Android Mobile Se Computer Ya Laptop Ko Control Kaise Kare Full guide in hindi

Hi Friends, Aaj me aapko bataunga ki kaise apne mobile ya computer se ghar baithe dusre computer ya laptop ko connect kare aur chalaye agar aapko apne computer ya laptop ko chalana ho to ooska vaha hona jaruri bhi nahi hai aap sidhe apne Android mobile se hi ghar baithe office, home ke computer ya laptop ko chala sakte hai iske liye hume ek third party software ki jarurat hoti hai.
Android-Mobile-Se-Computer-Ya-Laptop-Ko-Control-Kaise-Kare-Full-guide-in-hindi

Internet par dhero softwares available hai jese Team viewer, ammyy admin, aero admin, window remote desktop etc jinki help se aap apne computer ko remotely access kar sakte hai par remotely access karne ke liye sabse adhik popular team viewer hai to mai apko yaha team viewer ke dvara computer ya laptop ko access karna bataunga iske liye aapke computer me team viewer install hona chahiye.



Toh chaliye dekhte hai ghar baithe apne mobile se office ke computer ya laptop ko kaise chalaye par iske pahle aapko yeh pata hona chahiye ki Remote access kya hai, team viewer software kaise work karta hai.


Remote access kya hai?

Remote access ek esi technique hai jiske dvara aap apne latop ya computer, mobile ke dvara dusre laptop, computer ko chala ya handle kar sakte hai iske liye aapke computer aur mobile me internet hona jaruri hai aur sath hi sath hi Android, ios mobile aur computer me connection ke liye team viewe bhi hona jaruri hai.
Remote access ke dvara aap connected laptop ya computer ki files and folder ko bhi access kar sakte hai aur oose edit bhi kar sakte hai aur oos connected system se download bhi kar sakte hai.

Tema viewer kya hai?

Team viewer ek open source and third party software hai jo two device, ek computer aur mobile ko connect karta hai. Yeh hume secure connectivity deta hai jisse hum easily Remote control kar paye. 

Apne Android mobile Se Computer ya laptop ko kaise control kar chalaye


Step1:- Apne computer aur mobile dono me Team viewer open karle.

Step2:- Team viewer me dikh rahi ID aur password apne mobile me dale jisse computer handle karna chahte hai aur Remote par click kare.

 Android-Mobile-Se-Computer-Ya-Laptop-Ko-Control-Kaise-Kare


Step3:- Remote par click karte hi aapke computer ka desktop black ho jayega aur mobile me aap Computer ka pura desktop dekh sakte hai yani ki aapka computer mobile se remote connected ho chukka hai.


Note:- Remote access ke liye Computer aur mobile dono me same software install hona chahiye


Ab aap computer ko aasani se handle kar sakte hai aur usme files open kar sakte hai, edit kar sakte hai. Computers ki file ko aapke mobile me copy karne ke liye aapko file section me jana hoga aur phir connect karna hoaga tab aap computer ki files ko apne mobile me copy ya download kar payenge.


Remote access ke dvara aap computer ki problems ko easily thik kar sakte aur computer restart, reboot, safe boot kar sakte hai. Aapko hamari yeh trick kaisi lagi hume jarur bataye aur ise apne friends ke sath social media par jarur share kare aur esi hi new trick apne email box me free pane ke liye niche diye Email news box se subscribe kare aur sath hi humse social media Facebook ke dvara jude rahne ke liye hamare Fb fan page hindimehow ko like kare.

Thank You😊

Show comments
Hide comments

1 comment:

Apna Comment Kare