Bluetooth se Internet kaise Chalaye ya Share kare?

Hi friends, Aaj mai aapko Bluetooth ki ek khas quality batane ja raha hu jise jankar aap thoda sochne lag jaoge. Dosto vese to hum Bluetooth ka use keypad mobile me file transfer karne ke liye, Bluetooth speaker chalane ke liye karte hai. Aur aaj bhi kabhi-kabhi file transfer ke liye Bluetooth ka use karte hai par kya aapne kabhi bluetooth ka upyog en chijo ke alava kuch aur karne ke liye try kiya hai. To mai aaj thoda different trick batane vala hu.

Kya aapne kabhi socha hai ki kya hum Bluetooth ka use Internet chalane ya bluetooth se mobile internet share karne ke liye bhi kar sakte hai. To iska jawab hai- Ha! hum apne android mobile aur keypad mobile Bluetooth ka use internet chalane. Aur ek mobile se dusre mobile me bluetooth se internet chalane ke liye kar sakte hai.

To dosto aaj hum es post me batane vale hai ki Bluetooth se mobile me internet kaise chalaye ya Bluetooth se apna internet share kaise karte hai?
bluetooth-se-internet-kaise-chalaye

Mobile Bluetooth se Internet kaise chalaye? 

STEP:- 1  Bluetooth se Internet chalane ke liye jis mobile se Bluetooth internet connection jodna hai us mobile ke phone settings me jaye aur More me jaye.
STEP:- 2  More me USB tethering aur USB tethering ka option milega Tab Bluetooth Tethering ko On kare. Es setting ko on karne se bluetooth pair karne par Bluetooth se data bhi share ho payega.
bluetooth-se-internet-share-kare
Ab jis kisi bhi mobile me Bluetooth se internet connection jodna hai usme kuch steps karna hogi uske baad aap Bluetooth se internet chala payenge.

STEP:- 3  Ab jis mobile me Bluetooth ke jariye internet connect karna hai usme Bluetooth on kare aur new device ko Search kare.


STEP:- 4  Yaha us Device ka name show hoga use select kare aur Paired kare. Phone ko Paired devices me add karne ke baad device name ke piche settings ka ek chhota sa icon show ho raha hoga us par click kare.

STEP:- 5  Yaha par device ka name show hoga aur iske niche Use for Internet access show hoga tab Internet access ko mark/click kar ok kare.
Ab aapke mobile me Bluetooth ke jariye internet connection share hona start chuka hai. Es trick ka use wifi aur hotspot kharab hone ki condition me use kar sakte hai aur internet share kar sakte hai.

Esi tarah hum old keypad phones se bhi Bluetooth ke jariye internet share kar sakte hai par hume usme direct bluetooth on karna hai aur device paired karna hai. Phir device name ke piche dikh rahe settings icon me jana hai aur direct internet access karna hai. Dosto hamari post kesi lagi hume comment karke bataye aur hamari es post ko share jarur kare.

Tag: bluetooth se internet chalaye, bluetooth se data share kare, bluetooth se internet kaise chalaye, bluetooth se internet share kaise kare, 

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare