Call Divert kaise hataye ya band kaise karte hai?

Hello friends, Kya aapne kisi kaam se apne number ki incoming call ko dusre number par divert kiya tha. Lekin ab kaam pura ho chuka hai aur ab call divert band ya call divert hatana chahte hai. Taki aane vali calls dusre number par na jaye aur pahle ki tarah phir se aapke mobile par aane lag jaye. Ya phir aapke pas anjaane logo ki calls aa rahi hai. Aur kya esa kahte hai ki maine to har bar isi number ko dial karta hu aur baat karta hu to ho sakta hai ki kisi ne call divert chalu kar di hogi. To iske liye aapko Call forward Ya divert ki settings ko change karna hoga.
call-divert-kaise-hataye-aur-call-divert-band-kaise-kare
Call divert band karna bahut hi aasan hai. Agar aap nahi jante hai ki call divert kaise hataye to hamari is post ko pura jarur padhe. Yaha humne step by steps with images bataya hai taki aap call divert deactivate kar sake. Lekin ise karne ke pahle yah kya hota hai jarur padh lijiye.

Call Divert kya hota hai?

Call divert, Yani ki apne mobile number par aane vali calls ko kisi dusre number par divert karna "Call divert" kahlata hai. Jiske baad call tab tak us number par jati rahegi. Jab tak ki aap call divert band ya hata nahi dete hai. Ise Call forwarding ke name se bhi jana jata hai. 
Dosto mai yah post isliye likh raha hu. Kyonki kuch dino pahle mujhe ek email request mili ki maine call divert to kar liya par ab call divert kaise hataye. To iske liye aaj mai ye post likh rahu hai Taki ise padhne ke baad call divert band kar sake. Iske liye mai 2 tarike batane vala hu.

Call Divert hataye Or band kaise kare? [USSD Code Method]

Jesa ki abhi upar maine kaha ki Call divert deactivate karne ke 2 tarike hote hai. Jis tarah se aapne call divert activate kiya tha. Thik usi tarah se call divert hata bhi kar sakte hai. Yaha par mai aap logo ko dono hi tariko ke bare me detail se batane vala hu. Jiske baad aap bhi apne number ki incoming calls ke liye call divert band kar payenge.

Follow Steps 👇

Call divert hatane ka USSD janne ke pahle Number dial pad me jaye. Aur phir niche diya code dial kare.
Call divert deactivation code :- ##02#
call-divert-band-ka-ussd-code
Yah USSD code us mobile se dial karna hai. Jiski call divert hatana chahte hai. Jaise hi aap ye code dial karke call karte hai. Aapke mobile me call divert band ho jayega.
call-divert-hataye-ja-chuka-hai
To dosto aapne dekh hi liya ki call divert karna kitna aasan hai. Simple aapko ##02# is number par call karna hota hai aur aapko ek notification aata hai ki aapki call divert ki setting ko band kar diya gaya hai. Agar aap Jio user hai to yah code work nahi karega iske liye aap *42 dial kare. Ya phir detail se janne ke liye Jio call divert activate or deactivate kaise kare post padhe.

Call Setting se Call Divert kaise hataye? [Manually Method]

STEP :-1  Call divert band karne ke liye sabse pahle Dial pad me jaye. Aur left side ke 3 dots par click kare. Aur phir Setting par click kare.


STEP :-2  Ab Call setting me jaye aur Call forwarding ko click kar dijiye. Aap jis sim ki call divert hatana chahte hai us sim ko select kare.
STEP :-3  Ab yaha par aap dekh sakte hai ki bahut saare conditional call divert option khul jayenge. Lekin filhal me jo active hoga vo on show hoga. Tab aap us par click kare. Example:- Agar hume Always forwarding ko deactivate karna hai. To hum Always ko select karenge.
turn-off-kare
Always forward ko select karne ke baad me ab aap dekh sakte hai ki. Yaha par ek mobile number enter kiya hua hoga. Jis par sabhi call transfer ho rahi thi. Chunki abhi call divert hatana chahte hai. Iske liye is Number ko delete karke Turn Off kar denge.
To dekha is tarike se aap Manually method aur USSD method ko follow karke. Apne number ki forward ho rahi calls ki call divert kaise hataye sikh sakte hai. Aur call divert band karne ke baad jarurat padne par phir se call divert activate kar sakte hai.
 
Tags -: call divert kaise hataye, call divert kaise band kare, call divert kaise hataye code, call divert hatane ka code, call divert deactivation code in hindi.

Show comments
Hide comments

7 comments:

  1. Outgoing call forwarded ESA likha aa rha h bank me call lgane pr kya ye mere mobile ki prblm h ya bank ki plz suggest

    ReplyDelete
  2. Jio ka call airtel par forwarding kiya tha, lekin ab wah de active nhi ho rha. Kya kre.Reply please

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jio call forwarding band karne ke liye apne dialpad se *402 dial kare.  Adhik jankari ke liye Jio call forwarding on/off kaise kare post padhe.

      Delete
  3. Mera mobile ek ladka ne call forwarding kr liya hai me kasi isko hatayun plz reply me
    Whai ussd kr chuka hun suscessfull bata raha hai but nahi hua hai abhitak

    ReplyDelete
    Replies
    1. Agar call divert Jio sim se ho raha hai to *402 dial kare. Aur agar aap airtel, idea etc use karte hai to dialpad me jaye aur ##02# dial kar dijiye.

      Delete

Apna Comment Kare