Google Bolo App kya hai? Google Bolo kaise Download & use kare.

Guys, Education aaj ke time par kitna important hai ye bat to aap sabhi log achchhe se jante hi honge. Lekin dukh ki baat hai ki hamare India ke kuch chhote ganv education me kaphi pichhe hai aur unhe educated karne ke liye Google company ne Google bolo app launch kiya hai.

Esa kaha jata hai ki without education hum sirf ek pashu ki tarah hai. Kyonki aaj ke time par life ka har part education se bahut najdiki se juda hai aur ese me hamara education hona bahut hi jaruri hai. Agar koi vyakti aaj ke time par padha likha nahi hai to in future vo ko Job ya literacy se related work ko pura nahi kar sakta hai.
google-bolo-in-hindi-ky-hai
Aur isi kami ko dur karne ke liye Google Bolo app ko launch kiya hai. Agar aap iske bare me puri jankari detail se janna chahte hai to post ko pura jarur padhe.

Google Bolo App kya hai? What is Google Bolo app in Hindi?

Google jo ki ek search engine hai aur isne India me Primary level ke students ko Hindi aur English sikhane ke liye ek App Develop kiya hai jise Google Bolo App name diya hai. Google bolo me students ko better tarike se education understanding ke liye animated feature aur A.I. (Artificial Intelligence) se less Text to Speech ka use kiya gaya hai. Hum ise Offline bhi use kar sakte hai.
Jab hum App open karte hi isme ek app animated character diya hota hai jisme child ko Stories ya kahaniya padhne ke liye prerit kiya jata hai. Students agar kisi word ka sahi meaning nahi padh pate hai to unhe उच्चारण karne me madad milti hai. Yeh ek speech based tutorial app hai.

Yeh bhi padhe 👇
Filhal me Bolo App ke andar 40 Stories in Hindi aur 50 Stories in English me available hai. Chunki aap is app ko offline bhi use kar sakte hai, Esliye is app ki size 55 MB hai. India me ise launch kar diya gaya hai.

Google Bolo App Download kaise kare?

Aap ise Play store se download kar sakte hai ya phir chahe to niche di gayi link se bhi direct download & use kar sakte hai.



Google India ke product manager ne bataya ki ise launch karne ke pahle Uttar Pradesh ke 200 Village me analysis kiya gaya aur iska result responsive mila tab jakar ise India me sirf Hindi bhasha ke liye launch kiya hai. Product manger ka kahna hai ki jald hi Google Bolo app in Hindi ko dusri bhashao ke liye bhi teryar kiya jayega.
So guys yeh thi is app ki kuch details jiske bare me maine bataya hai. Google Bolo app ko filhal me hi launch kiya gaya hai aur yeh android 4.4 Kitkat se upar vale version ke liye working hai. Aapko hamari yeh post kesi lagi hume comment kar jarur bataye aur Google ki is App- Google Bolo ke bare me aap kya sochte hai hume jarur bataye.

Tags: Google bolo kya hai, google bolo in hindi, google bolo kaise download kare, google bolo kaise use kare,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare