Jio Phone me Sms/Message kaise bheje.

Hi friends, aaj hum phir se bat karne vale hai Jio phone ke bare me. Telecom company Reliance ne apna Jio phone launch kiya tha aur kuch hi dino pahle Jio ne apna ek aur Phone : Jio Phone2 bhi launch kar diya hai. Jio phone kam budget me ek featureless phone hai jo ki user ko kai sari facilities provide karata hai.
jio-phone-se-message-kaise-bheje
Esliye yeh phone user ko kaphi achchha bhi laga hai. Aaj hum is phone ke bare me janne vale hai ki Jio me message kaise bheje. Jio phone se text message send karne ki process dusre mobile ke jaisi hi hai par thodi si alag hai esliye aaj hum yeh post likh rahe hai.

Jio Phone se SMS kaise bheje?

To chaliye jante hai ki bade hi aasan tarike se apne dosto ko Jio phone se message kaise send karte hai? How to send message from Jio phone in Hindi.


 STEP -: 1  Jio phone se message bhejne ke liye sabse pahle aapko Menu ka button dabana hoga jisse Jio phone ka Menu open ho jayega. Menu open hone par aapko Message (संदेश) likha dikhai dega.
jio-phone-se-message-bhejne-ka-tarika

 STEP -: 2 OK button daba kar Message ko open kare. Yeh ek Inbox open hoga. Chunki aapko message send karna hai esliye Left side dikh rahe button New message (नया संदेश) dabaye jisse New message writer open ho jayega.
jio-se-sms-kaise-bheje
 STEP -: 3 Ab New message open hone par aapko display me 2 option dikhai denge.  Ek To (प्रति) aur dusra Message (संदेश).


To (प्रति) : To me aapko jis vyakti ko message send karna hai ya to uska mobile number dale ya phir Add contact button daba kar Contact se select kare.
jio-se-sms-send-kare
Message (संदेश) : Yeh message write box yaha par aapko Text Message type kar message likhna hai joki selected contact ko send karna chahte hai.
To me, number dalne aur Message me, Text type karne ke baad me aapko Send ke button par click karna hai. Iske baad aapke Jio se Text message send ho jayega.
To is tarike se aap log badi hi aasani se apne Jio phone se kisi bhi number par Text message/SMS send kar sakte hai. Aapko post kesa laga hume comment kar bataye.

Show comments
Hide comments

1 comment:

Apna Comment Kare