Facebook Account/ID Delete kaise kare? 5 Easy Steps in Hindi

Hey Guys welcome Back to KareKaise.com Aaj mai aap logo ko Facebook account se related jankari share karne vala hu. Friends facebook bahut hi popular site hai jis par aapka account to hoga hi aur agar nahi hai to facebook account banaye. Dosto aksar users bahut saare facebook accounts bana lete hai aur phir unhe manage nahi kar pate hi. Aur phir apne facebook account ko delete karne ka tarika search karte hai.

To aaj ki is post me Facebook account delete or facebook id delete karna sikhane vala hu. Kyonki agar aapke pas 2 se jyada accounts hai to unhe manage karna thoda sa mushkil hota hai. Aap sirf account bana kar ese hi rahne dete hai aur phir bahut lambe time baad kholte hai to vo aapke account ke liye promblemtic ho sakta hai. Esliye apne unuseful facebook account ko delete kar dena chahiye. Lekin user ko fb account delete option aur facebook id deactivate karne me differnce hota hai. Esliye aapko sabse pahle inke bich ka difference jan lena chahiye.
facebook-account-delete-kaise-kare
Facebook ko deactivate karne aur delete karne me bahut fark hota hai. Fb Account deactivate karna matlab ki apni id ko dusro se hide karna. Yani agar aap deactivate karte hai to facebook par aapko koi bhi search nahi kar payega. Aur facebook account delete karne ka matlab:- Apne account ko hamesha ke liye yani ki Permanently delete karna hota hai.
To ab aapko ye fark samajh aagya hoga agar Facebook account ko deactivate karna chahte hai to hamari ye post padhe. Facebook Account deactive kaise kare. Lekin agar aap facebook account ko delete karna chahte hai. To is post ko pura jarur padhe.

Facebook Account Delete Kaise kare?

Friends yaha par mai aap logo ko fb account delete karne ki sabhi steps batane vala hu. Esliye ise achchhe se follow kare taki aap bhi apna useless facebook account delete kar paye.
STEP :-1  Sabse Pahle aap kisi bhi browser me apna facebook account Login kar lijiye. Mai aapko suggest karunga ki aap Google Chrome browser ka use kare.
fb-account-deletion-ke-liye-login-kare
STEP :-2  Apna account Log in karne ke baad ek New Tab open kare aur oos tab me niche diye gaye button par click kare.

STEP :-3  Jaise hi aap is Delete button par click karte hai aapke samne facebook account delete option ka page khulega. Yaha par aapko 2 option dikhai dete hai. Chunki abhi hum facebook account ko hamesha ke liye delete karna chahte hai. To hum Delete account ko select kar Continue kar denge.
delete-account-option-select-kare
STEP :-4  Iske baad ek new page open hoga jisme aapko notice aayega. Ki agar aap account delete karte hai to aapke account se linked page, chatting, Photo, Video everything delete ho jayega. Agar aap sure hai ki account delete karna hai to Delete account par click kar is process ko Confrim kar dijiye. 
data-backup-and-then-download-kare
STEP :-5  Again ek new page open hoga Jisme aapko Fb account ka Password dalne ke liye kaha jayega. Tab apna Password dal kar Continue par click kare.
password-dale-aur-continue-kare
Finnaly Aapka Facebook Profile hamesha ke liye delete ho chuka hai. Par abhi ye 14 din tak pending me rahega ise puri tarah se delete hone me 14 din ka samay lagega.
Agar Aap 14 din ke pahle account me log in karte hai to Account delete hone ki process cancel ho jayegi.
Yeh bhi padhe 👇
Fb username change kaise kare
60 Din se pahle name change kaise kare?
Fb me Colorful word kaise likhe
Facebook ka color change kaise kare?

Last Words:-

Agar aap apne account me fir se Log in karoge. To, aapko yaha par Facebook account deletion ko confirm aur Cancel ka option milta hai. Agar aapka man baad me badal jaye ki nahi mujhe apna account delete nahi karna hai. To ese me aapke paas 14 din ka samay rahta hai aapko bas apne accout me log in karna hai aur deletion Cancel karna hai. To Aapka delete hone se bach jayega.

To dosto ye ek bahut hi aasan sa tarika in steps ko follow karke aap Facebook account delete kar sakte hai. Vaise to aapko in steps me kahi par bhi koi problem nahi hogi. Par agar fir bhi aapko kahi par kuch problem aaye to mujhe comment karke bata sakte hai. Mai aapki puri help karunga aur agar aapko post achcha lagta to ise Friends ke saath share jarur karne. And sabse jaruri website ko Subscribe karna hai taki aap hamari website se jude rah sake aur isi tarah ki jankari ke bare me sikh sake.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare