Microsoft Excel कैसे use करे - Excel की जानकारी हिन्दी मे |

Microsoft Excel ek bahut achcha software hai jo hume sheet, tables, result, stock ya kisi bhi item ki list, chart banane ki permission deta hai Microsoft excel ke madad hum badi se badi tables aasani aur jaldi se bana sakte hai. Choti se choti company ki baat ho ya badi companies sabhi jagah par Microsoft excel hi use hota hai excel ke kuch khas features hai jiske jiski hum kum time me badi aur difficult spread sheet file bhi bana sakte hai ise use karna bahut aasan hai ek bar agar aap iske functions and formulas ko samjhe gaye to yeh software aapke liye bahut useful hoga. Excel me hum easily function (fx) ke dvara puri list ka total ya jod, multiply ya guna, column ki sabse badi digit nikalna, sort, filter ka use ek sath me kar sakte hai. Es post me hum appko batayenge ki row and column kya hoti hai, excel me function kaise lagaye, sort, filter, merge and center, wrap text kaise lagaya ya use karte hai aur excel me row and column kaise insert/add kare?
excel-formula-kaise-use-kare

Rows and colum kya hoti hai?

Jab aap excel ko open karenge to aapko kai saare blank box dikhai denge keval usme aapko left side me badte kram me 1, 2, 3, 4….. upar ki side me ABCD iske alava Excel me aapko kai saare blank box dikhenge. Ab hum samjhte hai ki Row kya hoti hai jaha par hume 1, 2, 3, 4 khadi line me dikh rahe hai oose Colum kahte hai aur iska ulta excel me A, B, C, D  ki line jo ki aadi line me hoti hai oose Row kahte hai. Excel ke blank area me kahi par bhi click karne par hum click karte hai to hume ek loction dikhti hai jise cell location kahte hai agar aapko kisi cell ki location batana ho to ise aap es tarah se pahchan sakte hai Column(C, D….) me Row (1, 2…) ka guna jese agar aap B colum me 4 Row par click karte hai to

Excel ke function FX kaise use kare?

Fuction ke dvara hum kisi bhi sheet me row, column ka total, row ya column me present sabse badi digit ko find, conditions ka use kar sakte hai. Yaha par me aapko kuch mostly use hone wale function bata raha hu.


Sum: Iske dvara hum kisi bhi row ya column ki digits ka total nikal sakte hai, kisi bhi row ya column ka total nikalne ke liye oos table ke niche click kar dijiye jaha par aap oon digits ka total karna chahte hai aur phir fuction par click kare usme Sum select kare tab aapke saamne fuction argument open hoga jisme excel aapko show karega ki vo kaha se kaha tak ki digit ka total kar raha hai confirm kar lijiye aur OK par click kar lijiye. Aap chahe to jaha par bhi aap formula apply karna chahte hai oose manually karne ki jagah fuction bar me directly function formula type kar bhi ise apply kar sakte hai iske liye aapko FX ke paas dikh rahi khali jagah jise formula bar kahte hai me formula type kar result prapt kar sakte hai ya phir sum nikalne ke liye home button ke editing group me Auto sum select kare.
Example:- maan lijiye ki aap sheet me B1 se B8 tak ki digit ka total karna chahte hai to Sum ke fuction arguments me =Sum(B1:B8) show hoga.
    Max: Iske dvara aap kisi bhi row ya colum me present sabse badi digit ko find kar sakte hai. Max ka use karne liye blank box me click kare jaha aap sabse badi digit dekhna chahte hai phir Fx par click kare aur Max select kare ab fuction argument me dikh raha hoga ki yeh function kaha se kaha tak ke cell liye work karega confirm kar ok kare.

    Format painter aur Auto fill kyo aur kaise use kare?

    Format Painter: Yeh ek esi tool hai jo sheet ke kisi bhi cell ke upar ki gayi desing ya colour ko kisi dusre cell par copy karne ki permission deta hai iske dvara aap kisi bhi cell ko selected cell ki tarah kar sakte hai. Jis kisi bhi cell ko aap format painter ke liye upyog me lana chahate oose par click kare aur format painter select kare phir jis kisi bhi dusre cell ko aap uski tarah banana chahte hai oos par click kar de vo cell uski tarah ban jayega.

    Auto fill: Excel ki ek khas baat yeh bhi hai ki yeh auto fill par work karta hai yani ke agar aapne kisi colum ya row koi digit ya ginti dali to excel oose samjh jayega aur khud next cells ko fill kar dega. Maan lijiye ki agar aapne row 2, 4 dala hai aura age aap oose auto fill karna chahte hai to oon dono ko select kare aur niche right side ki aur dikh rahe + ke sine (चिन्ह) ko drag kare tab automatically next cells me 4, 6, 8, 10 ho jayega yeh tarika aap serial numbers dalne ke liye bhi use kar sakte hai.
    Direct formula: excel me aap kisi bhi cell me without function ko select kare formulas apply kar sakte hai, formula lagane ke liye sabse pahle aapko = lagana padega phir oon cells ko select karna hoga aur unke bich me sine mark +, - lagana hoga  aur entre karna padega.

    Sort aur filter ka use kyo aur kaise kare?

    Sort: Sort ek tarah ka sequence me jamane vali command hai jo kisi bhi row ya column ke data ko ek fix sequence me kar deta hai jese:- A to Z, Z to A, Small to greater, greater to small. Maan lijiye ki aapne ek student list ready ki hai jisme sabhi students ke name upar niche dale hai par jab aap Sort select kar A to Z karenge to sort aapke puri student list ko Alaphbet ke kram (A to Z) kar dega.
    Filter: Filter, jesa ki word se hume pata chal raha hai ki kisi bhi cell ki value ko ek specially sort kar show karna. Jab bhi hum kisi row ya colum ko filter kar dete hai to uske piche ek down side arrow sign lag jata jise open kar hum keval oosi value ko hi dekh sakhte hai jise hum dekhna chahte hai. Agar humne student name list me filter lagaya hai tab hum chahe to keval K name ke ya phir B name ke students and unki details ko dekh payenge.

    Excel Sheet me Algnment, wrap text, merge an center kaise kare?

    Wrap Text: Maan lijiye aapne ek cell me kuch likha hai aur oos cell ki size kam rakhna chahte hai aur total words ko oosi size me dekhna chahte hai to iske liye wrap text ka use karte hai wrap text words ko box ki size me shrink aur fit kar deta hai.
    Merge and Centre: Merge ka use two row ya two column ko ek row karne me yani ke two row ya colum se ek cell me karne me kiya jata hai aur phir Centre oon words ko centre me kar deta hai niche diye example se aapko clear ho jayega.
    Example:- maan lijiye ki aapne products export ki ek list banai aur usme aap indore ko export(diye gaye) data entry kar rahe hai aur usme indore ko two products Computer, pan drive diye hai to aap uske liye alag-alag cell na banate hue Indore ko two cell me merge karenge aur next cell me dono products entre karenge aur adhik janne ke liye image dekhe.

    Table me Border kyo aur kaise lagaye?

    Border and Shading: Excel me jab hum koi sheet banate hai to hume usme light black color ke box dikhai dete hai par reality me vo koi box nahi hote jab hum oos file ko print karte hai to hume usme koi borders nahi dikhai deti hai tab hume oos sheet ke sabhi row and column ki bordering karna hoti hai. Border karne ke liye area select kare jitne area me aap border karna chahte hai phir Home tab ke font group me Border me all side border select kare tab aap dekhenge ki aapke select area cells me boundary ho chuki hai agar aap chahe to border ka color bhi change kar sakte hai.

    Excel sheet me row and column kaise insert kare?

    Aapne ek sheet banai aur agar aap oos sheet ke bich me row ya column jodna chahte hai to insert ke dvara aap kisi bhi cell me Row ya column insert kar sakte hai. Jaha par bhi aap Row ya column add karne ke vaha par click kare aur insert me jakar sheet row ya Sheet column select kare, aap jis kisi bhi row ya column ke upar click karoge uske upar ya left side row and column add ho jayega.

    Show comments
    Hide comments

    2 comments:

    Apna Comment Kare