Facebook Par name change kaise kare. ( 2 Aasan Tarike )

Hy dosto aaj hamari post un logo ke liye hai jo facebook ke bare me jyada nahi jante hai aaj ham aapko batane wale hai ki facebook par apa name kaise change karte hai kyoki ese bahut sare log hai jinko ye nai pata hai ki facebook par name change karne ki kya process hai aaj me aapko naam change karne ke liye 2 mathod bata raha hu ek facebook mobile app aur dusri hai computer mathod to chaliye bina samay ki barbadi kare jante hai pahle ham mobile app wala tarika dekhte hai.
Facebook-Profile-name-change-kaise-kare.

Mobile App Mathod




Sabse pahle apna facebook account jisme aap naam badlna chahte hai oose apne mobile ke facebook app me open kare agar aapke paas app nahi hai to play store se download kar sakte hai. Apni facebook se log i karne ke baad aapko top right corner me 3 line dikhengi ye more option ka icon hai is par click kare achche se samjhne ke liye niche image dekhe.
facebook par name kaise badle

Ab yaha par aapko kuch option diye jayenge isme se aap Account Setting ka option select kare,ab fir se aapke samne bahut sare option aayenge yaha par aap General ke vikalp ko chune.
Facebook par naam change karna hai

Ab jo next page kulega yaha par name ke option par click kare. Ab aap namechange karne ke section me pahuch jayenge, yaha par aapko apna naya naam dalna hai new first name aur last name dale jaisa ki mene dala hai fir apna password daal kar save par click kare.
Facebook name change kaise kare.

Ek baat yaad rakhe ki ek baar aap naam change kar lete hai to fir aap 60 din se pahle apna naam change nahi kar sakte hai par agar aap 60 days se pahle apna naam badlna chahte hai to aapko apne id proof ka photo facebook ko dena hoga iske bare me detail se janne ke liye niche diye gaye link par click karke post padh sakte hai.


60 Din se pahle name change kaise kare

Ab mobile app me hamne apna name badlna sikh liya ab desktop ki mathod ko samajhte hai aur jante hai ki computer me apna facebook name kaise changekarte hai.

Desktop Mathod

Jo log computer ya laptop me facbook chalate hai aur apna naam computer ki madad se change karna chahte hai to ye steps follow kare.

Computer me apna facebook account khole ab aapko right ki taraf ek tir ka nishan dikhega us par click kare yaha aapko kai sare option milte hai isme se aap setting ke option ko select kare.

Ab aapko general account ki setting me name ke samne edit par click kanra hai ab aap yaha apna name change kar sakte hai naam bdlne ke baad review change par click kare.

Ab apko yaha par 2 option diya jate hai ek to kiaap apna surname pahle aur nam baad me ya apna name pahle aur surname baad me jo bhi chahe wo select kare aur fir apna password dalkar save changes ar click kare aapka name change ho jayega.

To dosto mene aapko dono tarike bata diya hai ab aap bhi is post ki madad se apna naam change kar sakte hai agar aapko lagta hai ki ye post aapke liye halpful raha then is post ko jarur share kare aur hamari website subscribe jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare