PowerPoint Presentation kaise banaye aur use kare puri jankari

Hello Friends aaj hum sikhenge ki kaise Microsoft power point me attractive and well-designed presentation kaise banaye aur ise represent kaise kare. Dosto power point ek famous software hai jiske dvara aap kisi bhi chij ka presentation ready kar sakte hai aur aasani se kisi bhi user ko visually samjha sakte hai. Companies, Organization etc apni new products ka present bhi esi tarik se karti hai to isliye aaj ke time me power point presentation sikhna aapke liye bahut jaruri ho gaya hai, presentation kaise banaye, power point me slide setup kaise kare,  presentattion me photo/image kaise insert kare, ms powerpoin presentation shortcuts, power point ko attractive kaise banaye ki puri jankari di jayegi esliye es post ko end tak jarur padhe. Es PowerPoint presentation me hum aapko Introduction ka presentation banana sikhayenge in hindi. thik usi tarah hi aap kisi aur chij ka bhi presentation bhi bana sakte hai.




PowerPoint Presentation kaise banaye?

Step1: Desktop ki Blank side me jaye Right click kar New me jaye aur New Microsoft power point select kare jisse power point ki new file ban jayegi tab Power point file open kare.

Right click on Desktop>>Go to New>>New microsoft power point   

Step2: File open karte hi aapko Slide add karne ke liye kaha jayega tab Click to add slide dikhega es par click kare.



Step3: Slide add karne ke baad me aapko Click to add title and Click to add subtitle kaha jayega tab en par click kare jisse slide me Title and Subtitle ke heading and subheading box ban jayenge.
Step4: Click to add title me jis chij ke liye presentation banana chahte hai jese yaha hum Introduction ko title me likhenge aur phir subtitle me hum jiska Introduction de rahe hai uske bare me likhenge.

"Aap chahe to en title box ki size ko inke kone se khich kar chota-bada bhi kar sakte hai aur sath hi inke font size ko, font tab se kam jyada bhi kar sakte hai."
Step5: Ab aapko isme design dalna hogi jese background, text fill, text outline, shape etc. tab aap Design tab se koi si bhi theme select kare aur agar aap ise apne anusar customize desing karna chahte hai to vo bhi kar sakte hai. Desing apply karne ke liye oos theme par click kare jisse slide me design apply ho jayegi.

Har Slide par custom design apply karne ke liye Selected Design par Right click kare aur Apply to Selected slides select kare.

Step6: Design apply karte hi automatically theme ke according setup ho jayega tab ho sakta hai aapko isme font ki size kam ya jyada lag sakti hai tab ise apne anusar adjust kare isme aap Insert me text box ke dvara aur bhi layout yani subtitle box add kar sakte hai.


Menu>>Insert>>Text Box 
Step7: Ab hum presentation ko effective banane ke liye transaction ka use karenge. Transaction, yeh decide karta hai ki aapki kis tarah start hogi iske liye transaction se koi ek effect select kare aur apply kare aap iske preview dvara ise check bhi kar sakte hai.

Note: Dosto knowledge ke liye bata du ki powerpoint ka fomat name .pptx hota hai yeh iske version ke according alag bhi ho sakta hai
Step8: Animation: iske dvara hum yeh fix kar sakte hai ki presentation ke time title and subtitle kis tarah effect show karenge aur represent honge. aap animation ki timing ko right side me dikh rahe timing tab se adjust bhi kar sakte hai. Har kisi object ke liye aapko alaga animation dena hoga.


Step9: Pura presntation ko complete karne ke baad me ise Office button me jakar save jarur kare.

Power point ki slide show setup kaise kare?

Slide show setup karne ke liye, Slide show me jaye aur set up slide show par click kare.
Show type: yaha par aapko select karne hai ki aap presentation ko kis tarah represent karenge matlab aap ise jis tarah use karna chahte hai vesa option select kare: Presented by a speaker, browsed by an individual ya browsed at a kiosk me se koi ek select kare.
Show option: yaha aap presentation ki kis tarah dikhana chahte hai ye setup kar sakte hai yaha 4 option dekhenge.

Loop continuously at until ‘Esc’: es mark karne par aap jab tak Esc key press nahi karoge tab tak presentation lagatar loop me chalta rahega.

Show without narration: ise mark nahi kare.
Show without animation: agar aap presentation me animation show nahi karna chahte hai to ise select kare ise aap mark na kare to hi thik rahega.

Disable graphic hardware acceleration: Ise bhi aap unmark hi rahnge kyonki agar es par mark kiya to transaction and animation ke time presentation slow play hoga joki presentation bigad sakta hai.

Show slide: All: agar aap sabhi slide ko presentation me dikhana chahte hai to select kare.

From: iske dvara aap First and last slide select kar sakte hai jisse aapka presentation en slides ke bich hi play hoga.

Power point me Imgae/photo kaise insert kaise kare?

Dosto image ek esi chij hai jo aapke presentation ko aur bhi attractive bana sakti hai isliye jaruri ho to ek image bhi jarur add kare par dhyan rahe ki vo image subject se related hi hona chahiye otherwise vo presentation ko bigad sakti hai.
Power point presentation me Image add karne ke liye aapko Insert tab me pictures ko select karna hoga jisse ek browse windows open hogi usme apne image ki location find kar image select kare tab aapka image insert ho jayega aap chahte to es image ko edit bhi kar sakte hai iske liye image par click kare tab aapko menu me picture tool highlight hogi oos par click kare jisse edit menu open ho jayega tab aap image ko crop, background remove, image border, size adjust bhi kar sakte hai. Picture dalne ke baad me ho sakta hai ki aapke text hide ho sakte hai tab edit picture menu me Arrange me Bring forward, send backward ka use kare.

Bring forward: iske dvara aap image ko background me aur text ko show upar show kar sakte hai aur sath hi iske dvara aap image ko wallpaper ke rup me bhi use kar sakte hai iske liye aapko sabhi words and layout ko Bring forward karna hoga.

Send Backward: Iske dvara aap text ko piche background me aur image ko front me rakh sakte hai.

Power point Presentation ki shortcut keys jo aapke short ko aur bhi aasan bana dega.

F5: F5 press kar aap current slide show ko direct play kar sakte hai.
Shift+F5: es key ki help se aap slide show ko stating se play kar sakte hai.
ESC: Escape ko press kar aap presentation ko exit kar sakte hai.
Ctrl+M: New slide open karne ke liye.
Ctrl+B: word ko bold karne ke liye.
Ctrl I: word ko Italic karne ke liye.
Ctrl+U: words ke niche underline karne ke liye.

Power point ko attractive kaise banaye?

Title and Subtitle: Presentation me Title and subtitle ka use jarur kare kyonki yeh aapke presentation ke importance ko show karta hai ki aap kis chij ko highlight kar rahe hai aur user ko kis chij ki aur attract karvana chahte hai.

Text and color: Ek acche Presentation me text aur uske text color bahut important hota hai dhyan rahe text aur color desing ko suite kar rahe ho yani ke unka combination thik ho.

Smart art and Chart: Agar aap presentation me kisi process ya growth ko show karna chahte hai to aap smart art and chart ka use jarur kare yeh aapke process user ko samjhane me help karenge.
Audio and Video: Audio and video ek esi chij hai jo user ko presentation se directly connected karti hai aur user ka dhyan bhatkne se bachati hai isliye aap background me kisi audio aur kisi chij ko shortly samjhane ke liye video ka use jarur kare.

Transaction: Transaction ka use jarur kare kyonki yeh aapke presentation ke start hone ke tarike ko show karta hai es liye apne anusar transaction chune.

Animation: animation ka use jarur kare kyonki ye Title, Content, Heading, Layout etc ke represent hone ke tarike ko show karta hai isliye animation ka use jarur kare aur sath hi inki timing ko bhi customize jarur kare.

Slide show setup: slide show ka setup karna bahut hi jaruri hai kyonki yeh aapke pure power point presentation ko control karta hai.


No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare