Software kaise install kare? Puri jankari hindi me [PC/Laptop]

Friends aap yeh to jante hi honge ki agar kisi computer/laptop me agar software install nahi hai. To iska matlab yah hai ki hum usme koi jyada work nahi kar sakte hai. Kyonki software hi hamare computer system ko upyogi bananta hai. Aur agar hum computer format ya Windows Reinstall karte hai. Tab hamare compute me koi bhi software install nahi hota hai. Hume software ke setup ko computer/laptop me install karna hota hai. Aur agar aapko installation se related koi jankari nahi hai. To aaj ki is post me aap logo Computer ya laptop me Software kaise install kare batane vala hu.

Aaj hum aap logo ko ek basic Computer information ke bareme batane wale hai. Jo har ek computer user ke liye jauri hai. Kyonki pata nahi kab aur kis computer/laptop me software install karne ke jarurat pad jaye. Agar baat hum basic ki kare to usme computer on karne se laga kar pc/laptop me software ko install karna bhi ek basic jankari hi hai.
software-kaise-install-kare

Jab kabhi bhi hum kisi Application Software ka use karna chahte hai. Aur vo hamare paas nahi hota hai. To hum oos software ka setup Buy (kharidte) late hai. Ya oos setup ko Internet se download karte hai. Setup download karne ke bad hume is setup ko install bhi karna padta hai. Jo ki har kisi computer user ko nahi aata hai. Jab yeh bahut hi aasan hai ise hum kuch hi steps ko follow kar samjh sakte hai. Aur aasani se apne laptop or computer me software apne pasand ka software installation kar sakte hai.

Software kya hota hai? What is a Software ?

Software, instruction (nirdesh) ka samuh hota hai. Jo ki data, fact se milkar bana hota hai. Jiska kaam user ko computer ke chalane layak banana hota hai. Software ki help se hume ek meaningful result mil pata hai.
Yaha hum Example ke rup me Computer me VLC media player install kaise karte hai sikhane vale hai. VLC ek video, audio player hai jiske dvara aap HD video ko bhi apne computer me chala sakte hai.

Software install kaise karte hai ? Software install karna sikhe

Software computer ke liye ek esi jaruri program hai. Maan lijiye ki agar aap computer me Internet chalana chahte hai magar aapke pass Internet browser hi nahi hai toh aap Internet surf nahi kar payenge. Thik isi tarah ke alag-alag kamo ko karne ke liye different software ki jarurat padti hai. Esliye hamare computer me software hona jaruri hai. Aur pata nahi kab aapko ise karne ki jarurat pad jaye isliye aaj software install karna sikh lijiye.

STEP :-1  Sabse se pahle jis kisi bhi software ko computer me install karna hai. Us par mouse ke cursor ko le jaiye aur mouse ka Right side butoon dabaye options ke liye. Yaha aapko option dikhai denge usme se aapko Run as Administrator ko select karna hai.
software-run-kare
STEP :-2  Open pr click karte hi aapke samne oos software ka language setup open ho jayega. Tab aapko English language select karna hai aru OK par click karna hai.

Yeh bhi padhe:-
Windows 7 kaise install kare
Antivirus kaise install kare
Computer ka password kaise tode

STEP :-3  Ok pr click karne ke bad me aapke samne welcome to the vlc media software installation ka wizard open ho jayeg usme Next par click kare.
vlc-software-install-kaise-kare
STEP :-4  Next par click karne ke bad me aapke samne VLC software ka License Agreement open ho jayge. Isme software install karne ke pahle Termas & Condition yani ki license aggrement hota hai. Ise chahe to padh sakte hai aur phir Next par click kare.
vlc-ka-license-aggerment
STEP :-5  Iske baad vlc ki choose component ki window open hogi. Tab recommended select kare aur Next par click kare.
STEP :-6  Ab aapko Choose install location me jo location hai vahi rahne dena hai aur Install Button par click karna hai,click karte he install ki process start ho jeyegi.
vlc-media-play-install-ho-raha-hai

STEP :-7  Ab software ki processing start ho chuki hai thodi der wait kare.

STEP :-8  Ab aapko Run vlc media player ke aage mark ✔ karna hai. Jesa ki main image me dikhya hai yeh final step hai. Next par click karte hi software wizard complete ho jayega uske baad aap apne computer me software ka use kar payenge.
laptop-me-vlc-software-install-karna-hai.
STEP :-9  Yahoo! Ab aapke computer me VLC media player software install ho chuka hai. Ab aap iski help se kisi bhi quality ki video ko chala sakte hai. Aur online streaming ke liye use kar sakte hai.

Enjoy kare apne Vlc media player ka aur kisi bhi format(HD,HQ,Mp4,3gp,avi,mkw) ki video apne computer me chalaiye. Toh dosto es tarah se hum hamare windows computer me kisi bhi software ko install kar sakte hai. Agar aapko kisi bhi software ko install karne me problem hai toh hume comment kar jarur bataye. Hum us software ko install karne me aane vali problem ka solution jarur denge.

Show comments
Hide comments

11 comments:

  1. Bluestack install nahi ho raha he vga card mang raha hai

    ReplyDelete
  2. Aap apne computer me vga driver install kar lijiye aur phir install kariye yeh problem nahi aayegi.

    ReplyDelete
  3. Sir mera laptop dell ka hai usme koi bhi software install nhi ho rha hai na hi to usme sounds a rha hai please sir help me

    ReplyDelete
  4. Aap computer me new windows insall karke antivirus install kare kyonki aapka laptop virus infected ho gaya hoga

    ReplyDelete
  5. bahut achchi jankari di hai

    ReplyDelete
  6. maiapne pc me softwear install kr rha hu to vo apne setup se nhi khul rha hai vo uc dikha rkha rha hai mai kya kru

    ReplyDelete
    Replies
    1. Ho skta hai software package corrupt ho gaya ho isliye Aap phir se software ko download kar lijye aur antivirus scan kar lijiye.

      Delete
  7. Thank you for sharing infoinformat

    ReplyDelete

Apna Comment Kare