Computer/laptop me Internet kaise chalaye?

Hi friends, aap sabhi mobile, computer me internet ka use to karte hi honge aur computer me broadband aur wifi se internet chalate hai honge par aaj mai aapko batane vala hu ki apne computer me internet kaise chalaye aur computer me internet browse karke website kaise open kare.
Dosto computer aur laptop me internet chalan koi badi baat nahi hai par new computer user ke liye thoda kathin hota hai ki computer kaise chalaye aur internet par search kaise kare to aap logo ko chinta karne koi jarurat nahi hai aaj es post me puri guide dene vala hu ki kis tarike se computer aur laptop me internet chalaye.
Dosto compute me internet browser karne ke liye aapke computer me ek internet browser jarur hona chahiye, Internet browser ke hum apne computer me internet browser nahi kar sakte hai agar aapke compute me internet browser nahi hai to abhi apne computer aur laptop ke liye browser download kare.

aur agar aap download nahi karna chahte hai to aap computer ke inbuilt  browser, Internet Explorer se internet chala sakte hai.


Computer me Internet kaise chalate hai?


computer-me-internet-kaise-chalaye

Internet chalane ke liye internet browser hona jarui hai agar aap browser download karna chahte hai to hamari upar di gayi link se browser download kar sakte hai ya phir windows ke inbuilt browser se bhi internet chala sakte hai.
Internet chalane ke liye computer/laptop me browser open kar lijiye. ab internet surf karne ke liye hume ek search engine ki jarurat hoti hai jiske dvara hum apne savalo ka jawab dhund sakte hai aur kisi bhi website ko search kar sakte hai isliye browser me sabse upar ki aur dikh rahe URL bar me www.google.com type kare aur Enter button dabaye. yeh url enter karne ke baad aap google search engine ke home page par pahuch jayenge. ab isme aapko google ke niche ek search box dikhai dega vaha apna saval ya website dale aur Google Search par click kare aur phir kuch hi seconds me aapke dvara search ki gayi site/words ko search kar liya jayega aur unka result show hoga tab inme se aapke dvara search kiye gaye topic par click kare jisse vo puri detail me open ho jayegi aur uski jankari padh payenge.

Website ko directly open kaise kare?

Agar aap kisi website ko directly uske domain name se kholna chahte hai to browser ke url box me search ki jane vali website ya domain name ko kuch es tarike se likhe.
www.xyz.com
www.abc.in
yaha www world wide web hota hai aur phir . ke baad domain name aur phir oos site/domain ki location. .in aur .com site ki location ko bhi show karta hai ki site kaha ki hai jese .in India ke liye aur .com universal ke liye. es liye domain name se search karte time par .in aur .com ka dhyan rakhe kyonki ek jese domain name ki ek se jyada site bhi ho sakti hai.


agar aapko koi website acchi lagti hai to Ctrl+D button daba kar website ko bookmark kar sakte hai aur agar aap website ki new post ki jankari apne email par free me janna chahte hai to oose subscribe bhi kar sakte hai.

dosto hamari site bhi free email subscription ko support karti hai esliye aaj hi right side me dikh rahe subscription box me apna email dale aur email ko confirm karke hamari site ke free me member baniye aur har new post ki jankari direct apne email box me receive kare aur sath hi aapko hamari yeh post kesi lagi aur apne pahli bar internet chalane ke anubhav ko hamare sath comment kar share kijiye.
Thank you

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare