Laptop/Computer ka Password kaise tode/hataye? Full Detailed

Friends, Computer ka password bhul jana ek normal problem hai. Aksar maine notice kiya hai ki users apne computer ya laptop ka password bhul jate hai. Aur phir Google, Youtube par search karte hai ki computer ka password kaise tode. Aur esa tab hota hai jab aap apne PC ka password bhul jate hai. To esi condition me aapko computer ka password hatana padta hai.

Jaruri nahi hai ki har bar password bhulne par hi password toda jata hai. Some time peoples kisi computer se data churane ke liye bhi dusre vyakti ka computer password todte hai. Aur unke private data ko dekhte hai. Agar password bul jate hai ya phir sirf data chori hi karna chahte hai. To Aapko password to todna hi hoga. Agar aap esa nahi karte hai to aap computer ke chala nahi payenge. Esliye aaj ki is post me mai Bishal Bhati aap logo ko computer ka password todne se related puri jankari dene vala hu. Taki aap kisi bhi computer ya laptop ka password bhul jane par ya nahi hone ki situation me bhi aasani se use kar sake.

computer-ka-password-kaise-hataye-tode

Agar aap market me apne computer ko lekar kisi technician ke paas jate hai. To vo aapse windows password hatane ke liye 250-300 Rs. tak leta hai. Lekin aaj mai aap logo ko jo trick batane vala hu. Uske liye aapko kisi ko bhi paisa nahi dena hoga. Ghar bethe hi aap ise kar sakte hai. 

Windows ka password hatane ke liye kya chahiye?

  • Computer/laptop with CD-Dvd drive.
  • Only 1 Blank Cd-Dvd.
  • Password Cracker Software (Download link niche di hai)
Bas en 2 chijo se hi aap kisi bhi computer ka password tod sakte hai. Aur easily user account me enter kar sakte hai. Upar batayi dono chije aasani se avalible ho jati hai.

Computer password hatane ke kitne tarike hote hai?
  • New Windows install karke? (Reinstall)
  • Kisi unlock software ka use karke.
  • Command Prompt coding ki help se.
Agar aap pahle Tarika chunte hai to aapke computer ka login password to hath jayega. Magar Local Disk: C (Document, Desktop, pictures) me rakhi saari files bhi delete ho jayegi. Par agar aap bina data ke loss ke computer ka password ko todna chahte hai. To, second method Kisi third party software ka use karke kisi bhi laptop/computer ka password hata sakte hai.
Software ki help se paasword crack karna safe hai. Kyonki isme disk drive me rakhi kisi file delete/corrupt nahi hota hai. Aur windows Re-installation ki bhi jarurat nahi padti hai. Toh chaliye jante hai ki Pc ka password bhul jane par bhi password Remove kaise karte hai?
Method :-1

Computer/laptop password kaise tode? [KonBoot Method]


Guys maine 2 softwares se computer ka password tona sikhaya hai. Jise maine Method1 aur Method2 ka name diya hai. Jisme different software ka use kiya gaya hai. Aap dono me se jis method ko use karna chahe kar sakte hai. Dono hi working method hai.

STEP:- 1  Computer ka Password todne ki first steps me aapko sabse pahle apne PC/laptop me ek ISO package  Download πŸ‘‡karna hoga.

STEP:- 2  Download karne ke baad CD me Burn karna hoga.
password-todne-ki-cdburn-kare
ISO file ko CD me burn karne ke baad aapko is CD/DVD ko apne computer me Boot karvana hoga.

STEP:- 3  Jis kisi bhi computer ka password todna hai Usme Cd Insert kare. Boot karne ke liye computer start hote time Delete ya F2 ka button press kare. Jisse pc Boot menu me Enter ho jayega. Ab Boot menu me aapko Boot Device priority me First Drive: CD/Dvd select karna hai aur F12 press karke Setting ko Save kar dijiye.
boot-device-select-kare
STEP:- 4  Ab computer restart hoga aur CD me rakha ISO package run hoga. Jesa ki aap image πŸ‘‡me dekh sakte hai kuch is tarike ki Display show hogi. Yaha aapko kuch bhi karne ki jarurat nahi yeh ek automatically computer password breaker ISO Dvd/CD hai. Yeh khud hi computer password tode ka work kar legi.
kon-boot-se-computer-password-tode
Bas aapko kuch Minutes wait karna hoga jab tak computer ka password break ho. Tab tak ke liye aur phir windows Restart ho jayega.

Yeh bhi padheπŸ‘‡
STEP:- 5  Ab samne Windows User account Login display show hogi tab aapko kuch nahi karna hai. Simple, Go Arrow (  ) par click karna hai.
windows-user-login-kare
Jisse aap bina password enter kare computer me enter ho jayenge. So guys is pahli method se aap badi hi aasani se kisi bhi Windows computer ka password tode sikh sakte hai.

Method:- 2

Computer ka Password kaise hataye? 

Dosto agar first method vala software thik se kaam nahi karta hai to aap niche batatyi en steps ko follow kare. Yah method bhi aapko computer ka password todne me help karegi.

STEP :-1  Is method me bhi hum third party software Oph Cracker ka use karenge to hamari niche di gayi link se .ISO file ko download kar cd me burn kare lijiye. Agar aap nahi jante ki cd-dvd me iso file kaise burn kare to hamari post jarur pahe.


  Download: OPH Crack


Size -: 425 MB

STEP :-2  ISO packo ko DVD me burn ke baad apne Computer ko Restart kare. Boot settings me enter kare aur First boot device me Cd/dvd Select kare, F10 daba kar setting Save kar lijiye.

STEP :-3  Ab apne Computer ko us Cd se boot kar lijiye aur Press any key for Cd-Dvd dikhne par
computer-password-tode
koi bhi key daba kar Oph Cracker setup me Enter kar lijiye.
    STEP :-4  Oph setup me enter hote hi aapke saamne uska logo show hoga tab wait kare aur setup start hone dijiye.


    STEP :-5  Setup open hote hi aapke computer me jitne bhi user account honge vo show hone lagenge. Tab us account ko select kare jise aap unlock karna chahte hai. Ya phir agar aapke computer me multi user account nahi hai to Admin select kare aur Launch button par click kare.

    STEP :-6  Thode hi time me software work karna start kar dega. Aur computer ka password tod dega. Vese to yeh 1 minute ya phir10 minute me bhi ho sakta hai. Yeh password ki complexity (jatilta) aur computer speed par depend karta hai. 

    STEP :-7  Oph Cracker jese hi apna work complete karega “NotePassword” vali Tab me aapke locked computer’s account ka password show hoga ise note kar lijiye.

    Last Word:-

    Es password ki madad se aap oos computer ka password tode ya hata sakte hai aur kisi bhi computer/laptop ke login password ko remove kar sakte hai.

    Dosto aapko hamari yeh post computer ka password kaise tode ya hataye kesi lagi hume comment kar jarur bataye aur ise apne friend ke sath share jarur kare.Agar aapko upar batayi in methods ko follow karne me koi problem hai to hume comment kar jarur bataye.

    Tags: computer ka lock kaise tode, compute password kaise hataye, computer ka password bhul gaya hu, computer ka passwod kaise tode, computer se passworde kaise hataye, computer password todna hai,

    Show comments
    Hide comments

    2 comments:

    Apna Comment Kare