Amazon par Shopping Kaise Kare | Shopping karna sikhe

Hi Guys, Kya aap India me rahte hai aur cheap rates me shopping karne ke liye website dhund rahe hai. To India me online shopping karne ke liye Amazon shopping sabse Trusted company hai. Kyonki yaha aapko kam se kam kimat par best product dene ka prayas kiya jata hai. Amazon company vaise to America ki hai. Par ye sirf America me na ho kar India aur iske sath kayi sare desho me apna sikka jama chuki hai.
amazon-par-shopping-kaise-kare
India me shoping karne ke liye ya to amazon ka use hota hai Ya fir Flip Kart ka upyog kiya jata hai, aur aaj is post ki madad se me amazon par online shopping karne ke liye ya kuch bhi kharidne ke liye kya karna padta hai. Uski step by step puri jankari dene wala hu.


Amazon par shopping karne ke liye sabse jaruri hai ki aapka is par ek account hona chahiye. Agar aapke pass Amazon ka account nahi hai to niche diye gaye post par click karke post padhe. Amazon Account kaise banaye

Amazon par online shoping kaise karte hai?

Amazon.in par successfully account banane ke baad ab amazon ke Home page par pahuch jayenge. Ab hum aapko Re-command karenge ki agar aap mobile se shopping kar rahe hai to Amazon App use kare.



Upar dikh rahe search box me type kar apna product dhunde aur market rate se kam me apna pasand ka product book kare. To chaliye jante hai Amazon par shopping ke liye product book kaise karte hai.

STEP :-1  Ab aap kya kharidna chahte hai use Search bar me search kare. Jaise ki agar aapko koi mobile kharidna hai man lete hai ki mujhe Redmi 6 Pro khridna hai to use search box me search kare.
amazon-par-shopping-ke-liye-product-search-kare
Ab aapko ye mobile show hoga alag alag color me jitne bhi color me ye mobile aata hai jaise ki mujhe Black color achcha lagta hai to me Black color wale mobile par click karunga. Ab aapke samne mobile aur uski details, Description, Features open ho jayenge yaha par aapko buy now ka option milega us par click kare.
amazon-par-shopping-prduct-buy-kare
STEP :-2  Ab aapko yaha par apna Address dalne ke liye kaha jayega. To ab ye jan lete hai ki Amazon shopping karne ke liye Address kaise add karte hai. Aur use verify kaise karte hai, Aapko apna address keval ek hi baar dalna hai. Uske baad nahi kyonki ye Address aapke account me Save ho jayega. Jisse ki aapko baar baar address nahi dalna padega.

Amazon par Shopping Address kaise dale

amazon-par-shopping-address-dale
Ise kuch is tarike se bhare: Full name me - apna pura name, address line1 me - apna local street address jaise- “34/7 Trimurti nagar”, address line2 me - apne ghar ke paas ki koi jagah jise aasani se dhundha ja sake Jese “Near Government hospital, Rajgarh” aur phir Town/city (शहर) me apni jagah city ka name dale aur phir State (राज्य) aur phir apni city ka Pin code aur last me apna mobile number dijiye. Aap Image me dekh sakte hai ki mene yaha par kaise address dala hai.

Amazon address verify kaise kare?

Enter a shopping address bharne ke baad amazon aapse apne address ka verification karne ko kahega. Iseme ab aapko two address dikhenge ek to Original address jo aapne dala hai aur dusra vo jo amazon ne aapko Suggest kiya hai. Agar aapko suggest address thik lagta hai to select kare ya phir apna address hi select kare aur Deliver to this address par click kare.
Note:- book karne ke pahle apni city ka pin code dalkar search kar lijiye ki vo product aapke vaha par available ho bhi payega ya nahi. Agar wo roduct aapke shahar me available nahi hai to aap apne aas paas ke kisi shahar me jaha par wo product aa sakta hai waha par kisi jaan pahchan wale ke ghar ka address dede aur baad me usse apna samaan lele.
STEP :-3  Ye last step hai jisme aapko amazon ko apne product ki payment karne ke liye user ko 4 tarah ki payment option deta hai jisse aap easily payment kar sake.
amazon-par-payment-kare

  • Credit card
  • Debit card/ATM Card 
  • Net Banking 
  • Cash on Delivery (COD) 
Aap inme se kisi bhi payment method ko select kar apne amazon product shopping ka payment kar sakte hai par kai bar kuch limited products par sirf online payment ko hi support karta hai. Ise aap apne debit card/ATM se payment kar sakte hai, Iske alaava amazon ke kuch Prodcuts par EMI facility bhi avalible hoti hai. Yani ki aap product ke paise kishto me bhi jama sakte hai. Payment karne me darne ki jarurat nahi hai.

Yeh bhi padhe 👇
GB whatsapp download kaise kare
Play store update kare
Jio se message kaise send kare

Bahut se products me cash on delivery nahi hoti hai aur log bank se payment nahi karte hai kyonki unhe dar lagta hai ki kahi hamare paise dub to nahi jayeng par esa kuch nahi hota hai aapka paisa bilkul safe hota hai. Aur aapko aapka product bhi bhej diya jata hai. Agar aapko amazon par shopping karne aur online payment karne me koi problem ho rahi hai to hume comment karke bata sakte hai. Hum aapki comment kar reply jarur karenge.

Tag:- amazon par online shopping kaise kare, amazon shopping kare, amazon product book kaise kare,

Show comments
Hide comments

2 comments:

Apna Comment Kare