Jio Phone se Video calling kaise kare?

Hi friends, Aaj hum bat karne vale hai Jio me video call ki. Agar kuch sal 2017 ke pahle ki bat kare to Video call karna bahut hi costly, phone recommended hua karta tha. Kyonki agar aapko video call karna hai to iski sabse pahli shart yeh hoti thi ki aapke paas me 4G phone hona chahiye aur dusra yeh ki phone me high speed internet hona chahiye. Agar phone nahi hota tha to ek bar chal jata tha par agar high speed internet nahi hai to aap video call nahi kar sakte hai.


Iska sidha sa karan yeh hai ki Voice calling ke mukable me Video call me jyada Internet data use hota hai vo bhi jyada frequency ke sath me. Par Jio Sim, Jio Phone ke baada yeh problem solve ho chuki hai. Is post me hum Jio Video Calling ke bare me batane vale hai. Is post ko padhne ke baad me aap jio se video call karan sikh jayenge.
jio video kaise karte hai
Jio sim card ke aane ke baad se ab video call karna bahut hi aasan ban chuka hai. Jio sim, Jio phone ke baad Video call karne ke liye kisi special mobile phone ya data recharge ki bhi koi jarurat nahi padti hai. Agar aap Jio sim card use karte hai to yeh post aapke liye kaam me aayegi kyonki is post me hum Jio Video Calling ke bare me batane vale hai. Jisme hum Aapko Jio Video calling kaise karte hai batane vale hai.
Yaha hume Jio se Video call karne ke dono tarike bataye hai?
1. Jio Sim se Video Calling kaise kare?
2. Jio Phone se Video calling kaise karte hai?

Jio Video calling karne ke liye kya chahiye?

Dosto Jio phone se video call karne ke pahle aapko kuch chije padh lena chahiye jisse aapko video call karne me koi dikkat nahi aayegi.


  • Jis vyakti ko Aap Jio call karne vale hai vo bhi ek Jio phone user hona chahiye. Agar vo Jio user nahi hai to aap usse Jio video call connect nahi kar payenge.
  • Jio se video call karne ke liye aapke phone Jio video call app jarur install hona chahiye.
  • Video call karne se pahle jis vyakti ko call karna chahte hai uske mobile number apne Jio phone me Save jarur kar lijiye.
  • Aapke aur jis vyakti ko call kar rahe hai. Dono ke Jio phone me Internet/Data On hona chahiye.

Jio sim se Video calling kaise kare?

Agar aap jio sim card use karte hai na ki Jio phone to aapko yeh Title padhna chahiye kyonki Jio phone se video call karne ka tarika aur Jio sim se video call karne ka tarika dono alag-alag hai. Kyonki iske liye aapke phone me pahle Se Jio Chat: HD Video Call app install hona chahiye jiske bina hum Jio se video call nahi kar payenge.


Step1:- Pahle apne android phone me Jio Video chat app download aur install kar lijiye.
    Step2:- Ab Jio chat open kare aur + ke chin par click kare. Yaha se Chat select kare aur agar aap Group video call karna chahte hai to Group select kare.
    chat ya jio video call kaise kare


    Step3:- Ab jise bhi call karna chahte hai uske Saved number ke pichhe Video icon par click kare. Ab kuch hi seconds me Call connect ho jayega. Aur phir aap bhi Face to Face Video call kar sakte hai.
    jio video call kare
    Jio se Video call karne ke liye aapke phone Jio chat install hona jaruri hai. Iske bina aap android phone me video call connect nahi kar sakte hai.


    Jio Phone se Video calling kaise kare?

    Step1:- Jio phone se video call karne ke liye sabse pahle Menu me jaye aur Video call app ko open kare.

    Step2:- Ab yaha par aapko 2 option dikhai denge. Pahla to Recent calls aur dusra Contact. To ab aapko vo Contact select karna hai jise call karna chahte hai.
    Step3:- Done! Aapne jis kisi bhi Saved contact ko select kiya hoga usse kuch hi seconds me call connect ho jayegi.

    To dekha aapne is tarike se hum Jio ki help se kisi ko bhi video calling kar sakte hai. Agar aapko hamari yeh post achcchi lagi ho to post ko share karna nahi bhule.

    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare