Apne Name Ke Computer Shortcut Kaise Banaye

Hello,friends Aap sabhi computer ka use to krte hi honge. Jb kabhi bhi hum computer ka use karte hai tab hume bahut saare software ka use karna pdta hai jo ki hume ya toh desktop pr ya phir hume uske Run program me uske shortcut type karke mil jate hai ya Phir “All programs” me to mil hi jate hai. Agr hume kisi software ka kam bar-bar pdta hai toh hum oos software ka shortcut apne computer ke desktop par bana late hai or uska use krne lgte hai.



apne-name-ke-computer-shortcut-kaise-banaye


    Par kya aap log yeh bat jante he ki hum apne computer me apne anusar khud ke shortcut bhi bana sakte hai ji ha dosto bilkul sahi padha hai aap logo ne hum apne shortcuts computer me bana skte hai. Aaj me Apka Friend Bishal Aap logo ko es post ke madhym se yah btaunga ki apne khud ke softwares ke shortcuts kaise banaye aur apne dosto ke bich Tech boy kaise bane aur kis trah apne group me chhaye rahe.



    Shortcut banane ki puri process ke bad Run program me oos software shortcut ka short name type kr apne software ko direct open kar sakte hai. Toh Ready ho jaye is trick ko janne ke liye Yaha mai kuch Steps bataunga unhe computer mai follow kare aur apne khud ke computer shortcuts banaye.

     Apne khud ke Computer Shortcuts kaise banaye


    Step1:- Apne computer ke desktop pr jaye aur kahi khali jgah Pe Right click kare New me shortcut par click kare.

    Step2:- Shortcut par click karne ke baad ab aap ke samne ek Create shortcut box open ho jayega usme Browse ko select kare phir computer par aur phir  “Local disk C” phir “Program file” aur uske bad inme se koi ek software folder pr click kre (jese ki Video lan) tb oos folder ki sari files open ho jayegi oon files me se icon vale ek software ko chune jaise ki Vlc select kare ok aur phir next pr click kre.

    Directory:- new > shortcuts > Browse > Computer > Local diskC > Program files> Select a folder > select a software



    Step3:-Next pr click krne ke bad me Type a name for this shortcut me apni marji anusar name dijiye jese hmh aur finish pr click kre.

    Step4:- Ab oos software ka shortcut aap ke desktop par aa gaya hoga uske bad oos shrtct ko copy karle aur Apne computer ke local disk C ko open kre phir Windows name ka folder open kare

    Directory:- C > Windows 

    Step5:- Windows folder me  “system32” name ke folder ko dhunde aur system32 me copy kiye hue shortcut ko paste kar dijiye.
      
    Directory:-C> Windows > system32> Paste

    Ab windows Key+R button press kare toh Run name ka ek program open hoga usme apne dvara banye gaye software ke shortcut ke name hmh ko dale aur Enter press karenge to apka software khul jayega yani ki apka software aApke diye shortcut se chal raha hai, yaani ki hume apna shortcut process puri kr li hai. Aap ise jitni bar chahe open kar skte hai aur es tarh se kisi bhi file, folder, software ka shortcut bana sakte hai.


    Agar Aapko hamari ye trick behtr lagi hai toh hume comment kar jarur bataye aur ise apne dosto ke sath jarur share kare, Share karne ke liye niche button par click kare.