Phone Call nahi lag raha hai? Call nahi lagne ke karan

Hi friends, Aaj phir hum bat karne vale hai mobile ya sim card ki general problem ki jise hum call nahi lag raha hai kahte hai. Yeh problem kabhi na kabhi har kisi user ko aati hai aur is problem ke chalte hum kisi se call nahi laga pate hai. Jisse hamari kisi se bat nahi ho pati hai. Jab hume koi urgent kaam ho aur esi situatation me sim se call nahi lag raha hai to kya kare. Yaha par hume yah samjh me nahi aata hai ki yeh problem hamare Sim ke karna ho rahi ya hamare Phone ke karan. Phir log Internet par search karte hai ki Phone se call nahi lag raha hai kya kare.
phone-call-nahi-lag-raha-hai-kya-kare
Yaha is post me humne call nahi ja raha hai ke sabhi karna bataye. Jise padh kar aapko pata chal jayega ki aakhir hamare phone/sim card kisme problem hai.  To chaliye shuru karte hai.

Phone Call nahi lag raha hai karan?

Dosto call nahi lagne ke kayi sare karan ho sakte hai. Jise humne niche ek-ek karke bataya hai. Jise padhne ke baad me aap samjh jayenge ki kis karna se aapke phone se call nahi lag raha hai aur call nahi lagne ki problem ko kaise thik kar sakte hai.


 1 Call service Deactivate

Agar aapne kaphi dino se mojuda sim card se koi activity nahi kari hai yani ki apne mobile number par koi recharge nahi karvaya hai aur naa hi sim se call ya message kar rahe hai. To, esi condition me sim company valo ko esa lagta hai ki yeh user ab sim card use nahi kar raha hai. Aur vo sim use nahi karna chahta hai. Esliye vo sim ki service jaise- calling service, Text message service ko off kar dete hai. Agar aapke sath bhi esa hua hai to aapko usi company ke sim card se apne number par calling service ko activate karvana hoga.

sim reactivation customer care me call kare
Jab aap dusre phone se customer care ko number reactivation karne ke liye kahenge. To vo aapse verification ke liye kuch sawal puchh sakte hai. Jese ki- Last time recharge kab karvaya tha, Sim card kiske name se hai, Sim kab buy kari thi, kitne dino se koi call ya message nahi kiya hai etc. Is tarah ke Sawal puchhe jane par in sabhi bato ka sahi jawab dijiye. Agar customer care vale aapke jawab se satisfied hote hai to vo aapke number ko phir se activate kar denge. Reactivation ki process ko complete karne ke liye aapko apne number par 10 Rs. tak recharge karne ke liye kaha jayega.
 2.   Network Problem

Network Problem, Yeh problem sabse normal problem hoti hai kyonki aksar yeh samsya har kisi phone me aati rahti hai. Chahe vo android phone ho ya phir keypad. Kayi bar esliye bhi call nahi lag pata hai. Kyonki aapke phone me network nahi aa raha hai. Agar normal network problem hogi to pahli step ko follow karne se hi thik ho jayegi.
(i) To sabse pahle aap yeh chek kar lijiye ki aapke Display me network show ho raha hai ya nahi. Agar network show nahi ho raha hai. To aapko ek bar apne phone ka switch off aur on karke dekh lijiye aur agar phir bhi netwok nahi aaye. To phone se sim card nikal dijiye aur phir se phone me dal kar phone start kar network check kare.


(ii) Agar sirf normal problem hogi to upar bataye tarike se hi thik ho jayega aur agar nahi hota hai to yeh point follow kare. Agar aap kisi area me hai jaise:- Village me, jaha par network ki problem hai aur call nahi lag raha hai to aapko us area ke bahar jane par phone automatically network search kar lega. Aapko kuch karne ki jarurat nahi hai.

 3.  Insufficient Balance

Agar aapke sim card me Balance 1 Rs. se kam hai to aap kisi ko call nahi kar sakte hai. Esliye apne sim ke balance check karne ka USSD code dial kare aur mobile me kitna balance hai check kar lijiye.
call-nahi-lag-raha-hai-to-recharge-karvaye
Agar 1 Rs. se kam hai to aapko sabse pahle apne number par recharge karva lena chahiye. Uske baad number dial kare call nahi lag raha hoga to lag jayega.


 4 Call Barring

Maine apni ek post me aapko bataya tha ki call barring kya hoti hai aur kaise kaam karti hai. Agar aap iske bare me nahi jante hai to call barring post padhe. Agar aapke phone me network bhi mil raha hai par call nahi lag raha hai to aage padhe. Call barring, ek hidden & Important call setting hoti hai jisse aap apne number par aane vali, jane vali ya esa kahe ki sabhi incoming aur outgoing call ko band kar sakte hai. Ho skta hai ki aapne apne sim card me outgoing call setting activate kar rakhi ya kisi ne galti se on kar diya ho. Esliye Call barring me Outgoing calls ko Off  kare.
Dial pad > Call setting > Advance > Call barring > Turn off Outgoing call [Yadi on hai to]

Sim se call nahi lagne ke karan(kaaran)

 5. Call Divert

Call divert, yeh bhi ek important setting hai. Agar aap kisi vyakti ko call kar rahe hai aur sirf use hi call nahi lag raha hai aur lagta bhi hai to kisi aur number par call divert ho raha hai. To, Iska karan yeh hai ki jis vyakti ko aap call kar rahe hai usne apne number par aane vali call ko divert kara hua hai yani ki agar koi bhi use call karega to call use naa lagte hai huye dusre number par divert/forward ho jayegi. Esliye aap us vyakti ko Text message send kar is bare me bata dijiye. Jisse use yah pata chal jayega ki uski incoming calls divert ho rahi hai aur kisi dusre number par jaa rahi hai taki vo call divert ko off kar sake. Aap chahe to call divert kaise hataye post padh sakte hai.
 6. Broken Sim card

Ho sakta hai ki Sim card nikalne ya lagane me aapse koi galti ho gayi hai jiske karna usme koi crack pad gaya ho. Jisse us sim card ke circuit/chip me error aa gayi ho aur aap network bhi show nahi ho raha hai aur call nahi lag raha hai. 
To ese me aapko us sim ko dusre phone me dal kar check kare ki vo sim card dusre phone me work kar rahi hai ya nahi. Agar work karti hai to aapke sim me problem hai. ab aapko new sim card buy karna hogi.


Agar aap isi sim card ko phir se New karna chahte hai to Sim ke retailer ke pass jaye aur unhe sirf apna aadhar card dekar sim phir se new karva lijiye. Jisse aapko usi number ki sim phir se mil jayegi. Aur agar aapki sim achank se band ho chuki hai aur use phir se chalu karna chahte hai to band sim chalu kaise karte hai post jarur padhe.

 7.  Sim Port Damaged

Har bar yeh jaruri nahi hai ki sim card me ya sim setting me problem ho. Esa bhi ho sakta hai ki aapke phone ka sim port damage ho gaya ho jisse Phone, sim card ke data ko read nahi kar paa raha ho aur network bhi search nahi kar payega. Tab aapko phone ko repair karvane ki jarurat hai. Jab aap sim port ko repair karva lenge to call nahi lag raha ki problem ka solution ho jayega.

 8.   Call Drop

Call drop agar sim card ka chip ganda ho gaya hai ya damage/tut gaya hai. Jisse network prolem hone lagti hai to ise call drop kahte hai. Isme call to connecting ki process to hoti hai par bell nahi jati hai aur sirf call hang hone lag jati hai. jise call drop kahte hai.
 9.   Restart phone
Phone call connect nahi hone ki problem mobile me normal bhi ho sakti hai. Yeh jaruri nahi hai ki koi problem ho. Esliye apne phone koi switch off-on karke dekh lijiye. Agar normal network/mobile problem huyi to phone restart karne se hi thik ho jayegi.

 10.   Network jam
Agar aap kisi esi jagah par hai jaha par bahut sare log hai like- kisi bhid vale ilake mai to. Esi jagaho par network problem hona normally hai. Kyonki esi jagaho par ek saath itne user hone se network catch karne me problem hoti hai aur call nahi lag pata hai. Jab aap is jagah se bahar niklte hai to aapko message se pata chalta hai ki kis-kisne aapko call kiya tha. Jab aap us jagah se bahar ho jayenge to automatically incoming call aur outgoing calls start ho jayegi.

Iske alava kabhi esa bhi hota hai ki jab hum kisi esi jagah par jate hai jaha par koi khas vyakti aa raha hai. Jaise man lijiye ki aap PM Narendra Modi ji ki sabha me ja rahe hai to security ko najar rakhte huye vo log sabhi mobile networks ko jam kar dete hai jisse call nahi lag pata hai. Esliye chinta ki koi baat nahi hai. Jese hi aap us jagah se bahar niklenge network normally ho jayega. 


Upar bataye in tariko me se koi bhi problem phone call nahi lag raha hai ke liye apply ho sakta hai esliye inhe try kare. Phir aapke phone se call nahi lag raha hai ki problem end ho jayegi. Agar aapko phir bhi koi problem aa rahi hai to hume comment kar bataye hum aapke sawal ka jawab jarur denge.

Tag:- call nahi lag raha hai, call kyu nahi ja raha hai, jio se call nahi ho raha hai, call kyu nahi ja raha hai airtel, call nahi lag raha in english, call nahi lag raha in english

Show comments
Hide comments

4 comments:

  1. Phone nahi lag rha hai balance hai or is sim ko.hamesa upyog karte hai aaj bat Kiya for phone Laga rhe hai to.nahi lag rha hai Dayal no nahi ho rha hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Esa tab hota hai jab network me problem ho to esliye aap ek bar phone ko restart kar lijiye. Aur agar network ki problem hai to network kyo nahi aa raha hai post padhe.

      Delete
  2. Lava z92 mobile se me coll nahi karparaha hun Amaniye namber bataraha he kuch namber per kuch namber per coll lagta he

    ReplyDelete
    Replies
    1. Vijen Ji, Yaha par iske 2 karan ho sakte hai.
      1. Jis number par aap call kar rahe hai uske aage +91 ya 0 laga kar bhi try kar lijiye.
      2. Jis number par call nahi lag raha hai use dusre sim se call karke bhi try kar lijiye. Agar usse lag jata hai to yeh sim card ki problem hai.

      Delete

Apna Comment Kare