Apne Computer/Laptop ki puri Detail kaise pata kare?

Dear Users, Aap log computer to use karte hi honge aur uski thodi jankari to hogi hi par agar aap computer ki basic jankari nahi jante hai to hamari yeh post padhe jisme aapko computer kya hota hai aur kaise work karte hai ke bare me sari detail mil jayegi par aaj humko computer aur laptop ki puri detail pata karna batayenge jese: computer ki Hard Disk size kaise pata kare, computer me kon sa O.S. ya windows use ho raha hai, Computer ki RAM kitni hai, computer me konsi company ka Mother Board use ho raha hai.

Generally dekha jata hai jab kabhi bhi koi new user jise computer ke bare me jankari nahi hoti hai aur vo computer kharid leta hai aur jab koi User se puchta hai ki bhai konsa company ka computer kharida hai to LG, SAMSUNG, INTEX vo kahta hai to dosto mai aapko batana chahta hui ki computer LG,SAMSUNG, INTEX Company ke nahi hote hai user yeh company ke name Cabinet box aur LCD ke upar likha dekh kar kah dete hai. Par Aaj aapko detail me bataya jayega ki computer ki puri jankari ya Computer/laptop ka pura configuration kaise pata kare?


To chaliye Dosto jyada time na lete hai hue ab hum computer aur laptop ki jankari pata karne ke bare me jante hai.

computer-ki-puri-detail-kaise-pata-kare

Computer aur Laptop ki Detail kaise pata kare?


Dosto sabse pahle to mai aapko yeh batana chahunga ki computer ki company pata LCD/Cabinet Box ke name se nahi chalta hai balki computer ki comapny ka pata usme use ho rahe Computer ke Mother Board aur Processor, Chipset se chalta hai. Man lijiye agar aapke computer me Asus, Asrock ya china mother board ka use ho raha hai to aapka computer Asus/Asrock/china ka hai aur oosi mother board par uske chipset ke bare me bhi likha hota hai. Computer ki puri jankari uske Mother Board, RAM, Processor, O.S., Hard Disk ki size se pata chalta hai. Dosto vese to yaha par mai aapko yeh sabhi chije check karna code ki help se sikha dunga par aap ek chota sa software CPU-Z Download and Install kar lijye jisme aapko computer ki bahut sari jankari mil jayegi.

1. Computer me Mother Board ki company ka pata kaise kare?

Computer mother Board janne ke liye 2 tarike hai (i) Computer cabinet ka ek side ka box open kare aur name padh lijiye aur (ii) agar aap computer me se hi Mother board ki jankari dekhna chahte hai to Cpu-Z open kare aur Main board vale section me jaye vaha par aapko Mother Board Manufacture and Model, chip set ka pata chal jayega.

2. Computer/laptop Hard Disk ki size/capacity kaise pata kare?

Hard disk size pata karne ke liye Windows key+ R dabaye aur cmd type karke Enter kare. ab command prompt me pahle disk part type kare aur enter kare jisse ek new command prompt open hoga jisme list disk type kare jisse aapko size vale column me hard disk ki size pata chal jayega.

3. Computer/laptop RAM ki size aur Company ke bare me kaise jane?

(i) Computer/laptop ki RAM size pata karne ke liye CPU-Z open kare aur Memory vale column me jaye vaha se aapko RAM ki size aur RAM ke Type DDR2 ya DDR3 ka bhi pata chal jayega.

(ii) Computer par jaye Right click kare jisse computer system ki sari properties open ho jayegi jaha par Installed memory me computer ki RAM size show hogi.

4. Processor ke GHZ Giga Hertz aur company ke bare me kaise jane?

Processor ka name aur GHZ pata karne ke liye aap Cpu-Z ka use kar sakte hai par aap chahe to Windows key+ R dabaye aur DXDIAG type kare Enter kare jisse Direct X Diagnostic tool me System tab me puri jankari pata chal jayegi.
 

5. Computer ka O.S./windows ka name pata kare?

Windows/Os ka name pata karne ke liye aap sidhe MY computer par Right click kare aur Properties me jaye jisse aapko computer me installed windows aur windows activation ke bare me jankari mil jayegi. ya agar aap dusre tarike se janna chahte hai to Run me jakar dxdiag type and enter kare jisse system tab windows version BIOS, RAM etc ka pata chal jayega.
To dekha dosto kitne aasan tarike se aap kisi bhi computer aur laptop ke configuration/detail pata kar sakte hai esi tarah ki aur bhi jankari se update rahne aur new post ki jankari apne email box me pane ke liye aaj hi karekaise.in ko email subscribe kare. 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare