AirDroid: Computer se Mobile phone ko full control kaise kare?

Namskar Dosto, kabhi kabhar hum apna phone apne saht me lekar jaana bhul jaate hai jisme hamare saare contacts aur jaruri files, audio, video aur notes hote hai inke bina hum apna kam nahi kar pate hai to ab Aapko tension lene ki koi jarurat nahi hai ab Aap apne Office ya kahi se bhi apne ghar par rah gaye android phone ko full control kar sakte hai iske liye aapko apne android mobile me ek chota sa app install karna hoga aur jab kabhi bhi aap chaho tab apne mobile ko kahi se bhi control kar sakte hai bas iske liye shart yeh hai ki aapke mobile me data connection on hona chahiye. Ab hum aapko sikhayenge ki kaise Apne office se ghar par rakhe mobile ko control kare aur apni files, contacts dekhe aur delete kare. Computer se android mobile control kaise kare yeh batane ke saath hum aapko yeh bhi sikhayenge ki kaise webairdroid ke dvara aap apni file ko mobile par bhi upload kar sakte hai ya WebDroid ke dvara apne android mobile me files kaise send/upload kare.



AIRDROID-COMPUTER-SE-MOBILE-KAISE-CONTROL-KAISE-KARE

Kahi se bhi Computer se mobile ko kaise control kare?

Step1:- Compute se mobile ko control karne ke liye aapke mobile me ek App Airdroid install hona chahiye isliye apne mobile me download and install kare.





Step2: Airdroid open kare aur isme Sign Up button par click kare aur apna new account banaye.
Note:- Sign up ke time use kiye gaye id aur password jarur yaad rakhe nahi to aap apne mobile ko control nahi kar payenge.
Step3: Ab maan lijiye aapko office se apne mobile ko control ko acces karna hai to aapko kuch nahi karna hai bas kisi bhi internet se connected laptop/computer ke Internet browser (firefox, opera) ko kholna hai.

Step4: Browser open karne ke baad URL box me https://www.airdroid.com/en/ par janan hai jisse aap Airdroid ki website par pahuch jayenge ya phir sidhe airdroid website par jane ke liye click kare.

Step5: Ab aapke saamne airdroid ka home page open hoga tab right side me upar ki aur dikh rahe login par click kare tab login page open hoga isme vohi Id aur Password use karna hai jo aapna mobile me new account banate time submit kiye hai.
Login karte hai aapke android mobile ka full control aapke hath me hoga tab aapko category select karna hogi ki aapko kya karna hai phir apni marji ke anusar usme se file, contact, images ko copy, transfer aur delete kar sakte hai bas aapko es baat ka dhyan rakha hai ki jis bhi mobile ko aap control karna chahte hai usme internet connection On ho. Iske alava Airdroid ke aur bhi kai saare features hai jaise file transfer, find phone etc.

Mobile me Airdroid install karne ke kya fayade hai?

  • Mobile me airdroid install karne ke baad me aap apne mobile ko kahi se bhi access kar sakte hai aur file trasfer kar sakte hai.
  • Computer se mobile me file send/upload kar sakte hai.
  • Kahi se bhi mobile ke contacts, Gallery, message ko dekh aur delete bhi kar sakte hai.
  • Airdroid ke dvara Mobile ki location pata kar sakte hai agar mobile me airdoid login ho tab.


No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare