Google par apna photo aur apni image kaise dale

Aapko shayad  pata nahi hoga ki google image bhi search karta hai aur aap apni image google ke search me daal sakte hai aur aaj is post me aapko iski puri jankari dene wala hu ki ye kaise posible hai.

Famous kon nahi hona chahta hai sabhi ko famous hona hai uska ek tarika hai google par apne photo ko dalna aur apna koi bhi photo google par kaise dalte hai, Google par photo dalna jyada mushkil nahi hai


Lagbhag sabhi log google par apna photo upload karna chahte hai kyoki wo bhi internet par famous ho sake sabhi ke man me ye aata hai ki jab bhi koi hamare bare me internet par search kare to hamara bhi photo google par aaye isliye to me aapko aaj kuch esi tips aur tarike batane wala hu jiski madad se aap aasani se apne photo google par daal sakte hai. Jaisa ki aapko pata hi hai ki Jab bhi hum kisi celebrity ko google par search karte hai to hame uske photo dikhte hai, esa isliye hai kyoki in logo ke photo google par dale ja chuke hai par ek baat aapko clearly bata dete hai ki google ek search engine hai isliye yaha par hum kuch bhi khoj sakte hai par yaha par hame koi upload ka option nahi milta hai is liye google par kuch bhi upload nahi kiya ja sakta hai. Ab sawaal ye uthta hai ki google par photo upload kaise kare, to iska jawaab hai google ki services aur products, ye bilkul sach hai ki inka use karke aur inki madad se hum google image search me khud ka photo dekh sakte hai, aur is tarah se hum apne photo internet par daal sakte hai.
Google-par-apne-khud-ke-photo-upload-kaise-kare

Google Par photo kaise dale hindi me tarika


Hum Aapko kuch tips dene wale hai agar inhe follow karoge to beshak aapke naam ko koi search karega to aapka photo bhi google us vyakti ko dikhayega.

Mathod -: 1

Agar aap image search engine me jaldi se jaldi apne photo ko lana chahte hai to sabse pahle baat aati hai website ki, agar aapke paas site nahi hai to pahle aap apne liye ek website ya blog bana sakte hai.

Website banane ke liye Blogger.com par jaye aur aapko yaha par sign par click karke apni gmail id se sign in karna hai. Ab aapko create blog par click karna hai uske baad apne blog ka naam, apne blog ka ek url dalna hoga detail bharne ke baad create blog par click kare aapka blog ban jayega uske baad aap yaha par photo upload kar sakte ho.

google par free website bana kar apni website par photo upload karte hai to kuch hi dino me aapka photo google image me dikhne lagega aur ye sabse achha tarika hai. Par photo ko site par upload karne se pahle aapko kuch rules ko follow karna hoga.

  • apne photo ko site par dalne se pahle use rename kare aur usme wo naam use kare jiske bare me image hai.
  • Image ko website par upload karne ke baad image alt tag use kare.

google par photo upload karne ke liye image seo kare

Kahne ka sidha matlab hai ki aapka image SEO ( search engine optimize ) hona chahiye, agar aapka image seo friendly hai to aapka photo 2-3 din me hi google par dikhne lagega. Hamare hisab se google par photo upload karne ke liye yahi sabse sahi tarika hai.


me apna photo google par kaise dalu

Mathod -: 2

Google ka photo upload karne ke liye dusra sabse achha tarika hai social media. Ji ha wo sare social network jo aap roj use karte hai. Social network me Google+ photo ko google par show karne ke liye sabse achha social media hai kyo ki ise google ne hi banaya hai aur ispar account banane ki jarurat nahi hoti hai hame bas apni gmail id se isme sign in karna hota hai aur ye open ho jata hai. Halaki ye facebook, twitter jitna popular nahi hai, par apna photo search engine me dikhane ye bhi hamare bahut kaam aa sakta hai hame bas apne photo ko google+ par upload karna hai, hamara photo kuch samay me dikhne lagega. Iske alawa aap facebook aur twitter ka bhi use kar sakte hai, par photo upload karne se pahle aapko kuch requirments ko follow karna hoga jaise ki photo ko naam badalna hoga aur photo ki puri jankari bharni hogi and sabse jaruri ki photo kahi se copy na kiya gaya ho. Iske alawa aap Instagram par aur pinterest par image ko jankari ke sath upload karke bhi internet par la sakte hai.
apne photo ko google par upload kaise karu


Mathod -: 3

Ji ha youtube par hum bhale hi video upload karte hai par aapko batade ki youtube google ka hi ek hissa hai jab ham youtube par video dalte hai to hame ek custom thumnail ka bhi option milta hai aur yahi thumnail ( image ) kai baar google search me add ho jati hai jisse jab bhi koi hamare video ko search karta hai to iski image search engine me dikhne lagti hai par is tarah se image ko engine me aane me time bhi bahut lagta hai.
Ye kuch simple si tips hai jo bahut effective hai aap in tip ko achhe se follow karenge to aapka photo google par dikhne lagega. Agar aap humse puchenge ki photo ko image search engine me lane ka sabse sahi rasta kya hai to aapko yahi suggest karenge ki aap apna ek blog (website) banaye aur uspar photo ko upload kare kyo yahi sabse achha mathod hai. Internet ya google par jitne bhi photo dekhte hai un sabhi photo me se jyada tar website par hi kisi na kisi vyakti ne inhi tip ko follow karke upload kiye hai jiski wajah se ye photo google par aate hai. Ab aap bhi apna photo in tips ki help se 'google image search engine' par upload karke apne dosto ko shock kare.
Google par photo kaise dale ye to hamne jaan liya hai aur ab Apko ye jankari kaise lagi comment karke bataye aur agar aapka internet se releted koi bhi sawaal hai to hamse puch sakte hai and is post ko share karke jyada se jyada logo tak is jankari ko pahucha kar sab ki bhi madad kare.

Show comments
Hide comments

8 comments:

  1. Google par apna photo kaise daale Iske baare me aapne bahut achi jankari share ki hai. Main method ko jarur try krke dekhunga.
    Thanks :)

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you Yasir ji and keep visiting on our website.

      Delete
  2. hi sir,
    i am Ashutosh Kumar Gupta
    bhuily Ekma Saran Bihar
    7631532091
    @asts60
    main yeh janna chahta hu ki google drive ka photo ko google search engine par kaise show hoga.
    aur private photos & video ko kaise privacy rakhe.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Google Drive ka Data Private hota hai Aap jis photo ko share karenge sirf vo hi Publicly share hoga baki nahi.

      Delete
  3. Hello sir mein website bana liye photo bhi dal diye phir bhi google me nahin aata hai.

    ReplyDelete
  4. Really helpful information...आपकी वजह से मेरा फोटो भी गूगल पर आ रहा hai

    ReplyDelete
  5. This guy Craig really knows how to write an awesome essay! Thanks a lot man!You have provided good information. I would love to read more on such topics. Thank you very much for it and carry on it.
    small seo tools

    ReplyDelete

Apna Comment Kare