhe ise red na hone de kyonki Red colour Out of limit ko show karta hai.

    STEP-:6 Agar aap dvd ko kuch name dena chahe to Disc Name ko change kar sakte hai ya nahi to ise Default (My Disc) hi rahne de aur Burn Button par click kare. Ab Dvd Burn hona start ho chuki hai isliye Drive me se cd ya dvd ko Remove na kare nahi to burn abort ho sakta hai aur dvd crack bhi ho sakti hai phir aapki dvd koi kam ki nahi rahegi.
      STEP-:7 Congratulation! aapki data Dvd Successfully burn ho gayi hai.
      Dvd completely burne hote hi automatically Dvd Drive se bahar ho jayegi, Ab aap is dvd ko kisi computer ya laptop ke drive me laga kar iske data ka use & copy kar sakte hai


      No comments:

      Post a Comment

      Apna Comment Kare