Facebook par [ 60 ] din se pahle name change kaise kare

Mene pahle wali post me aapko bataya tha ki aap kaise apna naam aasani se facebook par change kar sakte hai par bahut baar hota kya hai ki ham apna naam galat set kar dete hai aur fir facebook hame baar baar name change karne ki ijajat nahi deti hai agar ham apna naam ek baar facebook par save karde to hame pure 60 din yani ki 2 mahin rukna hoga par iska ek tarika hai jisse ki ham facebook ke is 60 din wale system ko bypaas kar sakte hai jo aaj me aap logo ko batane wala hu.

Facebook par 60 din se pahle name change kaise kare

60 Din se pahle kaise change kare

Agar aap 60 din se pahle naam badalna chahte hai to jitni bhi steps mene niche batayi hai use follow kare aapka kaam ho jayega.

    Sabse pahle apna facebook account chrome browser me khole aur more option par click kare. Aur Account Setting par click kare.
    60 din se pahle facebook par name change kaise kare

    Now Privacy setting par click karke general setting par click kare.

    Ab aapko yaha par kuch otiopn milte hai aap name ke option par click kare now aapke samne name change karne ki setting to hogi but aapko pata hi hoga ki aapka name change nahi ho raha hoga yaha par aapko 60 days ke liye rukne ke liye bola jayega. To ab yaha par aapko Learn More par click karna hai.
    name change nahi hone par kya kare.

    Ab aapko yaha par name change na kar pane ka karan bataya jayega to aap Let us know ke option par click kare ab aap changing name ke page par pahuch jayenge yaha par aapko new first name aur new last name dalna hai.
    60 din se pahle name change karne ke liye kare

    Reason for this change me aapko 'Legal name change' ko select karna hai. Ab aapko Apni ek id jo ye sabit karti ho ki yahi aapka real name hai use upload karna hogi. aap id ke liye agar aapke paas passport hai to use upload kare nahi to aadhar card ya pan card me se bhi kuch bhi upload kar sakte hai.
    id proof submit kaise kare

    Maan lete hai ki aapne adhar card attached karna hai to aap apne adhar card ka photo click karke usko scanner ki madad se scan kare. uske baad use upload karke facebook ko send kare aur jaise hi aap facebook ko apne id proof ki copy bhejoge aapko iske 48 ghante ke andar aapko iska resul mil jayega aur aapka name bhi 3 din ke andar change ho jayega.


    Note -: ID proof me aapka jo name hai aap wohi naam dale agar dusra name daloge to change nahi hoga isliye aap apna real name hi dale.

    To guys ye process bahut easy hai but iski madad se aap koi bhi stylish facebook name apne account par set nahi kar sakte hai ha par agar aap apna real name apne facebook account par add karna chahte hai to aap is mathod ko use kare.


    Agar koi samsya aati hai to comment karke hame bataye aur is post ko share kare hamari website ko subscribe bhi jarur kare taki ham aapko new updates ki jankari sidhe aapke email par aapko bhejte rahe.

    Show comments
    Hide comments

    4 comments:

    1. kya ye sab karne pr facebook name change ho jayega me ise try karke dekhunga

      ReplyDelete
      Replies
      1. ha Rajesh ji isse aap 60 din ke pahle name change kar payenge. Thank you for comment and keep visiting on our site.

        Delete
    2. Thank you for giving me a brilliant idea

      ReplyDelete

    Apna Comment Kare