HD Quality Video ko 3gp,Mp4 Ya low Quality Me Convert Kaise Karte Hai ?

Dosto aap logo ne adhiktar yeh to dekha hi hoga ki Jab kabhi bhi aap HD ya high Quality Video ko apne mobile aur computer me open karte hai. To vo video oos mobile me thik se play nahi ho pati hai. Kyonki vo mobile oos video ke type ko support nahi karta hai. Ab Iske 2 solution hai ek to yeh ki aap jis kisi bhi android mobile me video chalana chahte hai, usme MX player ya VLC player install kar lijiye. Par simple keypad mobile me hum App install nahi kar sakte hai. Esliye hume us video ke format ko change karna padta hai. Yani ki oose convert karna padtha hai.

High quality video me, kay bar hum movie ki CD or DVD kharid lete hai aur jab hum oose computer  me play karte hai to computer me to video chal jati hai. Aur agar hum oos video ko mobile me dalte hai to vo video mobile me nahi chalti hai. Esliye hume oos video ko low quality type video 3gp, mp4, Avi me convert karna padta hai.
Video-convert-kaise-kare-aur-video-ki-size-kam-kaise-kare

Toh chaliye friends jante ki aakhir kaise Hd video, Photo, MP3 ko ya kisi bhi type ke video ko convert kaise karte hai.
Friends, Video ko convert karne ke liye sabse pahle aapke paa apne computer ya laptop me Format Factory name ka software install hona chahiye. Format factory ek esa software hai. Jiski help se hum kisi bhi type ki files jaise mp3, video, photo, audio-video join aur convet kar sakte hai. Esliye ise aap ise all in one converter bhi kah sakte hai. Aur Ha dosto sabse jaruri chij isme yeh hai ki hum iss software ke dvara windows cd/dvd ki .ISO file bhi bana sakte hai. Yaha hum dekhenge ki Hd video ko kaise convert karte hai ?

HD video ko Low quality ki Video jaise (3gp,mp4) me kaise convert karte hai ?

STEP :-1  Sabse pahle PC/laptop me Format Factory software download kar lijiye aur apne computer me install kar lijiye. Iska link niche diya hai.



STEP :-2  Ab is software ko open kar lijiye aur jis kisi bhi format me aap video ko convert karna chahte hai. Left side me show ho rahe format ko select kar lijiye.
Video-ko-low-Quality-Me-Convert-Kaise-Karte-Hai
STEP :-3  Format Select karte hi apke samne ek dialoug box open ho jayega yaha aap Add File par click karna hai. aur yahi se aap video convert hone ke baad  ka Output Folder dekh aur change kar sakte hai.
video-convert-kaise-kare

STEP :-4  Add a file par click karne ke baad me aapke samane Browse windows open ho jayega tab ab aapko Video select karna hai jise convet karna chahte hai.

    STEP :-5  Video select karne ke baad Open kare and upar ki side ke Start button par click kare.
    hd-video-ko-convert-kaise-kare
    STEP :-6  Ab video convert hona start ho chuki hai thodi der wait kare.

    STEP :-7  Video Convert hote hi format factory ka notification show hoga aur computer me notification sound bhi play hoga.



    Ab aap apni Video ko kisi bhi mobile me chala sakte hai. Vo bhi bina kisi rukavat ke agar aap kisi aur file jaise:- MP3, Photo, Cd, Dvd ko bhi convet kar sakte hai. Agar aapko ise use karne me koi problem aa rahi hai to hume comment karke jarur bataye.

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare