Jio Phone Tricks in हिन्दी :- Top13 Popular Tricks जिन्हें जरुर जाने.

Dosto Jesa ki mai apni sabhi post me kahta hu ki Jio phone ek featureless phone hai. Jisme aapko bahut sare features milte hai. Jiske karan 1500Rs. ke budget me koi aur phone lena pasand nahi karenge. Aur aaye din Jio phone me bahut sare features bhi add kiye ja rahe hai. Esliye yah user ko bahut pasand aa raha hai. Agar aap new phone user hai aur Jio phone tricks nahi jante hai. To maine is post me Jio phone ki sabhi latest trick share kari hai.

Users dvara Jio phone ko select karne ka main karan yah hai ki. Iska Minimum Price aur maximum features hai. Yah ek low budget 4G keypad phone hai. Jisme hume android mobile ki tarah apps chalane ka tohfa milta hai. Agar abhi tak aap sirf ise chal hi rahe the lekin Jio Phone ki tricks ke bare me nahi jante hai.
jio-phone-trick-in-hindi
Aap hamare is article ko pura jarur padhe. Kyonki is post me, Hum Jio phone ki hidden Tricks & Tips dene vale hai. Jise padhne ke baad aapke Jio phone ko aur bhi pasand karne lagenge. Aur such baat kahu to mai khud bhi is phone ka use karta hu.

Jio Phone ki Tricks Hindi me [hidden Tricks]

Jio phone ki latest updates me aur bhi bahut sare features ko add kiya gaya hai. So, Yaha par maine Jio Phone Tricks one by one share kari hai. Aur niche batayi sabhi tricks bahut popular aur working hai. Maine sabhi tricks ko describe kiya hai aur saath hi unka full detailed post link bhi diya hai. Jaha se aap unhe Step by step with images padh sakte hai. Is article ko Total 3 part baata gaya hai.

Part:-1

 13  Jio Phone se Video Call

jio-phone-video-tricks
Friends, Vo time kuch aur tha jab video call karne ke liye Android phone necessary tha. Lekin Jio phone ke aane ke baad yah bhram tod diya gaya hai. Ab aap Jio phone ka use karke apne kisi bhi friend ke saath Face to face video call kar sakte hai.

Post:- Jio Phone se Video call kare


 12  Downloading kaise kare

Agar aap Phone me movie, show, Audio chalana chahte hai. Aur Jio phone ko enjoyable banana hai.  Esliye yaha par maine Jio phone me Internet se downloading karne ka tarika bhi bataya hai.

Post:- Video/Audio Download kaise kare?

 11  Mobile Number Blacklist

Agar aap kisi number ki calls se pareshan ho chuke hai. Aur ab chahte hai ki ab is number se kabhi dobara aapke pas call nahi aaye to. Blacklist option aapko yeh feature deta hai jisse aap calls ko block kar sakte hai. Yah Jio phone best trick hai.

Post:- Number ko Block kaise kare?

 10  Incoming Call Transfer/Divert/forward kare?

Call divert, Yani ki apne mobile number par aane vali incoming calls ko dusre number par divert karna. Yah Jio phone trick ki madad se aap badi hi aasani se Jio phone ki calls ko duser number par forward kar sakte hai. Mostly, Es setting ka use tab kiya jata hai. Jab hum dusre phone par calls ko attend karna chahte hai.
Post:- Jio phone Call Divert kaise kare?

4 Excellent Jio Phone Tricks in Hindi

Part:-2 

 9  Jio Phone me Xender App use kare

Jab aap android mobile aur Jio phone ke bich me files transfer karna chahte hai. To yah Jio phone tricks bahut hi kaam me aati hai. Iski help se file, photo ya video ko dusre Mobile me share kar sakte hai. To yaha par humne Xender ki madad se file transfer karna sikhaya hai.
Post:- Jio phone me Xender kaise chalaye.


 8  Text/Photo send karna sikhe

Agar aap Jio phone se Text message ya Picture message yani ki SMS/MMS bhejna chahte hai. Aur is bare me koi jankari nahi hai. To humne yaha par Jio phone se message send karna detail se bataya hai. Aur message nahi ja raha hai to yah bhi padhe.
Post:- Message SMS/MMS bheje.

 7  Set Your favorite Song as Ringtone

Kya aap chahte hai ki jab kabhi bhi phone par call aaye. Tab, sabhi ko aapki pasand ka song sunai de to. To aapko apne Jio phone ki is trick ko bhi jarur janna chahiye. Jio phone me yah option diya to hai. Lekin, User ko ise user karte nahi aata hai. To yaha par humne Jio Ringtone setting karne ke bare me detail se bataya hai.
Post:- Ringtone setting kare.


 6  WiFi kaise use kare?

Guys agar baat ki jaye keypad phone ki to usme aapko sirf Bluetooth ka option milta tha. Lekin Internet chalane ke liye Jio 4G phone me WiFi ka option bhi diya gaya hai. Taki aap badi hi Jio phone ko tricks se Internet se connect kar paye aur Internet Browse kar paye.
Post:- Wifi kaise on kare

TOP4 Jio Phone ki Tricks & Tips Must Read

Part:-3  

 5  USB Tethering 

Agar aap Jio phone ka internet connection USB cable ke dvara computer/laptop me chalan chahte hai. To USB Tethering ki help se esa kar sakte hai. Ise detail se janne ke liye hamari post padhe.

Post :- USB Tethering use kare
 4  Hindi Typing

Kya aapko English me typing karna pasand nahi hai. Ya phir Phone ke Engish keyboard ko hindi me switch karna chathe hai. Taki Jio phone me Hindi typing kar sake to is Jio phone tricks ko bhi jarur janna chahiye.

Post :- Phone me हिन्दी Typing karna sikhe

 3  Phone's Contact Import/Export

jio-phone-tricks-se-contact-transfer-kare
Agar pahle sim card android mobile me tha aur ab Jio phone me use karne vale hai. Tab aapko contacts ko bhi move/copy karna hoga. Aur ise karne ke liy Jio phone import/export tricks ka use karan hoga. Pahle aapko Gmail/Microsoft account par contact ko Import karna hoga. Aur phir Jio phone me Export karna hoga. Jiske baad sabhi contacts phone me aa jayenge.

Post:- Contact Transfer kare?
 2  Jio Phone Hotspot feature [Share Your Phone's Data]

Guys aap yeh to jante hi honge ki Jio phone me 49 Rs. ke recharge me unlimited calls aur 500 MB data milta hai. Jo ki ek keypad mobile ke liye sufficient hota hai. Agar aap is Internet data ko dusre phone me share karna chahte hai. To aapko hotspot feature ka use karna chahiye. Kyonki iski madad se aap badi hi aasani se dusre mobile WiFi on karke ise connect kar internet chala sakte hai. Yah is phone ki Top second Jio Phone tricks hai.
Post:- Hotspot kaise chalaye


 1  Jio Phone WhatsApp Trick

Yah tricks bahut hi popular hai. Kyonki, Pahle Jio phone me Whatsapp ka option nahi diya gaya tha. Lekin Jio phone update ke baad isme yah App feature bhi add kar diya gaya hai. Jisse aap badi hi aasani se apne Jio Phone me Whatsapp chala sakte hai aur kisi ko bhi
 message, audio, video file send kar sakte hai.

Post :- WhatsApp kaise chalaye

Last Word:-

Dosto, Yeh thi Jio phone ki Tricks jise use karke aap Jio phone ko aur bhi useful way me chala sakte hai. And Jio phone Pro user ban sakte hai. In future Jio phone me aur bhi features ko add kiya ja sakta hai. Agar vo add karte hai to hum is page par use update jarur kar denge taki aapko Jio Phone popular tricks aasani se mil sake. Iske liye is pages ko Bookmark kar lijiye. Aur isi tarah ki new tricks ke liye website ko Email Subscribe kar lijiye.

Agar aapko hamara yeh post acha laga ho to hume comment kar jarur bataya. Aur agar koi Trick Jio phone me work nahi kar rahi hai to bhi hume bataye. Hum uska solution aapko jarur denge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare