Message kyo nahi ja raha hai OR Send nahi ho raha kya karu?

Hi Friends, Welcome to the www.karekaise.com Aaj hum aap logo ko mobile ki ek esi general problem ke bare me batane vale hai. Jo har kisi mobile ko user ko mobile chalate time kabhi na kabhi dekhna padti hai. Aur phir user iska solution dhundta hai. Yeh problem kuch aur nahi balki Mobile se message send nahi ho raha hai Ise local language me Message nahi ja raha hai problem ke name se bhi jante hai. 
message-nahi-ja-raha-hai-ya-send-ho-raha-hai
Aksar dekha gaya hai ki user Google par search karte hai. Vo bhi different tarike se ki Mai apne mobile se Text message nahi bhej pa raha hu, message send nahi ho raha hai to kya kare, Sim se message nahi ja raha hai etc.

To aaj hum is problem ka Solution dene vale hai. Jiske baad aap phir se mobile se text message bhej payenge aur apni messaging kar payenge. Agar aapke Jio Phone se message nahi ja raha hai to yah post padhe.

Agar Mobile se message nahi ja raha hai to iske kuch karna hote hai. Un sabhi karan ke bare me maine niche bataya hai aur phir unke saath hi message nahi jane ke karan ka solution bhi diya hai.

Message kyo nahi ja raha hai? Message nahi jane ke kya karan hai?

Guys vese to Message nahi ja raha hai ke bahut se karan hote hai par maine yaha par jitne bhi karan hote hai. Un sabhi karano ka jawab diya hai. Aapko one by one sabhi problems ko padhna hai aur jo problem lage uske solution ko try karna hai. Taki aap phir se message bhejna jari kar paye.

1. Message service Deactivated:-  
Agar aapne new sim card kharida hai aur usse message send nahi ho raha hai. To iska sidha sa karna yeh hai ki aapke number par Sim company valo ne abhi tak, Text message service activate nahi kari hai. Yani ki message service deactivate hai.

Answer: Agar aap chahte hai ki mai apne mobile se message bhej saku. To, iske liye aapko Customer care valo ko call karna hai aur apne number par message service activate karvana hogi. Uske baad hi aap message send kar payenge. Ya phir message service activate karne ka SMS bhi send kar sakte hai.

2. Message App problem:-
Friends kabhi kabar esa hota hai ki hamare Text message app me kisi tarah ki koi problem aa gayi hogi. Ya jyada Data collect hone ke karan memory full ho sakti hai.

Answer: Agar aapko lagta hai ki message app me bahut sare message hai. To aapko ise restore kar dena chahiye. Iske liye aapko Message App ko kuch der tap karke rakhna hai. Aur iske App info me jana chahiye.
message-nahi-ja-raha-hai-to-app-info-me-jaye
 Phir aapko app info se Message app ka Clear Data kar dena chahiye. Jisse app ki sari settings default ho jayegi aur data clear ho jayega.
message-app-ka-clear-data-kare
Phir aapki message kyu nahi ja raha hai ki problem ka solution ho jayega.

Message kyo nahi ja raha hai? [General problem]

3. Wrong Setting:-
Jab customer care vale hume setting send karte hai aur agar hum us setting ko thik se save nahi karte hai. To, text message setting failed ho jati hai jisse message nahi ja raha hota hai.
Answer: Message setting proper tarike se configure aur save nahi huyi hai. To aapko customer care me call karke unhe message setting phir se send kane ke liye kah dijiye. Vo setting send kar denge use apne mobile me Save kar lijiye. Phir aap bina kisi tarah ki problem ke kisi ko bhi message send kar payenge.
    4. Insufficient Balance:- 
    Agar aap kisi ko message send kar rahe hai. Bar bar kar rahe hai aur message is not able to send dikha raha hai to isme aapki galti ho sakti hai. Ise janne ke liye niche likhi baat padhe.
    Answer: Message 2 tarike ke hote hai. Ek to Text aur dusra Multimedia. Agar aap main balance ya phir message pack se message send kar rahe hai vo to thik hai par kya aap yeh jante hai ki.
    balance-nahi-hone-se-message-nahi-ja-raha-hai
     In dono message ke charges/rate alag hote hai. Agar aap main balance se Multimedia message send kar dete hai to ho sakta hai yeh aapka charge jyada le le aur pahle se aapke phone me balance kam ho to. Esliye koi bhi message send karne se pahle apne mobile ka balance check kar lijiye. Kyonki agar balance nahi hoga to aap message send hi nahi kar payenge.

    Yeh bhi padhe๐Ÿ‘‡
    WhatsApp download nahi ho to kya kare?
    GBWhatsapp Download kare?
    Whatsapp ID kaise banaye?
    Call nahi lage to kya kare?

    5. Network Problem:-
    Agar aap kab se message bhejne aur call karne ki koshish kar rahe hai par naa to call connect ho raha hai aur naa hi message send ho raha hai.
    Answer: Upar bataye anusar agar aapke sath yeh sab ho raha hai aur apni is shikayat ko karne ke liye customer care ko call kar rahe hai aur unhe bhi call nahi lag raha hai. To aapko sabse pahle yeh check karna chahiye ki aap mobile me Network hai bhi ya nahi. Agar mobile me network nahi hai to aap sim card ko mobile se nikale aur phir se dale. Phir network check kare. Agar network aa jata hai to aap message send kar payenge.

      Last Word:-

      Agar itna sab karne ke baad bhi message send nahi ho raha hai. To apni sim card retailer/mobile technician ke pass jaye aur unhe apni problem bataye. Vo aapki problem ko solve kar denge aur agar message service ya mobile me koi problem hogi to vo bhi thik kar denge.

      So Guys is tarike se aap apne mobile se message nahi ja raha hai ya message send nahi ho raha hai ki problem ka solution kar sakte hai. Aur agar iske baad bhi koi problem aati hai. To hume comment kar jarur bataye. Taki hum aapki madad kar sake.

      Tag:- message nahi ja raha hai, message send nahi ho raha hai, message nahi jaye to kya kare, message kyo nahi ja raha hai,

      Show comments
      Hide comments

      2 comments:

      1. Sir mere pas airtel ki sim h usme maine 35 ka recharge bhi karwaya h fir bhi incoming or outgoing call nhi ho pa rhi h please help me sir

        ReplyDelete
        Replies
        1. Suraj ji ho sakta hai ki Phone me call barring activated hai. Esliye aap call barring kya hai jane. Kyonki agar aapke phone me yeh On hai to incoming/outgoing call band ho jati hai.

          Delete

      Apna Comment Kare