Jio Tune Deactivate/band kaise kare

Jio ne internet par dhamaal macha rakha hai isme koi shak nahi ye hum bahut sari free service provide karta hai. Jisme se ek caller tune bhi hai. Hame jio me iski puri aazadi mil jati hai ki apni marzi ki call tune laga bhi sakte hai aur ise band bhi kar sakte hai. Par ese bahut sare log hai jinhe pata hi nahi ki ek caller tune lagane ke baad Jio tune band kaise kare isliye specially ese logo ke liye hamne is post ko likha hai jisme tune band karne ke bare me bataya hai.
Jio Tune Deactivate ya band kaise kare
Jio tune free hai par ye 1 mahine tak hoti uske baad aapko agar ye service use karna hai to fir aapko kuch paise dene hote hai par iska aasan tarika hai ki aap ek mahina hone se pahle ise deactivate kare aur baad me fir active karle isse aapko hamesha ye service free me hi mil jati hai. Isliye hame is service ko deativate karna aana chahiye. Chaliye dekhte hai ki Jio tune deactivate kaise karte hai.

Jio caller tune deactivate kaise kare full guide.

Jio tune ko band karne ke 2 raste hote hai 1 hum ise call karke hata sakte hai aur dusra isko message bhej kar deactivate kar sakte hai. hum aapko ye dono tarike bata rahe hai. Sabse pahle ise call karke deactivate karna sikhte hai.

Mathod-:1
Aapko 155223 is number par call karna hai dhyan rahe aap usi jio sim se call karne jisme jio tune band karna hai call lagne ke baad aapko kai option diye jayenge jisme se ek jio tune deactivate karne ka option bhi bola jayega. Fir wo ise band karne ke liye jis number ko dabane ke liye bole use dabaye. aapke isme caller tune deactivate ho jayegi.
Jio Tune Deactivate

Mathod-:2
Ab hum dusre tarike se yani ki message karke ise band kaise karte hai janenge. Sabse pahle aap apna message box khole aur ab message me type kare.


STOP

Aapko ise 56789 is number par send karna hai. Message sent hone ke baad aapko ek message aata hai jisme likha hoga your jio tune is deactivated successfully. Iska matlab aapki sim se jio tune service ko band kar diya gaya hai.
Jio Tune band
Dosto bas yahi 2 tarike the jisse ki ise deactivate kiya ja sakta hai ab aap bhi in steps ko follow karke badi aasani se Jio call tune ko deactivate kar sakte hai. Aapko ye post achcha laga hai yaar ise share karo aur hume support karo.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare