Gmail ID (Email) banana hai kaise banaye?

Jis tarah se bina chabi ke taala nahi khulata hai usi tarah se bina email id ke internet nahi chalta hai. Kyonki email id internet ki chabi hai. Agar aap internet chalana hai to aapke paas email id hona chahiye aur Email account banane ke liye sabse achchi jagah hai Gmail yaha par aapko apni Gmail id banana chahiye aur aaj hum is post ki madad se aapko google par gmail account kaise banate hai. Iski jankari dene wale hai.
gmail-ki-email-id-kaise-banaye
Par, usse pahle ye jaan le ki ye ek esi suvidha hai jo hame web-based unique id deti hai email id open karne ke baad hum internet par bahut saare kaam aasani se kar sakte hai gmail ko google ne banaya hai aur 2004 me ye bahut famous ho gya tha, aur isne tab hi yahoo!, Outlook, jaise compny ko piche kar diya tha aur aaj ye itna popular ho gya hai ki. Har koi Gmail par Id banana chahta hai. Na ki yahoo ya fir kisi aur platform par banaya gaya account.
Aaj sab log gmail signup karna hee pasand karte hai kyoki ise manage karna bahut hi aasan hai keval gmail par ek email id banane ke baad hum bahut sari service jaise ki - youtube, google drive, google plus, maps sabhi ko aasani se chala sakte hai aur vaise bhi agar aap internet use karte hai to aapke paas apni ek id ka hona bahut hi jaruri hai.

Kyonki, iske bina aapka internet chalana na chalane ke barabar hi hai. Agar aapke paas bhi apna khud ka ek email Id nahi hai. To, chinta ki koi baat nahi is post ko pad kar aap apne liye ek Gmail ID banana ya account banana sikh sakte hai. Chaliye jaante hai ki gmail par apni id kaise banaye.

Gmail ID banana kaise sikhe?

Gmail sign in ke liye aapke paas ye hona jaruri hai. Tab hi aap Gmail Id banana sikh sakte hai.
  • Ek computer jo internet connected ho.
  • Moblile bhi use kar sakte hai yahi proccess hai bas mobile me chrome browser use kare. 
  • Phone Number jo active ya chalu ho.
STEP :-1  Sabse pahle to aapko gmail.com ki site par jana hoga apne browser ki madad se niche diye link par chale jaye.


http://www.google.co.in

STEP :-2  Ab aapke saamne iska home page khul jayega, Isme aapko right hand side upar ki aur (top right corner) me Gmail ka option mil jayega us par click kare.
gmail-par-click-kare
STEP :-3  Aap gmail account login ke page par pahuch jayege yaha par aapko account banane ke liye Create gmail account par click karna hai.
STEP :-4  Ab aapko apni basic details dena hogi. To First name me apna Name aur Last name me apna Surname dale. Uske baad aapko Username select karna hoga. User name unique hona chahiye. Yani ki use pahle kisi ne create na kiya ho. Aapke dvara enter kiya gaya name agar pahle se liya hua hai to. Alternative email suggest honge unme se kisi bhi address ka use kar sakte hai.
gmail-id-banane-ka-form-bhare
Ab aapko apne Gmail id banana ke liye password dalna hai. Esliye Password vale box me password dale aur Confirm password me same password enter karke Next kar dijiye.
Tip! Hamare account ka passoword kam se kam 8 characters ka hona chahiye. Agar aap ek lamba password rakhte hai to wo aur jada secure rahta hai. Isme aap letters aur numbers ka upyog kare. Taki password ko koi guess na kar sake.

Yeh bhi padhe:-


STEP :-5  Basic details dalkar Next karne ke baad ab aapse Phone number enter karne ke liye kaha jayega. Tab apna activate mobile number yaha par dale kyonki us par OTP Verification code aayega use submit karna padega. Tab apna Mobile number dale.
gmail-id-banana-ke-liye-number-dale
Phir apni Date of Birth dale Day/month/year ke format me dale, Gender me Male/Female select kare aur Next kar dijiye.

STEP :-6  Ab aapke samne Gmail ka license show hoga tab ise drop down kare aur I agree kar dijiye.
gmail-ka-license-accept-kare
Aapke I agree ko click karte hi aapki email id (google id) ban jayegi. Ab aap dekh payenge ki Andy from google se aapko ek email bhi receive hoga. To friends is tarike se aap bahi aasani se sirf mobile aur internet ki help se gmail id banana sikh sakte hai.

Ab aap is gmail id ka use email send, receive karne ke liye kar sakte hai. Agar aap email kaise bhejte hai nahi jante hai to hamari post padhe. Jisme humne details se sikhaya hai.

Show comments
Hide comments

6 comments:

  1. Welcome to the www.hindimehow.in Brother

    ReplyDelete
  2. Gazab aapki site dekh kar yakin hi nahi hota hai ki ye site blogger par hai jab comment karne aaya to pata chala ki ye blogger par hai aap kon si theme use karte hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank You Ravi ji, ha hamari site blogger par hai yeh sab coding ka Kamal hai es theme ko humne hi design kiya hai. Humne ise VB Clean template name diya hai.

      Delete
  3. mai is blog ka continuous visit hgu aur aap ko follow bhi karta hu . maine bhi kuch similar posr likha hai agar aap chahe to ispe ek nazar daal sakte hai. https://www.arunupadhayay.com/google-par-account-kaise-banaye.html

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank You So much Arun ji, hume bada acha laga ki Aap hamari site ko daily Read karte hai. keep Visiting on our site.

      Delete

Apna Comment Kare