Gmail Account Ko delete kaise karte hai.

Dosto gmail account delete karna aasan hai agar aapke paas gmail ki bahut sari ids hoti hai aur aapko unko manage karne me pareshani aati hai to aapko faltu ke account delete kar dena chahiye kyoki kai baar ham apne number se gmail bana lete hai aur baad me ham oos number se gmail nahi bana pate hai to ese me aap wo sare google account delete karde jinka aap bilkul bhi use nahi karte hai.
Gmail Account delete kaise kare



Kai baar glti se glat email bhi ban jata hai jiska user name bahut mushkil rahta hai yaad rakhne mai jab mene pahli baad apna gmail banaya tha to mene usme apne naam ke sath phone number bhi add kar diye the ab aap soch sakte hai ki mera gmail id kitna bada hoga halaki baad me memne oose delete kar diya tha aur agar aapse bhi isi tarah ki galti ho chuki hai to bina time kharab kiye apna gmail id delete karde. To dosto bina samay ki barbadi kiye jante hai ki gmail kaise delete karte hai.
Vivo mobile se Gmail logout kaise kare
Gmail Account kaise banaye

Google gmail Account ko permanently delete kaise kare

Gmail account ko permanently delete karne ke liye aapko kuch charan follow karne honge jinhe step by step niche bataya gya hai.

Step-:Gmail Account ko delete karne ke liye apne oos email id se gmail par sign kare jise aap delete karna chahte hai.
Ab aap top right side me jo box hai oos par click kare yaha par aapko gmail ki sabhi service dikhai degi yaha par aap My Account par click kare.
My account select kare


Step-:2 Ab jo page khulega yaha par aapko kai sare option milenge par aapko yaha par Account Prefernce ke section me Delete your account or services ke option par click karna hai
Delete your account or service par click kare


Step-:Jaise hee aap Delete your account or services par click karte hai to aapke samne account preferences ka page open hoga. yaha par aapko 2 option diye jate hai ek to ye ki aap google ki koi bhi service jaise youtube aur google plus ya gmail jis par bhi aapne account banaya tha oose delete kar sakte hai iske liye delete products par click kare, aur agar aap puri tarah se google account aur uski sabhi service ko delete karna chahte hai to fir Delete Google Account And Data par click kare.
delete google account and data par click kare

Step-:Ab aap in dono me se koi bhi option chunenge to aapke samne ek page khulega jaha par aapko fir se password dalne ke liye bola jayega to aap password dal kar sign karde.Now aapko agle page me download data ka option milega agar aap chahe to apna data download kar sakte hai aur isi page par aapko wo sabhi accounts bhi bataye jayenge ki aapne apna gmail kaha kaha use kiya hai aur aapka kitna data delete ho jayega. Yaha par aapko scroll down karna hai aur box ko tick mark karna hai and Delete Account par click karna hai aapka account delete ho jayega.

Dosto isi tarah se ham apne kisi bhi gmail account ko delete kar sakte hai ab aapko bhi samajh aa gya hoga ki gmail account ko kis tarah se delete kiya jata hai agar aapko koi pareshani aarahi hai iski proccess me to comment karke bata sakte hai and post ko share kare aur hamari website ko sbscribe bhi jarur kare.

Yeh bhi padhe:-
Message send nahi ho raha hai
Call Divert hataye

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare