ATM se Paise kaise Nikalte hai? ATM use karna sikhe.

Guys aaj ke time par kab hume achank se cash paiso ki jarurat pad jaye koi nahi bata sakta. Esliye hum apne pas ATM card rakhte hai taki jarurat padne par hum atm use karke paise nikal sake. Ya phir agar hamare hum cashless yani ki UPI service ka use karte hai. Taki online payement transfer kar sake. ATM se paise nikalna vaise to bahut aasan hai.

Par Abhi bhi ese bahut sare kuch naye log hai. Jinhe atm machine se paisa nikalte nahi aata hai, Lekin jo log iski vidhi nahi jante hai unhe chinta karne ki jarurat nahi hai. Kyoki paisa nikalne ka tarika bahut hi aasan hai aur is post me aapko iski puri jankari dene wala hu par usse pahle hamare liye ye samajhna jaruri hai ki atm kya hota hai.
atm-se-paise-kaise-nikale-jane

ATM se paise nikalne ke pahle jarur jane. ATM kya hai?

ATM yani ki Automated Teller Machine ek tarah ki electronic mechanical machine hai jiska upyog hum apne bank account se paise nikalne ya withdraw karne ke liye kar sakte hai. Iske liye hamare paas atm card ka hona jaruri hota hai. Atm card bahut tarah ke hote hai jisme MasterCard, RuPay/Debit card aur maestro card, credit card aate hai. Sabhi atm ka apna ek alag 4 digit ka pin hota hai aur is pin ki madad se hi hum ATM se paise nikal sakte hai. ATM machine ka image niche dekhe.

ATM se paise kaise nikale?

Yaha par hum ATM se paise nikalne ke liye kuch simple steps bata rahe hai. Jinhe follow karke aap aasani se ATM se paise nikal sakte ho. Is image ko dekh kar aap aasani se samjh sakte hai ki atm machine ke kis part ko kya kahte hai aur kon sa bhag kaha par hota hai.
atm-machine-se-paise-kaise-nikale

STEP :-1  Sbase pahle ATM ki machine par chale jaye aur ab aapko apne sidhe hath ki taraf card slot dikhega. Yaha aapko apna card dalna hai kuch hi second me ATM ki screen khul jayegi uske baad aap ATM card nikal le. Kuch ATM me card andar chala jata hai to aap ghabraye nahi aapka ATM card wapas aa jayega.

STEP :-2  Ab aapko screen par Language (भाषा) select karne ke liye kaha jayega- हिंदी Ya English koi bhi select kare. Agar aap English select karna chahte hai to uske paas me jo machine par button hai use dabaye. Par ye dekhle ki ATM ki screen touch to nahi hai agar wo touch screen hai to aap apni ungli ki madad se apne pasand ka option click karke select kar sakte hai.
STEP :-3  Ab aapko apna ATM Pin number dalne ke liye kaha jayega. Aapko apne ATM ka 4 digit wala Pin number dalna hai. Pin dalne ke baad aapko kuch option dikhenge yaha par aap Banking ko select kare.

STEP :-4  Ab aapko fir se bahut option milenge yaha par aapko Cash withdrawal par click karna hai. Uske baad aapko apna Account Type select karna hai, Agar Saving Account hai to wo aur agar Current bank account hai to current select kare.

STEP :-5  Last me apna amount yani ki apna paisa dale. Jitna aap atm se paise nikalna chahte hai. Yaha ek baat yaad rakhe ki aapko apna amount kuch is tarah se enter karne ke liye kaha jayega like - 100, 200, 500, 2000 naa ki is tarah se - 99, 205, 303... 508, 1001. To aap is baat ka dhyan rakhe. Amount enter karne ke baad Yes par click kare.
STEP :-6  Ab aap transaction ko complete hone tak ruke jaise hi transaction pura hoga. Aapka ATM se paise bahar aa jayega aur aap use collect kar sakte hai, Jab paisa aapko mil jaye to Clear par click karde aur sleep ko bhi le lijiye jo aapko ATM machine se milegi.

Is tarah se aap aasani se apne ATM se paise nikal sakte hai ye koi adhik mushkil process nahi hai. Ab aap bhi aasani se ATM se paise nikal sakte hai.

ATM se paise nikalte time kuch baate yaad rakhe

  • Jab aapna Pin number dalte hai tab oose apne hath se chhupa kar dale kyoki ATM me camera bhi ho sakta hai aur ese me koi aapka pin na dekh le.
  • Atm ki kuch transaction limit hoti hai jaise metro aur non metro city me hoti hai.
Jaise ki Metro City Ke Liye Transaction Limit hai ki aap single month me 3 free transaction aur apne bank ke ATM par 5 free transaction kar sakte hai. Yani ki ek month me 8 baar par agar aap usse jyada baar karte hai. To, aapko iska alag se kuch charge lagega. Metro City me Delhi, Mumbai, Chennai, Bangalore jaisi city aati hai.

Vahi dusri aur agar hum Non-Metro city me hai to hame 10 free transication milte hai aur agar 1 month me 10 se jyada transiction hone par aapko alag se charge dena hota hai.
  • ATM se paise nikal lene ke baad last me clear option jarur kare. Taki aapke ATM ka session expire ho jaye aur koi dusra vyakti use continue na kar paye.
  • ATM se paise nikalne jaye aur aapko payment received show ho aur message bhi receive ho jaye ki Aapke account se paisa nikal chuka hai. Tab aapko us time mili sleep ko samhal kar rakh lena chahiye.
  • ATM se jab aap payment nikale to is baat ko jarur dhyan rakhe ki koi aapka Pin dekh to nahi rah hai. Agar ATM room me koi aur vyakti hai bhi to aap use room se bahar jane ke liye kah dijiye.
So friends, Aaj maine ATM se releted kuch jankari dene ki koshish kari hai mujhe ummid hai. Aapko hamara yeh post pasand aaya hoga. Agar aapka koi abhi ATM se paise nikalne me koi problem yaquestion hai to humse jarur puchhe.

Show comments
Hide comments

3 comments:

Apna Comment Kare