CNC Machine kya hai? CNC Machine ki Puri Jankari hindi me.

Friends, Aaj ke time par production sabse important hai. Kyonki market me product ki badhti demand ko dekh kar paryapt products ki bhi jarurat hai. Aur isme CNC machine hamari help kar rahi hai. Yah ek esi machine hai jisse hum Accuracy and precision, safety, speed, low cost me kaam kar sakte hai.

Agar hum machines baat kare to daily hume koi na koi new machine dekhne ko mil hi jati hai. Isiliye Aaj hum aapko mechanical field se related ek khas machine CNC Machine ke bare me batane ja rahe hai. Joki market me bahut popular hai. Jisne, mechanical industrial area ko change karke rakh diya hai. CNC Machine ki help se Aaj machino ke Parts (पुर्जे) banana bahut hi aasan ho gaya hai, CNC machine ek programming, Numerical instructions ke base par work karti hai aur CNC machine ke kuch khas code, calculations bhi hote hai jo sirf esi machine me work karte hai.
cnc-machine-ki-jankari-kya-hai
Es post me hum apko CNC machine se judi kayi chije batane vale hai. Like:- CNC machine kya hai, CNC machine ka full form kya hai, CNC machine kaise kaam karti hai, CNC ke fayde, CNC offset ke bare me share karne vale hai.

CNC Machine Meaning in Hindi

CNC Machine ka pura name Computer Numerical Controller hai. Jiska Hindi me matlab कंप्यूटर संख्यात्मक नियंत्रक hota hai. Yeh machine computer ki tarah kaam karti hai yani ki operator ke dvara diye gaye numeric instructions par. Ise chalane me aasan aur production speed ke karan yah bahut hi popular ho chuki hai.

C.N.C. machine ki help se machine ke Spare parts par bariki se kaam karna aur bhi aasan ho gaya hai. Kyonki yeh machine instructions par work karti hai aur apne kam ko ek hi bar me perfect kar hume uska best result deti hai. Es post me hum CNC Machine ki jankari dene vale hai esliye end tak ise pura jarur padhe.

CNC Machine kya hai? Work, Axis, Offset ki jankari

CNC machine ka pura name Computer Numerical Controller hai. Iska matlab yeh hai ki CNC machine ek esi machine hai jo ki Computer ki tarah work karti hai. Aur user ke dvara diye gaye Numeric (अंको/आंकड़ो) par apna kam karti hai. Aur computer system apne kam  me koi kami nahi rahne deta hai, apna kam accuracy ke saath karta hai. Computer ki tarah ise use karna bhi bahut hi aasan hai. Jab yeh machine bhi computer ki tarah work karegi to es machine ke dvara kiye ja rahe kam me koi kami bhi nahi rahegi esliye CNC user ke dvara bahut badi matra me use ki jati hai aur yeh apne kshetra ki sabse jaruri machine ban gayi hai.

Market me kayi tarah ki new CNC machine available hai jo alag-alag tarike se apne axis par work karti hai. Kuch CNC machines Horizontal axis to kuch Vertical axis me kam karti hai. Niche maine iske kuch namo ke ke bare me bataya hai. Jise padh kar es machine ki dusri kismo ke name bhi jan sakte hai.

Types of CNC Machine : Machine ke prakar

H.M.C. - Horizontal Machining Center

T.M. - Turno Mill

V.T.L. -Vartical Machining Laeth

V.M.C. - Vertical Machining Center


En sabhi machines ka work karne ka tarika alag-alag hai. Different feild me iska different use hai. Kisi machine me Tool move karta hai par kuch machines me picture aur tool dono move karte hai. Es machine me work piece karne ka tarika bhi thoda alag hota hai koi machine work piece ko Hydraulic ke dvara uthaya jata hai. To kisi machine me work piece ko Nut and bolt ki help se uthaya jata hai.

Yeh bhi padhe:-

Work piece jis par hume work karna hai, ko nut-bolt se uthane ka tarika Manually Clamp, kaha jata hai. Isme hume spare parts ko machine par rakh kar set karne ke baad work karna hota hai.

CNC Machine ke Axis, Offset ki jankari

Es machine me X aur Z, do axis hote hai. Yeh dono (X, Z) + aur - dono me kam karti hai. X-, X+, Z-, Z+
X Axis me work piece ke Dia ko control kiya jata hai. Aur sath hi Z me part ki Thickness ko control kiya jata hai. Jo yeh fix karta hai ki part ki motai kitni rakhni hai. Iske baad bari aati hai es machine ke offsets ki to es machine me 3 offsets hote hai- Geometry, Work shift, Wear. Wear offset me kisi bhi part ko dala jata hai. Iski kuch limits hoti hai jaise ek bar me .1 mm ya .5 mm par Geometry Offset me esi koi limit nahi hoti hai. 

CNC Machines ka upyog kaha par hota hai?

CNC ka upyog lagbhag har jagah jaha par kisi Solid (ठोस) me kuch khas work karna ho. Jaise- Rod me hole karne Ya usme kuch points banane ke liye kiya jata hai. Yeh machine different layers me dusri layers ko disturb kiye bina work kar sakti hai.

  • Pistol Diy- Ji ha dosto bilkul thik padha hai Aapne es machine ka use Pistol ki Diy banane me bhi kiya jata hai.
  • 3D CNC Carving- Iska use 3D look me Carving ke liye bhi kiya jata hai. Jisse hum aasani se kisi Piece par 3D design bana sakte hai.
  • Different layer ke saath Kisi solid material ko katne, Design dene ke liye.
  • CNC ka use ek board par circuits banane ke liye bhi kiya jata hai jaise- Motherboard 

 CNC machine se fayde hai? 

  • CNC machine se hum kam time me normal ke mukable jyada production kar sakte hai.
  • CNC se bane product ki quality jyada acchi hoti hai.
  • New employee bhi kam time me ise aasani se use karna sikh sakta hai.
  • Product design ka pura control hamare hath me hota hai apne hisab se hum product me modification kar sakte hai.
  • CNC machine ka setup costly hota hai magar isse bane product cheap hote hai.
Iske alava aur bhi kai sari jagah par es machine ka use kiya jata hai. Ab mai is site par CNC machine se related sari jankari jaise- CNC machine kaise chalate hai, CNC program kaise banate hai, CNC machine ki puri jankari share karne vala hu.

Isliye agar Aapko es post se related koi problem hai to niche diye comment section me jaye aur apni comment submit kare hum Aapko uska jawab jarur denge.

Tag:- cnc machine kya hai, cnc machine ki jankari, cnc machine meaning, cnc machine in Hindi,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare