Computer ki Basic (पूरी) jankari | कंप्यूटर कि जानकारी हिंदी में

Hello Dosto, Kya aap computer ke bare me nahi jante hai. Agar jante to hai par kuch khas computer ki kuch khas jankari nahi hai to aapko is post ko jarur padh lena chahiye. Kyonki aaj is post me hum computer jankari se related puri chije sikhane vale hai. Jisse aap computer ke bare me sab kuch jan jayenge. Jaise- computer kin parts se mil kar bana hai, computer me RAM kya hota hai, Motherboard kya hota hai, Computer kitne types ke hote hai, Display- LCD/LED, mouse aur keyboard kya hota hai, computer kisne banaya, computer kaise kam karta hai etc. 
computer-ki-basic-jankari-hindi-me


Computer ki basic jankari post mujhe pahle likh dena chahiye thi. Par ab likh raha hu kyonki mujhe hamari site user ne comment karke computer ke bare me jankari English/Hindi me janna chahi. To isliye mai yeh post likh raha hu jisme mai aapko computer ki itni jankari to de hi dunga ki jise padhne ke baad me agar aapse kabhi koi computer ki jankari puchega to aap use bata payenge.



Computer kya hota hai? Basic jankari.


Computer ek Advance Electronic Machine hai jo User yani ke hamare dvara diye gaye Input ko ek software ki madad se process karke Output/Result deta hai. aur user ke upyogi layak banata hai. Jisse user ka kam aasan ho jaye. 

Computer ke dvara bade se bada kam hum kuch time me kar sakte hai jisse computer logo ki jarurat ban chuka hai aur Technology me computer ek bahut bad role play kar raha hai kyonki isne kam me lagne vale samay ko kam aur profit ke paisa ko badha diya hai.
computer-Ram-ki-basic-jankari

RAM: RAM ka pura name Random Access Memory hota hai. RAM computer ko extra memory deta hai aur kisi program aur software ko load hone me madad karta hai. RAM computer ki processing speed ko bhi fix karta hai yani ki agar aapke computer me RAM jitni jyada hogi computer utna jyada fast chalega par Computer ke processor aur OS me RAM ka utna use bhi hona chahiye.



CPU: CPU ka pura name Central process unit hai yeh computer ka main part hota hai jo computer ki speed ko dikhata hai CPU processor jitne jyada GHZ ka hoga computer utna jyada fast chalega kyonki computer ki sari processing yahi se hoti hai esliye ise computer ka brain bhi kahte hai. Iski speed ko GHZ (Giga Hertz) me count kiya jata hai.
Mother Board: Ye computer ka electrical circuit board hota hai jis par computer ke sare connection jese: RAM, CPU, SATA Cable, power cable jese sari connection jude hote hai.



SMPS: SMPS ka pura name Switched Mode Power Supply hota hai yeh computer computer me electrical power/bijali dene ka kam karta hai aur cable se ho kar aane wale current ka level set karta hai aur utna hi power supply karta hai jitna computer ke liye jaruri hai.

output-led-display-ki-jankari


LCD/LED/Monitor: Ye ek output device hai jo hamare dvara kiye ja rahe kam ko Display/screen me dikhata hai aur ek meaningful output result show karta hai.   

input-keyboard-ki-jankari


Keyboard: Ye ek Input device hai jo hamare dvara type ya dabaye ja rahe word ko computer me bhejta hai aur work karta hai.
Type kiye jane wale sare word, character, number hamare dvara computer ko perform karne ke liye diye jate hai isliye ise Input device aur Display kiye gaye work ko screen par show karta hai esliye Display ko output device me gina jata hai kyonki ye hume result de raha hai.

mouse-ki-jankari-hindi-me


Mouse: Mouse ek pointer device hai jo computer par hamare arrow ki location ko dikhata hai mouse ke dvara hum kisi bhi file, folder ko select karne, file, software ko open karne ki liye kar sakte hai.


Mouse me 2 side button hote hai, Left side button aur Right side button iske alava Ek ring hoti hai jise scrolling bar kahte hai iska use computer screen par upar niche jane ke liye karte hai.
output-speaker-kya-hota-hai

Speaker: Speaker ek Output device hai. Speaker hamare dvara computer me play kiye ja rahe songs/audio ko hume sunata hai. Ise hume computer me alag se attach karna hota hai. Iske liye computer cabinet me piche ki side me 3 plug hote hai. Unme connect karna hota hai. Agar speaker ke liye connect karna hai to bich vale plug me aur Headphone ke liye Right side vale plug, mice ke liye Left side vale plug me connect karna hota hai.

Ab to aap samajh hi gaye honge ki computer kya hota hai aur kaise kaam karta hai. Is post ko likhne ka Hamara aim hi yahi tha ki aapko computer ki basic jankari mil jaye. Aapko hamara post kesa laga hume comment kar jarur bataye.

Show comments
Hide comments

2 comments:

Apna Comment Kare