Jio Phone me Blacklist kare? Blacklist Setting hai/Nahi?

Hi Guys, Kya aap Jio phone user hai to aap lucky person hai. Kyonki sirf 1500 Rs. ke budget me Jio ne jo features apne is phone me diye hai. Vo feature itne kam budget kisi aur company dvara diya jana thoda hard hai. Pahle to isme kuch limitations thi lekin ab Jio phone ka update aane ke baad se isme aur bhi kaphi sare new features add kar diye gaye hai. Like- phone me Hotspot, WhatsApp, call transferJio phone me blacklist.
jio-phone-me-blacklist-kaise-kare
Ji ha dosto upar bataye almost sabhi features confirmed hai lekin inme se kuch features confirmed nahi hai. Aur aaj hum isi par baat karne vale hai.

Jio Phone me Blacklist kaha hai?

Question:- Jio phone ki latest updates se logo ko kaphi ummid thi ki isme kaphi saare changes aayenge aur esa hua bhi. Lekin Jio phone me Blacklist features ki bhi baat ki jaa rahi hai ki Jio phone ki new updates me is feature ko bhi aad kiya gaya hai.
Answer:-
Maine jab YouTube par dekha ki bahut sare channel vale video bana rahe hai blacklist ka bhi option de diya hai. To maine bhi un video ko dekha aur apne phone me try kiya, mujhe is tarike ka koi option nahi mila. To mujhe laga ki ho sakta hai ki mera Jio phone up to date nahi ho esliye esa ho raha ho. To maine apne Jio phone device ki updates bhi check kari vo bhi updated thi.
To maine is option ko Contact, Call settings sabhi jagah par search kiya. To maine kuch aur video dekhi lekin koi khas video nahi mili. To maine socha ki kyo na aap logo ko is fake news ke bare me bata du ki iska such kya hai. To mai aapko such batana chahta hu ki Jio phone me blacklist ka option abhi tak nahi diya hai. Ho sakta hai ki phone ki new updates me ise shamil ho jaye. Lekin ise abhi tak add nahi kiya gaya hai.

Yeh bhi padhe 👇

Show comments
Hide comments

3 comments:

Apna Comment Kare