Play Store ki ID/Account banana hai kaise banaye?

Friends jab aap mobile me kisi bhi android App ko download karne ke liye Play store ko open karte hai. To Kya Play store app open nahi ho raha hai. Aur kisi tarah ki ID aur Password mang raha hai. To mai aapko bata du ki ise Play store Id banana ke name se jante hai. Jab tak aap is par ID/account nahi bana lete hai. Tab tak aap play store se kisi bhi app ko download or Update nahi kar sakte hai.

Esliye aaj mai aap logo ko Play Store ki Id banana sikhane vala hu. Ki kis tarike se aap apne android mobile ke liye play store ki ID bana sakte hai. Aur apne mobile me ise use kar sakte hai. Lekin iske pahle mai aap logo ko Play Store se introduce karana chahta hu ki Play store kya hota hai?

Play Store kya hai?

Play Store ek Online Android App store hai. Jaha se sabhi android mobile users apne mobile ke liye Free and Paid apps ko download aur use kar sakte hai. Yeh Google ke dvara banaya gaya Store hai. Esliye is par Apps ko download karne ke liye Google Play store par id banana jaruri hota hai.
Matlab ye hai ki aapko apni gmail id se play store app me sign in karna hota hai. Play store se hum tab tak  apne mobile me kuch bhi download nhi kar sakte hai. Jab tak ki hum apne Play store se apne Gmail account ko jod nahi dete hai. Ek baar play store account ban jata hai. Uske baad hum yaha se koi bhi App aasani se download kar sakte hai. Agar aapko bhi apni ek play store ki id banani hai to aap bilkul sahi post padh rahe hai.
Play-store-id-kaise-banaye
 Kyoki aaj ye post sirf unhi logo ke liye hai, Jinhe abhi tak nahi pata hai ki  apne mobile me Play store id ko login kaise karte hai. Aur Mobile me kaise chalate hai. Ese bahut sare log hai jo net par "Play store ki id kaise banaye" search karte hai. Jabki play store ki id banana to bahut hi aasan hai ise behtar tarike se samjhane humne har steps ke saath image attach kiye hai.

Google Play Store ki id kaise banaye?

Play store google ka ek App store hai. Play store se Apps ko download karne ke liye isme hume apni Gmail id ko add karna padta hai. Lekin bahut sare log samajh nahi pate hai ki yaha hume apni gmail account ko add karna hai. Balki unhe lagta hai ki alag se Play store id banana padegi.
Lekin esa nahi hai agar aapke pas Gmail id hai to aapko alag se Play Store Id banana ki jarurat nahi hoti hai. Agar aapke paas Gmail ID nahi hai to niche diye hue link par click kare, isme ise banane ka tarika bataya gaya hai. Gmail Id kaise banana sikhe? Ab Agar aapne email Id create kar liya hai to chaliye ab hum Play Store ID banane ki method jante hai.

STEP :-1 Sabse pahle to Play Store ko Open kare.
play-store-open-kare
STEP :-2 Play Store open karne par aapko ek option Add Existing Or New name se Option milega. Tab agar aapke paas Gmail ID hai to Existing par click kare. Aur apni Gmail Id aur Password se login kar lijiye.
play-store-ki-id-kaise-banaye
Aur agar Gmail ID nahi hai to New par click kare niche ki steps follow karke Play Store ID banana sikhe.

STEP :-3   Jesa ki aap image me dekh sakte hai ki First name me apne name aur Last name me surname dal kar Next kare.
first-and-last-name-dale
STEP :-4  Ab aapko apna new Gmail/Email id dalna hai. Example:- Bishal007bhati@gmail.com
play-\store-id-ka-gmail-banana
Lekin dhyan rahe aapko unique email dalna hai. Jo abhi tak kisine banaya nahi ho.  Email dalne ke baad Next kare.

STEP :-5  Ab apne Gmail ID ke liye Password banaye. Aur Re-type password vale box me same password dal kar Next kare.
play-store-id-banane-ka-password-dale
Ab Google password recovery ka option aayega. Ise Not now kare aur phir isek baad ki sabhi steps ko Next karte jaye. Bich ki ek step me aapse Captcha solve karne ke liye bhi kaha jayega. Tab imge dikh rahe words ko niche box me as it is type kar dijiye.
Aapka account ban chuka hai. So, ab to aapko pata chal gaya hoga ki Play store ka account banana kitna aasan hai. Ab aap bhi apne mobile me apni gmail id ko play store me setup kar sakte hai. Aur Play store chala sakte hai aur Play store se kisi bhio app ko download aur update kar sakte hai.

Play store ki id banani kyo jaruri hai

Id banan lene ke baad aapke liye yah janna bhi jaruri hai. Ki Play store ko Google ne android user ke liye banaya hai. Yah All in One Apps Store hai is par aapko Games (PUBG), Whatsapp, eBooks, sabhi tarah ke applications, Theme, Wallpapers aur bhi bahut kuch available hai, Sirf itna hi nahi aap online play store se paise bhi kama sakte hai. Iski jankaari me aapko agli baar dunga. Aap is par ek sath multiple email id set kar sakte ho ya apni kisi bhi id se play store id change kar sakte ho.
    Aasha karta hu dosto aapki play store ki id ban gayi hogi. Ab to aap Play store Id banana sikha gaye honge. Agar aapko abhi Play store Id se related koi bhi problem hai to hume comment kar jarur bataye. Hum aapki comment ka reply jarur karenge. Isi tarh ki aur bhi post pane ke liye hamari website ko Email Subscribe kare.

    Show comments
    Hide comments

    2 comments:

    Apna Comment Kare