Amazon par account kaise banaye - Amazon ki puri jankari

Mai is post ki madad se hum aapko bata rahe hai ki Amazon par apne liye account kaise banaye aur amazone se kaise online shoping kare jaisa ki dosto aap log Online shopping to karte hi honge aur na bhi karte ho to Amazon ka name to suna hi hoga kyonki Amazon India ki sabse badi Online E-commerce website hai jaha par aapko har tarah ki chij mil jayegi chahe vo mobile accessories, computer, laptop, beauty product, man, woman ke upyog me aane wali chije har chij es Online shopping ki website par avalible hai vo bhi market rate se kaphi kam rate par aur vese bhi aaj kal e-commerce site aur digital time chal raha hai isliye aapke kam se kam ek shopping website par account jarur hona chahiye to aaj hum aapko batayenge ki kaise: amazon.in par acccount/id kaise banaye, amazon se online saaman kaise kharide, amazon address pin verification kaise kare, amazon ko payment/pay kaise kare.




Amazon se releted bahut sari jankari is post ki madad se aapko batane wale hai Isliye aap is post ko pura padhe sabse pahle ham ye jan lete hai ki amazon par shopping karne ke liye account kaise banate hai.
Amazon par account kaise banaye Amazon par shopping kare.

Amazone par account banane ke liye aapke paas ekemail id hona chahiye aur ek phone number hona chahiye.

Amazon par Apna Account kaise banaye?

Step1: Amazon par account banane se pahle aapko iska app download karna hoga jo aapko play store par aasani se mil jayega. Me yaha par iske app ki link de raha huaap is par click karke ise download kar sakte hai.

Step2: App ko install karke open kare yaha par aapko "New to amazon.in? Create an account" par click karna hai. Ab aapko apna amazon account banane ke liye form fill karna hai - Sabse pahle apna naam dale fir Phone number dale aur uske baad apna email dalna hai jo ki optional hai aap chahe to dale nahi to rahne de, ab aakhir me password daal de aapka password kam se kam 6 word ka hona chahiye aur aakhir me continue par click karde. Aap niche image me dekh sakte hai ki mene kis tarah se form fill kara hai.
Amazon se saman kaise kharide
Step3: Ab aapka number verify karne ke liye aapke number par code bheje jayenge aapko us code ko daal kar apna number amazon account ke liye verify karna hai, Code dalne ke baad continue shopping par click kare aapka Account Successfuly ban jayega.
online shoping kaise kare
Ab hamara amazon account to ban chuka hai ab baari hai ki amazon se shopping kaise ki jati hai to chaliye ye bhi jan lete hai ki amazon se koi bhi sman kaise kharidte hai. Iske liye aap niche diye gaye link par click kare.



Dosto aapko is post me mene amazon ke bare me sab kuch bataya hai agar kuch samajh nahi aaya hai to hame comment karke batade ham aapki help karenge ab agar aapko post achcha laga hai to ise share kare aur hamari website ko subscribe jarur kare.

Show comments
Hide comments

2 comments:

  1. very best jankari sir http://www.besthelpworld.com/amazon-se-shopping-kaise-kare-100-best-jankari/

    ReplyDelete

Apna Comment Kare