Jio Phone Secret Codes kya hai? All Codes 2019

Hey guys, Kya aap Jio Phone use karte hai agar Ha! to aapko apne phone ki puri jankari hona chahiye. Ab aap soch rahe honge ki kaisi puri jankari? To mai aapko batana chahta hu ki dosto sirf Phone use kar lena hi uske bare me koi jankari nahi hai. Balki puri jankari matlab yah hota hai ki aapke Jio phone secret codes kya hai, Uske Jio Phone secret USSD code kya hai. Lekin agar aapko is bare me koi jankari nahi hai. To aapko is post ko jarur padhna chahiye.
jio-phone-secret-codes-in-hindi
Kyonki is post me humne Jio Phone ke sabhi secret aur hidden code bataye hai. Jise use karke aap apne Jio phone ko aur bhi smart tarike se operate kar payenge.

Jio Phone Secret Code Use kaise kare?

Dosto jesa ki aapko pata hai ki Android mobile me bahut sare hidden features and uses hote hai. Jo ki hume USSD code ke dvara milte hai. Thik usi tarah se Jio Phone ke bhi kuch USSD codes hote hai. Jinhe hum Jio Phone secret codes kah sakte hai. In USSD codes ki help se hum apne Jio phone ke un sabhi details ko check Or use kar sakte hai. Jo ki hume Phone ki setting me nahi milte hai.

Yaha par humne kuch codes bataye jinka use karke aap dekh sakte hai.

Jio Phone Secret Codes list

1.) Kya aap Call Divert ke bare me to jante hi honge. Call divert use karke aap apne Jio phone par aane vali sabhi incoming calls ko dusre number par divert/forward kar sakte hai. Agar aap Jio Phone me call divert use karna chahte hai. To Jio phone me call divert karna jarur sikhna chahiye. Agar aap ise Jio phone me directly karna chahte hai. To maine yaha par Jio phone call divert USSD code diya hai.

Code:- 

*401*Phone number

Use:- Jio phone ki call divert karne ke liye.

Call divert activate karne ke baad jab iska kaam pura ho jaye to ise Deactivate bhi jarur kare. Iske liye aap Jio phone call divert secret codes dial :- *402 dail kar dijiye.

Yah bhi padhe:-
Jio phone me Youtube video Download kare?
Jio phone ko reset kaise kare?

2.) Kya aap apne Jio phone ki SAR value check karna chahte hai aur janna chahte hai ki kahi Jio phone mere liye jyada hanikarak to nahi hai. Aur iski SAR value kitni hai. To aapko is code ko ek bar try karke jarur dekhna chahiye.

Code:-

*#07# 

Use:- SAR Information display karne ke liye.
3.) Friends, Agar aapko esa lagta hai ki aapka Jio phone ke hardware me koi problem hai. To aapko is Jio phone ke secret codes ko dial jarur karna chahiye. Jisse Jio Phone diagnostic hona start ho jayega.

Code:- 

*#2886#

Use :- Jio phone ka Diagnostic configuration karne ke liye.

Jio Phone Secret Codes in Hindi

4.) Kya aap apne Jio phone ki complete battery information sirf ek codes me chahte hai. To iske liye aapko niche diya gaya USSD code apne Jio phone me dial karna hai.

Code:-

*#*#4636#*#*

USe:- Is code se aapko Jio Phone Phone information, Battery information, Battery history, Usage statics pata chal jayega.

Yeh bhi padhe:-
Jio phone me Hotspot chalaye?
Jio phone ki call dusre ko transfer kare?

5.) Kya aapke apne Phone ke Camera ki complete information check karana chahte hai. Agar ha to aapko niche diya code jarur try karna chahiye.

Code:-

*#*#34971539#*#*  

Use:- Is Jio Phone ke secret codes ko dial karne se aapko 4 option show honge.

* Update camera firmware in image (Don't try this option)
* Update camera firmware in SD card
* Get camera firmware version in Reliance JioPhone
* Get firmware update count

WARNING: Never use the first option otherwise your phone camera will stop working and you'll need to take Reliance JioPhone to service center to reinstall camera firmware.

6.) Friends agar aapko apne Jio phone ki keyboard setting ko bar-bar change karne ki jarurat padti hai. To aapko is code ko jarur try karna chahiye. Kyonki is code ki help se aap directly Jio phone Language and Keyboard settings ko change kar sakte hai.

Code:-

*#*#97#*#* 

Use:- Jio phone me Language and Keyboard settings change karne ke liye.

7.) Dosto Jio me aksar network problem aati rahti hai. Jiske chalte hum Call, message, Data usage nahi kar pate hai. Esliye aap is Jio phone secret codes ki help se network settings reset kar sakte hai.
 
Code:-

*#*#46*#*# 

Use:-Reliance JioPhone ki Sim reset karne ke liye.

8.) Kya aap apne Jio phone ke bluetooth device ke address ko search kar rahe hai. To niche diya gaya code ki aapki isme help kar dega.

Code:-

*#*#232337#*# 

Use:- Reliance JioPhone me Bluetooth device ka address display karne me.

9.) Agar aap Jio phone me installed RAM ka version check karna chahte hai. To aapko is USSD code ko try karna chahiye. Jisse aapko Jio Phone ki RAM ka version pata chal jayega.


Code:-

*#*#3264#*#* 

Use:- Jio Phone ki RAM version check karne me.

10.) Agar aap apne Jio phone ka IMEI number search kar rahe hai. Aur janna chahte hai ki mere Jio phone ka IMEI number kya hai to niche batyae is code dial karke aapko Jio Phone ka IMEI number pata chal jayega.

Code:- 

*#06#

Use:- Jio phone ka IMEI number pata karne ke liye.

So friends, Yah the Jio phone secret codes jinki help se hum apne phone ke anubhav ko aur bhi shandar bana sakte hai. Aur android mobile ki tarah features ka use kar sakte hai. Friends, Agar aapko hamari yah post pasand aayi hai to hamari is post ko share jarur kare.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare