Google : Gmail par photo kaise lagaye

Agar aapne ek new gmail account banaya hai aur gmail default profile picture ko change karna chahte hai. To iske liye aapko niche batayi kuch simple si steps ko follow karna hai. Agar aap default profile picture use karte hai aur kisi ko bhi email karte hai, gmail id se kisi Blog, Youtube channel par comment karte hai to vaha par bhi hamari gmail default profile picture show hoti hai.
gmail-profile-photo-kaise-lagaye
Par aap chahe to apni gmail account ki profile ko picture ko badi hi aasani se badal sakte hai. Dusri social media sites ki tarah hum google gmail ki profile picture ko change kar sakte hai. Jiske baad agr aap kisi ko email karte hai ya kahi comment bhi karte hai to vaha par aapke dvara uploaded profile picture show hogi. To chaliye jante hai ki Gmail par new profile picture kaise lagaye?

Gmail Profile picture kaise lagaye ya change kare?

Dosto Mobile and computer dono me gmail profile photo change karne ka tarika ek jesa hi hai. Esliye aap isi steps ko follow kare.

Step1:- Gmail profile picture lagane ke liye sabse pahle aapko Gmail login karna hoga. Iske liye aap niche di gayi link se bhi direct sign in / login kar sakte hai.



Step2:- Gmail par login karne ke baad aapko left side me upar ki aur dikh rahe hai default profile picture par click karna hai. Jisse user account & profile ke option open ho jayenge. Jisme aapko default profile picture ke niche dikh rahe Change button ko click karna hai.
gmail-new-profile-lagaye

Step3:- Ab aapke samne Select profile picture ke name se ek Pop windows open ho jayegi. Jisme aapko 3 option dikhai denge. Upload photos, Photo of You aur Your Photos. Hum yaha par apni pasand ka profile photo upload karna chahte hai esliye Upload Photos me Select a photo form computer par click kare. Jaha se aap apne gmail account ke liye photo select & upload kar sakte hai.
gmail-par-new-profile-upload-kare
Step4:- Photo upload karne ke baad photo crop kare aur Set as profile photo par click kar dijiye.
New profile picture upload hone ke baad Ab aap dekh sakte hai ki Gmail account ka profile picture change ho chuka hai aur new photo upload ho chuka hai. To is tarike se aap badi hi aasani se kisi bhi gmail account par photo dal sakte hai.

Show comments
Hide comments

1 comment:

  1. Bahat hi acha information share kiya he sir.
    Thanks for sharing this helpful knowledge.

    ReplyDelete

Apna Comment Kare