Mobile me Play Store kaise Download aur Install kare?

Hey guys kya aap Android mobile user hai. Aur apne android mobile ke liye Play store dhund rahe hai. Kyonki Play store par aapko free me bahut sare apps download karne ko milte hai. Esliye Google Play store bahut hi popular hai. Lekin jab aapne mobile me apps ko download karne ke liye Play store dhunda to nahi dikhai diya yani ki aapke mobile me Play Store nahi hai. So guys aaj mai aap logo ko Play Store download kaise kare aur download karne ke baad play store install kaise karte hai ke bare me puri jankari dene vala hu.

Lekin agar aap nahi jante hai ki Play store kya hota hai aur kis company ka hota hai to niche likha description jarur padhe.

Play Store kya hota hai?

Sabhi Android mobile me kisi bhi App ko download karne ke liye hume ek App store ki jarurat padti hai. So Google LLC ne ise banaya hai. Taki koi bhi mobile user yaha se apni pasand ka App download & use kar sake. Yaha par aapko millions number me App mil jayenge. Vo bhi Play Store verified jo ki mobile ke liye harmful nahi ho. Esliye Apps download karne ke liye best App Store mana jata hai. 
play-store-kaise-downloa-kare
Vese to Sabhi android mobile me Play store already installed hota hai. Lekin ho sakta hai ki kabhi galti se hamare haath se play store delete ho gaya ho aur play store nahi mil raha hai. To aapko phir se apne mobile me Play store ko download karna hoga. Uske baad hi aap Play protected/verified app ko download kar payenge.

Play Store Download kaise kare?

Friends jesa ki maine abhi bataya ki android mobile me apps download karne ke liye Play store best Store hai. Lekin agar aapke mobile se yah delete ho jaye to hume phir Play store download karna padta hai. To chaliye ise phir se kaise download aur install karte hai sikhte hai. Iske liye aap hamari niche batayi steps ko follow kare.

STEP :-1  Sabse pahle niche di gayi link ko web browser me open kare.
Is page par jane ke baad Play Store APK ko download kar lijiye. Kuch hi der me downloading process complete ho jayegi. Aur Play store ka icon dikhai dega.

STEP :-2  Simply ab aapko iske icon par click karna hai. Jisse installation start hone lagega. Tab sabse pahle aapko apna Play store ki id dalne ke liye kahega. Yaha par Existing aur New dono option milenge. Agar pahle se hi ID bani huyi hai to Existing par click kare aur login kare. Aur agar ID bani huyi nahi hai. To New par click kare aur to ise banaye.

Post👉 Play store ki ID kaise banaye?
Gmail ki Id aur play store ki Id dono ek hi hoti hai. Aap Gmail id se bhi login kar sakte hai.
STEP :-3  Gmail Id aur Password dalne ke baad ab play store download and is par account ban chuka hai.
Yeh bhi padhe👇
✔Play Store kaise chalaye?
✔ Play Store nahi chal raha hai?
✔ Gmail ID kaise banaye?

Friends Store ko download karne ke baad is par account banane ki process ko hi Play store install karna kahte hai. Ab agar in future iska new version aata hai. To ise update jarur kare.

Google Play Store Updates Download kaise kare?

Agar aap Play Store ki latest update pana chahte hai. To ise update jarur kar lijiye. Jiski steps maine niche batayi hai. Adhik detail se padhne ke liye Play store ko update kaise kare padhe.

STEP :-1  Play Store open kare aur left side me dikh rahe hai 3 line   par click kare.
play-store-setting-open-kare
STEP :-2  Line par clic karne ke baad bahut sare option khul jayenge. Ab aapko Play store Setting dikhega isme jana hai.
play-store-update-download-kare

STEP :-3  Setting ke last me jaye yaha par about section me Play Store Version likha dikhai dega. Is par click kare. Agar aapka Play store ka latest version download available hoga. To download hona start ho jayega. Aur agar up to date hai to Google Play store is up to date ka notice show hoga.

I hope friends ab to aapko samjh me aa gaya hoga ki Play Store download karna kitna aasan hai. Aur ise install karna bhi kina simple hai. Agar aapko steps follow karne me problem aati hai. To hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare