Call Barring meaning kya hai in hindi.

Hi friends, Aaj hum bat karne vale hai. Ek esi Call setting ki jiske bare me logo ne suna to hoga par har kisi ne try nahi kiya hoga. Kyonki yeh Call setting feature hamare mobile me ek secret call setting feature hai. Jise hum Call Barring ke name se jante hai. Aur aaj hum Call Barring meaning puri detail se janne vale hai. Is post me hum janenge:-
  1. Call Barring kya hota hai?
  2. Call barring kaise use karte hai?
  3. Call Barring On/Off kaise kare?
  4. Call barring ke Type.

Call Barring kya hota hai?

call barring meaning in hindi

Call Barring, Agar aapne kabhi call barring ke bare me nahi suna hai to yeh call setting aapke bahut kaam me aayegi. Kyonki agar aap apne mobile number par aane vali faltu, fake calls se pareshan ho chuke hai to es setting ko on/enable karne ke baad me. Aap number par calls aana band ho jayega.


Agar kisi company ya phir International call se pareshan ho chuke hai to Call barring meaning hum number par aane vali Incoming calls ko band/block kar sakte hai. Agar aap chahte hai ki mere mobile number par kisi ke bhi calls nahi aaye aur naa hi mere mobile se kisi number par call lage to aap yeh sab kuch Call Barring ki help se kar sakte hai.

    Call Barring meaning and call barring kaise kare in hindi

    Call Barring use karne ke liye aapko apne mobile ki call setting me kuch changes karna honge uske baad me Call Barring on ho jayega. Phir jise aap apni ichchha anusar kabhi bhi on/off kar sakte hai. Apne Mobile me Call barring kaise on karte hai janne ke liye niche humne kuch steps batayi hai. Jinhe padh kar aap Call Barring ko Turn on/Off kar sakte hai.


    Call barring kya hota hai iske bare me to aap upar padh hi liya hoga. Ab hum jante hai ki Apne mobile me Call barring kaise use karte hai aur Incoming Call, Outgoing Call ko band kaise karte hai.

    Step1:- Call Barring on karne ke liye sabse pahle apne mobile ke Dial pad me jaye aur upar left ya niche ki side dikh rahe Setting icon par click kare. Setting icon par click karne se Call Setting ke sabhi option dikhai denge.


    Step2:- Ab aapko Advance Setting me jana hai aur Call Barring name ki setting search karna hai.
    Kuch mobile me Call barring direct Call setting me hi mil jayega aur agar nahi milta hai To advance setting me jaye.
    advance-setting-me-call-barring

    Step3:- Ab yaha par aapko Call Barring dikhai dega is par click kare.


    Step4:-  Call Barring click karne ke baad me Sim select kare jiske liye aap Call Barring feature ko use karna chahte hai. Jisse us sim card ke liye Call Barring ke sabhi vikalp dikhai dene lag jayenge.

    Step5:- Call Barring ke sabhi type aapke samne khul chuke hai. Ab aapko apni jarurat anusar Call Barring ka type enable karna hai. Jis Kisi bhi Barring ko on karna chahte hai use click/mark kare aur Password enter karke barring activate kare.

    Call Barring password aapke mobile ka Default password hota hai. Agar aap apne phone ka call barring password nahi jante hai to Internet par search kar ise pata kar sakte hai.
    Niche humne Call Barring ke sabhi type bataye hai. Yeh sabhi call barring option alag-alag condition ke liye kam karte hai. Esliye inme se kisi bhi Option ko enable/on karne se pahle iske use ke bare me jarur padh lijiye.


    Call Barring ke Types aur uske meaning
    • Outgoing Calls Barring:- Agar aap is setting ko enable karte hai to koi bhi aapke phone se call nahi kar payega. Matlab yeh ki is Setting ki help se sabhi Outgoing calls ko band kar sakte hai.
    • International Outgoing Calls Barring:- Is setting ko enable karne ke baad me aapke mobile se koi bhi International call connect nahi hogi. Yani ki India ke bahar koi bhi call nahi lagega.
    • All Incoming Calls:- Incoming Call barring Setting, yeh ek most used setting hai joki aapke kam me aayegi. Is setting ko on karke apne mobile par aane vali sabhi calls ko block kar sakte hai. Phir koi bhi aapko Call nahi kar payega.
    • Incoming Calls while Roaming:- Agar aap apni State/Rajya ke bahar hote hai aur koi aapko call connect karta hai to aapko aur call karne vale dono ka Call ka extra charge dena hota hai. Matlab ki Roaming charge. par agar aap chahte hai ki jab kabhi aap Roaming me rahe hai aur call connect nahi ho to is call setting ko enable kare.
    To Dosto ab aap samjh hi gaye honge ki Call barring kya hota hai, call barring kaise use karte hai. Call barring use karke Incoming Call, Outgoing ko Block kaise karte hai.

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare