Facebook account deactivate kaise kare.

Facebook ke bare me maine pahle ek post likhi thi jisme mene bataya tha ki aap apne account ko delete kaise kar sakte hai par aaj me aapko ye bata raha hu ki aap apne kisi bhi account ya ID ko deactivate kaise kar sakte hai lekin usse pahle aapko ye janna jaruri hai ki facebook deactivate aur delete karne me kya fark aata hai.
facebook-account-deactivate-karne-ka-tarika
Facebook Account ko delete karne ke matlab hota hai ki facebook ko alwida kah dena uske baad aap fir kabh bhi apne us account ko nahi khol paoge jise aapne delete kar diya hai agar aap apne facebook account ko delete karna chahte hai to fir aap is post ko padh sakte hai.


Ab ye samjhte hai ki Facebook deactivation kya hota hai facebook ko deactivate karne ka matlab hota hai ki apne account ko dusre logo se chupa dena matlab agar app apne account ko deactivate kar dete hai to fir aapko koi bhi facebook par search nahi kar payega aur nahi aapke account ko dekh payega par jaise hi aap apne account ko fir se log in karoge kabhi bhi to aapka account fir se activate ho jayega. to ab aapko inke bich ka fark samajh me aagya hoga aur ye bhi pata chal gaya hoga ki account deactivate karne se kya hota hai ab me aapko bata deta hu ki aap apne fb id deactivate kaise karte hai

Facebook ID ya Account ko deactivate kaise kare

STEP-:1  Sabse pahle aap apne Facebook account ko sabhi jagah se log out kar de ab apne facebook account ko chrome browser me open kare agar mobile use kar rahe hai to UC ya chrome kisi me bhi khol sakte hai.

Now more option par click karke yaha par aapko account setting ka option milega aapko us par click karna hoga aap image me dekh sakte hai.
Facebook par apne Account ko deactivate kaise kare.


STEP-:2 Ab next page me General ke option par click karne ke baad Manage account ka option milega us par click kare uske baad last me aapko is page par Deactivate ka option milega us par click kar dijiye.
Facebook id ya account ko deactivate kaise karte hai

STEP-:3 Now aapko facebook fir se Password dalne ke liye bolega aap apne facebook account ka password daal kar Continue par click kare. Ab aage facebook aapse question puchega ki aap facebook account ko kyo deactivate kara chahte hai to usme aap this is temporary i'll be back ko tick karke Deactivate par click kare aapka account successfully deactivate ho jayega.
Facebook id ko deactivate kaise kare.

Dosto facebook deactivated account ko jab bhi aap reactivate karna chahe to apne account me log in karke activate kar sakte hai isme aapko koi bhi pareshani nahi hogi ab agar aap is post ki madad se apne account ko deactivate karne koi pareshani hoti hai to comment karke bataye aur sabse jaruri chij ki aap hamari website ko subscribe kare taki esi hi behtrin jankari ham aapko dete rahe ab agar ye post achcha laga hai to ise share maro aur dusro ko bhi hamari site ke bare me batado. Taki koi bhi jo apna account kuch samay ke liye deactivate karna chahta hai to wo bhi is post ki madad se apna kaam aasani se kar sake.


Ye bhi padhe -:


No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare