Top 11 तरीके कंप्यूटर पर Typing स्पीड कैसे बढ़ाये या Improve करे |

Hy Guys, Agar aap kisi cafe ya computer shop par jate hai aur computer operator ki typing speed ko dekh kar heran ho jate hai. Ki in logo ki keyboard par typing speed itni fast kaise hoti hai. To mai aapko bata du ki esa karna koi badi baat nahi hai. Aapko kuch dino tak mehnat karna hoti hai aur phir dhire-dhire aapki typing speed badhne lag jati hai. Aaj is post me aapko kuch ese hi #Top11 Tips dene wale hai jiski madad se aap apni typing speed ko kafi had tak badha sakenge.

Computer 💻 operator ki words type karne ki speed ko mapne ke liye WPM (Words Per Minute) ka use karte hai yani ki ek minute me koi user kitne words type kar sakta hai. Aur vese bhi aaj ke time ki Vacancies aur other work me 40-45 words/minute English aur 30-35 words/minute Hindi typing me speed require ki jati hai. Agar aap kisi computer operator ki Job karne ja rahe hai to aapki typing speed kaphi achhi yani ki typing speed fast hona chahiye. Agar aapki computer typing speed fast nahi hai. To mai aaj aap logo ko bataunga ki apni typing speed ko kaise fast kare?
computer-typing-speed-kaise-badhaye
Yaha par mai aapko kuch Rules (niyam) bata raha hu jinhe follow karke apni typing speed badha sakte hai.Agar aap hindi (हिंदी) typing sikhna chahte hai to hamari yeh post bhi padhe. Jisme humne computer me Hindi font kaise install kare, sikhe ke bare me puri jankari di hai.

Computer Keyboard par apni Typing Speed kaise badhaye?

Friends Typing speed ko badhane ke liye aapko kuch Rules ko follow karna padega. Jisse aap kuch hi dino me apni typing speed fast karenge aur dekh payenge ki aapki typing speed badh chuki hai.

Rules 

1. Jab kabhi bhi computer system par Typing karne bethe apni kamar ko sidha rakhe aur apne panv(foot) jamin se tika kar ya niche ki aur rakhe taki aap system ke samne strait baith sake. Jisse hand position keyboard par ek dam perfect rahegi.
typing-karte-time-position-dhyan-rakhe
2. Agar aap first time Typing sikh rahe hai to Start karne se pahle Keyboard ko achchhe tarike se dekh lijiye aur words ki position ko dhyan rakhne ki koshi jarur kare.
3. Apni unglio ko hamesha “ ASDF, JKL; ” par rakhe. Ise keyboard me "Home Row" kahte hai. Typing start karne se pahle aapko isi position par hath rakhna chahiye aur typing start karna chahiye. 
keyboard-typing-home-row-position-hand
4. Apne liye comfortable size's keyboard select kare. Jis par aap achchhe se type kar sake aur keyboard to thik tarike se samjh sake.
5. Apne Left hand ki anguliyo ko 'ASDF' aur right hand ki anguliyo ko 'JKL;' ke anusar rakhe aur dono hath ke thumb ko thoda upar utha kar rakhe taki keyboard par koi button na dabe. Thumb ka use aapko keyboard se sirf Space button press karne ke liye karna hai.
    6. Typing karte time apne hatho ko bar bar na uthaye.

    7. Keyboard par se hath na uthane ke sath hi sath ye bhi dhyan rakhe ki left hand side vale words ko right hand se aur right hand side vale words ko left hand se na dabaye. Yani ki hatho ki crossing na kare agr aap esa karte hai to aap keyboard ke shabd kram ko yad nahi rakh payenge.

    8. Keyboard ke word ko trick ke rup me yad rakhne ki koshish kare jisse aap use jaldi yad kar payenge.

    9. Left hand side (ASDF) vale words ko jab capital dabana ho tab right side vale shift ka use kare.

    10. Aur jab Right hand side (JKL;) vale words ko capital dabana ho to Left side vale Shift ka use kare taki aapko jis word ko capital krna hai oose dabane me problem nahi ho. Esa karne se keyboard home row par se aapka hath nahi uthega aur typing karte time speed bhi kam nahi hogi.

    11. Last aur sabse jaruri point ek din me aap typing expert nahi ban sakte hai isliye daily typing practice kare aur ek paragraph ko ek fix time me karne ki koshis kare. Jyada se jyada type karne ki koshish kare.

    Typing speed badhane ke in 11 tariko ko apna kar apni typing speed badha sakte hai. Ab mai aapko kuch Typing software bata raha hu jo aapki typing speed badhane me help kar sakte hai. Jisse aap easily typing karte time baithne ka setup aur hatho ko keyboard par kis tarah se rakhe sikh sakte hai.

    Typing Speed badhane ke liye Best Typing software konse hai?

    typing-speed-kaise-badhaye
    1. Typing Tutor, Rapid Typing Tutor, Typing Trainner, Max Type. Ye sabhi software hai Jo typing karne me aapki madad kar sakte hai. Mere hisab se Typing master Tutor Aap logo ke liye best typing software hai isme Aapko One by One instruction ke sath guide kiya jata hai.  

    Aur sath hi Typing Analysis, Visual Training, Customized Review, Typing speed test, Typing games ise aur bhi bahtar bana dete hai. Aap chahe to niche di gayi link se "Typing master software download" kar sakte hai.


    2. Online Typing Test
    Agar aap apne computer me kisi bhi tarah ka typing software download nahi karna chahte hai. To aap online typing test de kar bhi apni typing speed ko badha sakte hai. Internet par dher sari esi online website hai jo free me typing Test ki training karti hai.  Aap chahe to Google par Online typing speed test likh kar search kar sakte hai aur typing test de sakte hai. 

    Typing Software Use karne ke fayde 

    In software ki help se aap typing speed to badhegi hi aur sath hi aap apni typing speed bhi check kar sakte hai. In software ki kuch khas bat yah bhi hai ki user typing ki practice karte hue kahi bor na ho. Esliye inme kuch typing test ke rup me Games😎 hote hai jinhe aapko ek fix time me complete karna hota hai.

    In games me word complete karna aur balloon fodna jaise games hote hai. Jisme aapko intrest aayega aur aap maze se apni typing speed bhi badha lenge. Ise aap “Learna by fun” based software bhi kah sakte hai. Kyonki schools and computer centers par es type ke software ka use kiya jata hai. Jisse typing sikh raha vyakti boar nahi hota hai.


    Typing  speed badhane vale Software ki ek khas bat yeh bhi hai ki aapke typing test dene ke bad me aapko ye dikhat hai ki aap kis word ko galat dabate hai aur kis word par aako focus karne ki jarurat hai. Aapne kitna sahi aur kitna galat likha hai yeh bhi batate hai. Iske alava Aap apni Typing test and practice isi software aur  online website se bhi kar sakte hai.

    Aasha karta hu dosto ki upar bataye Top 11 Tariko se aap apne laptop/computer me apni typing speed badha sakte hai aur yeh tips aapke kaam me jarur aayegi.

    Tags :- Computer typing speed kaise badhaye, typing speed kaise fast kare, typing kaise sikhe, typing speed improve kaise kare,

    Yeh bhi padhe:-

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare