Computer Me Files and Folder Hide and Show Kaise Kare ?

Naskar Dosto, Dosto aap Computer🖳 ka use to jarur karte honge aur usme aapki kuch personal files 📁 bhi hogi jinhe aap logog ki pahuch se dur rakhna chahte honge chunki aap agar apna system ghar me use karte hai to aapko hamesh dar laga hota hai kahi koi aapki files, audio, video ko kahi kuch kar na de ya open na kar le to me aaj aap logo ki iss problem ka solution dene ja raha hu ki apne computer apni personal files (docs, audio, video, folder ya koi bhi files) ko kaise hide(chhupana) aur show(dekhna) kare.
    Aap logo ne apni files ko chhupane ke liye Internt par kai bar search bhi kiya hoga ki how to hide our personal files in computer, files hider jaise keywords ke dvara toh mai aaj aap logo ko bataunga ki apni files, folder ya kisi bhi type, format ki files ko computer me kaise hide kare vo bhi bina kisi software ka use kare, ise karne ke liye aapko keval mai jo steps bata raha hu unhe follow karna hai. So Let’s Start →

    computer-files-folder-hide-show-kaise-kare


    Computer Me apni Files, Folder Ko hide kaise kare ?

    Step1:- Aap jis kisi bhi file ko chuupana chahte hai oos par jaye aur Right Click kare aur properties me jaye.

    Step2:- Properties open ho jayegi usme last me niche ki aur attributes: me hidden ko mark kare aur Apply kar ise ok kar dijiye. 


    Computer-Me-Files-and-Folder-Hide-and-Show-Kaise-Kare ?


    Step3:- Ab refresh kare aur dekhiye ki aapki file hide ho gayi hai. 

    To is tarike se aap apni files ko hide kar sakte hai………….. Par bat yahi par khatm nahi hue hai aapne apni file ko hide kiya hai to oose jarurt padne par oose vapas show bhi to karna chahenge taki aap apni oos file ko use kar sake, adhiktr log apni files ko hide to kar lete hai par oose show nahi kar pate hai aur es tarah unki files computer me hi kahi gum ho jati hai.
    Toh chaliye jante hai computer me chhupayi gayi files ko show vapas kaise dekhe. Ise karne ke liye aapko keval windows Explore ke Menu bar ko open karna hoga aur usme kuch changes karna padega 'Agr aap ke computer me windows explore ka menu show nahi bhi ho raha hai to aap ise control panel me File Explore Option ke dvara change kar sakte hai'. How to show hidden files in Computer Or Laptop → 

    Hide ki gayi files ko show kaise kare ? 


    Step1:- My Computer khole aur Left side me upar ke aur dekhiye aapko File, edit, view, window, help ka menu bar dikhai de raha hoga usme View select kare ya Toolbar nahi dikh raha ho to  "ALT" dabaye

    Computer-Me-Files-and-Folder-Hide-and-Show-Kaise-Kare ?


    Step2:- View me Files and Folder select kare aur View tab me jaye show hidden files and Folder, or drive select kare, Selcect karne ke bad apply kar Ok button par click kare.

    Computer-Me-Files-and-Folder-Hide-and-Show-Kaise-Kare ?


    Step3:- Refresh kare  aur changes dekhiye aapki files show ho chuki hogi.
    Aapke dvar selected files ko vapas show se hide karne ke liye aapko keval isme Show ki jagah Don't Show select karna hai


    Computer-Me-Files-and-Folder-Hide-and-Show-Kaise-Kare ?



    Apni files directory location me jaye jaha par aapne apni files ko hide kiya tha ab aap dekh sakte hai aapke dvara hide ki gayi files phir se show ho gayi hai.
    Note: Apni files ko dobar hide karne ke liye aapko Menu>> View>> Edit me Show files ki jagah par Don’t show files select karna hai aur apni files ki location ko bhi jarur dhyan rakhe.
    Thank You



    No comments:

    Post a Comment

    Apna Comment Kare