Adobe Photoshop Cs2 install aur activate karne ki puri jankari

Hello friends, aapne Photoshop ka name to suna hi hoga kyonki windows computer me photo editing karne ke liye Adbobe Photoshop software sabse best software hai. Photoshop ki madad se hum aasani se kisi bhi photo me effect dal sakte hai aur photo ki brightness level kam ya jyada set kar sakte hai, photoshop me passport size photo, photo sheet nikal sakte hai aur dusre software ke mukable me jaldi work kar sakte hai.
    Dosto vese to Photoshop ko hum dusre software ki tarah normal tarike se install kar sakte hai aur Photoshop CS2 ko bhi par es post me hamara main focus adobe photoshop cs2 activate kaise karte hai kyonki photoshop cs2 install karne ke bad oose activate karna bahut jaruri hota hai halaki hum ise 30 Dino ke trial par use kar sakte hai par vo hume bar activation ka notice show karte hai


    agar hamara photoshop cs2 activate/registered nahi hai to hum uske saare features ko bhi use nahi kar sakte hai. To aaj hum aapko ki 2 chije batayenge pahli to ye ki  apne computer/laptop me Photoshop cs2 kaise install kare aur dusri yeh ki photoshop cs2 activate ya registered kaise kare.
    photoshop-cs2-kaise-install-kare-aur-photoshop-cs2-activate-kaise-kare

    Photoshop CS2 install kaise kare?

    Step1: Photoshop CS2 ke setup par jaye aur Right click kare aur Run as Admin select kare tab aapko user control setting ka notice show hoga oose Yes kare.
    Step2: CS2 open hote hi sabse pahle aapko Language (भाषा) select karna hai  tab isme International English select kar OK kar dijiye. Ab license agreement show hoga isme Language: English US select kar license Accept kar lijiye.


    Step3: ab aapko Phtotshop CS2 ka main setup box show hoga isme Install photoshop ko click kare tab setup open hoga oose next kare, ab customer information fill kare.
    User name: apna name, Organization: apne anusar kuch bhi dal dijiye, ab aapko yaha par I have serial number par click kare ab aap soch rahe honge ki mere pas to serial number nahi hai to aap log chinta mat kijiye mai aapko cs2 ke serial number, activation/authorization code jesi sabhi chije dunga.  Tab niche diye serial number copy-paste kare aur next kare. Phir 2 bar next-next kijye.
    Serial Number: 1045-0436-9551-0266-5984-9386
    Agar serial number copy nahi ho raha ho to niche link se ek file Download kar lijiye usme text file me serial number bhi hai.
    Step4: Ready to Install the program me Install button ko select kare tab aapke computer/laptop me photoshop cs2 install hone ki process shuru ho jayegi aur last me Finish par click kar dijiye.
    Ab Adboe photshop CS2 aapke system me successfully install ho chuka hai ab hume Photoshop cs2 ko activate karna hai tab hum aage janenge ki kaise Photoshop CS2 activate kare.

    Photoshop CS2 activate/Register kaise kare?

    Photoshop activate/register karne ke liye aapke serial number, authorization code hona jaruri hota hai par mai yaha aapko batane vala hu ki bina activate code and serial number ke Photoshop cs2 kaise activate kare. Photoshop cs2 activate karne ke liye niche link se ek software download kar lijye jisme serial numbers aur code generator software hai.



    Step1: Photoshop install karne ke baad, Photoshop open kare tab aapke samne activation notice board show hoga use yeh notice board cs2 registered na hone ke karan hota hai jab tak hum ise activate nahi kar lete hai har bar CS 2 open karne par yeh notice show hota hi rahega.
    Step2: activation detail me apni detail bhare jese country: India, first name, last name, email type of organization and primary job function aur phir Registration later par click kare.
    photoshop-cs2-activate-kaise-kare
    Step3: activation options me: By Telephone via the automated software Activation system select kare aur next kare.
    photoshop-cs2-activate-kaise-kare
    Step4: ab aapke samne phone activation ka ek setup open hoga tab 1 wale option me location India select kare aur 4 vale option me aapko authorization code enter karna honge tab 3 number vale option me dikh rahe activation numbers ko copy kare.

    photoshop-cs2-activate-kaise-kare

    Ste5: tab link se download kiye huye software ko open kijiye aur usme activation numbers ko paste kar dijiye.Activation number paste karne ke baad me Generate button par click kar dijiye yeh software calculation kar aapko authorization code dega, en code ko copy kar lijye.

    Step6: Generated authorization code ko one by one oos box me paste kariye aur activate button par click kar dijiye.
    photoshop-cs2-activate-kaise-kare
    Ab aapka photoshop CS2 activate ho chuka hai ab kabhi bhi cs2 aapse activate karne ko nahi kahega aur na hi authorization code mangega aur kabhi CS2 startup ke time activation notice bhi show nahi karega yani ke ab aapka CS2 fully activate/register ho chuka hai.  😄
    Aapko hamari yeh post aur hamare samjhane ka tarika kaisa laga aap hume ye comment kar jarur bataye jisse hum aap logo ko aur acche tarike se samjha sake, sath hi ise apne dosto ke sath social media par share karna bhi na bhule.

    Show comments
    Hide comments

    1 comment:

    Apna Comment Kare