Whatsapp ko Download karna hai mujhe kaise karu?

Hey guys kya aap ek esa Android App chah rahe hai. Jisme message send karne, Voice/Video call karne ka charge nahi lage. To mai aapko bata dena chahta hu ki Play store par ese bahut saare Apps available hai. Lekin Whatsapp sabse popular App hai. Esliye aapko apne mobile me Whatsapp download karna chahiye. Kyonki yeh Millions users dvara upyog kiya ja raha hai.

India me maximum users ke paas Whatsapp dekhne ko mil jayega. Kyonki yah easy to use and free App hai. Aur agar aap bhi apne mobile me Whatsapp download karna chah rahe hai. To meri yah post aapki isme madad kar sakti hai. Bahut sare log mobile me WhatsApp ko install karna chahte hai. Aur sab iske liye internet par search bhi karte hai. Esliye humne aapke liye khaas is post ko likha hai taki aap kisi bhi OS Version ke liye Whatsapp ko download kar paye. Aap chahe to direct niche di gayi table title par click kar apne device ke liye ise download kar sakte hai.
Apna Topic Choose kare
Android phone me whatsapp kaise download kare
PC aur Laptop me WhatsApp kaise download kare
Windows phone me whatsapp kaise download kare
I Phone me whatsapp kaise download kare
Lekin jab aap internte par ise download karne ke liye search karte honge to. Aapko origianal Apk file nahi milti hai. Balki kisi other app ko download karva dete hai. Vo bhi sirf apne App ke promotion karne ke liye. To  yaha par mai Whatsapp Download kaise kare aur iska download link de raha hu.Yaha par aapko jitni bhi download links bhi milegi sabhi original hai aur Different devices ke liye hai. Aap apne OS ke according Download and install kar sakte hai.
whatsapp-download-karna-hai-kaise-kare

WhatsApp Download karna hai sabhi version ke liye to yaha hai 👇

Guys jesa ki maine abhi aapko upar bataya ki mai aapko origianl Whatsapp downlaod karne ki link dunga. Vo bhi sabhi devices ke liye aap apne Mobile OS ke according Download kare. Maine yaha par Android mobile me ise download karne ke liye 2 Method batayi hai. Aap jis method ko chahe vo use kar sakte hai. To chaliye dosto jyada time na lete huye shuru karte hai.
Method:-1
Is method me maine Step by step by Whatsapp ko download karna sikhaya hai. Taki jarurat padne par aap kabhi bhi ise mobile se hi download kar paye na ki dusri site par jana pade. So guys yaha par hum Play Store App ki help lene vale hai. Lekin iske liye aapke mobile me play store login hona chahiye. Agar aap nahi jante hai ki Play store ki ID kaise banaye to hamari post padhe.

STEP :-1  Sabse pahle to apne mobile me Play Store App ko open kare. Aur upar dikh rahe Search bar me Whatsapp type kar Search kar dijiye. Agar aapka Play Store nahi chal raha hai to hamara Play store nahi chal raha ka solution padhe.
whatsapp-download-karne-ke-liye-search-kare
STEP :-2  Ab aap dekh sakte hai ki pahle number par Whatsapp dikhai dega. Ise click kar open kar lijiye.

STEP :-3  New page open hone par ab aapko Download ka option show hoga. Yaha se aap mobile ke liye Whatsapp ko download kar sakte hai. Aur thik isi Step ko follow karek Whatsapp ko update bhi kar sakte hai. 
whatsapp-download-kaise-kare
So guys is tarike se aap play store se Whatsapp ko install kar sakte hai. Lekin agar aap itni steps ko follow nahi karna chahte hai. Aur direct Whatsapp download karna chahte hai. To niche batayi Method 2 👇 ko follow kare.

Yeh bhi padhe 👇

Method:-2

Android

Android mobile ke liye Whatsapp download karna bahut hi aasan hai. Aap google play store se apne mobile me whatsapp download kar sakte hai par uske liye aapko apne android phone me apni Gmail ID set karna hogi. Jisse ki aapke phone me Gmail ID add ho jayegi aur aap Play Store se whatsapp ko aasani se download kar sakte hai. Vaise bhi ab sab log Android Mobile hi use karte hai isliye, Aapko me yaha par detail se bata raha hu.

Jab aap apne mobile me gmail id add karke play store ki id banale to uske baad play store par whatsapp search karke whatsapp download karle, Nahi to niche diye download ke button par click karke bhi mobile me Whatsapp ko download kar sakte hai.



Ab agar aapko Play Store se Whatsapp Download nahi karna hai. To Aap iski official website se bhi whatsapp ko load kar sakte hai. Iske liye aap sabse pahle niche diye gaye whatsapp for Android button par click kare aur whatsapp ko download kar lijiye.




Click karne ke baad aapke samne ek page khulega. Jo bilkul niche dikhayi image ki tarah dikhega yaha par aapko  Download Now  par click karna hai
whatsapp-web-download-karna-hai

Jaise hi aap click karte hai aapko browser me download ka option mil jayega aap simply download par click karke whatsapp download kar sakte hai. Ab aapke phone me whatsapp download ho jayega. Ab aapko apne phone me whatsapp install karke Account banana hoga. Iske liye aap niche diye link par click karke jaan sakte hai ki Whatsapp par Account/Id kaise banate hai.

Computer/Laptop

Agar aap Mobile me Whatsapp chala kar bor ho chuke hai. Ya phir sirf PC me hi chalana pasand karte hai. To yaha par maine aapko computer me whatsapp chalane ke 2 tarike hai.
 1.  Ek jisme aap Whatsapp ka web version apne computer me chala sakte hai. Jo ki mere hisab se se sabse best tarika hai. Aur agar aapko yeh tarika use karna hai to niche maine iska detail post link diya hai jise padh sakte hai.

Computer me aasani se whatsapp kaise chalaye
 2.  Dusra tarka hai jisme aapko pahle apne computer me blue stack naam ka software download karke install karna hoga fir aap apne computer me koi bhi android apps aasani se chala sakte hai mene iske bare me pahle hi ek post likhi hai me yaha uska link de raha hu aap use padh kar samajh jayenge.

Windows Phone

Windows ka apna khud ka App Store hai jo Windows phone me pre installed aata hai. Agar aap windows phone me whatsapp download karna chahte hai. To sabse pahle aapko Microsoft par ek email id/account banana hogi. Aur use apne Windows phone par set karna hogi. Usi tarah se jese android mobile me kiya jata hai. Agar aapke paas microsoft ki email id nahi hai to niche diye gaye link par click karke apna microsoft account banale. Go To

Jab aap apne windows phone me apna microsoft account set kar de. Tab Windows Store open kare aur waha se Whatsapp search karke whatsapp download karle.  Nahi to aap direct niche diye link par click kare jisse aap sidhe whatsapp download karna sakte hai.



I Phone

Ab sabse aakhir me bari aati hai I Phone ki agar aap iPhone use karte hai. Aur aapko apne iPhone me whatsapp install karna hai. To fir aapko sabse pahle iPhone ke Store par ek id banani padegi uske liye niche diye link par click karke bana skate hai. Go To

Aur jab aap apple store ki id banale to apple store me whatsapp search karke whatsapp ko aasani se download kar sakte hai. Aur agar iPhone me direct whatsapp download karna chahte hai to niche diye download button par click karke bhi Download kar sakte hai.


Whatsapp ko apne kisi bhi phone me download karke install karna bahut aasan hai. Aap is post ki madad se aasani se whatsapp ko download kar sate hai. Agli baar ham aapko batayenge ki whatsapp ko kaise chalate hai aur Whatsapp download karne ke baad kya kya karna hota hai. Esliye aaj hi hamari website ko email Subscribe kare. Taki sabhi new post notification aap tak pahuch sake.

I hope guys ab to aap logo ko samjh me aa gaya hoga ki hum mobile me whatsapp download kaise karte hai aur Whatspap download karna kitna aasana hai.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare