Jio Phone me Hotspot kaise chalaye or chalu kare? [2019]

Hy Guys, Agar aapke pas Jio phone hai aur aap Jio phone me hotspot chalane ka tarika dhund rahe hai. Taki aap dusre phone me internet data share kar sake. To humne is post me Jio Phone me Hotspot kaise chalate hai. Iske bare me detail se bataya hai. Bahut sare Users ko yeh pata nahi hai aur confirm bhi nahi hai ki kya hum Jio phone me Wifi-hotspot chala sakte hai. Jio phone me hotspot hai bhi ya nahi.

To hum aap logo ko bata dena chahte hai ki Jio ne apna featureless phone nikala hai. Isme kayi sari tools and function like: Jio Tv, Jio movie, Jio Whatsapp, Jio phone me Xender aadi diye gaye hai. Jisse yah hamare liye kam budget me featureless phone ban jata hai.
Agar kuch din pahle ki baat ki jaye to Jio phone me WiFi ka option to tha. Lekin hotspot yani ki internet connection share karne ka option nahi tha lekin. Ab Jio Phone ke Latest update me yeh feature available hai. Jisse aap internet share karke Jio phone ka data dusre phone me wifi se internet connection join kar sakte hai. Aur Jio phone se dusre android mobile me internet chala sakte hai.
jio-phone-me-hotspot-kaise-chalu-kare
Agar aap nahi jante hai ki Jio phone me hotspot kaha hai aur Jio me wifi hotspot kaise chalaye to is post ko pura jarur padhe. Jisme hum aapko steps by step puri jankari share karenge.

Jio Phone me wif hotspot kaise download kare?

Dosto, Jesa ki maine aapko bataya ki Jio phone featureless phone hai. Isme aapko alag se koi chij download karne ki jarurat nahi hai. Simply apne Jio phone ki Settings me jakar Jio phone software update kar lijiye. Jiske baad se hotspot ka feature add ho jayega.

Jio Phone me hotspot kaise chalaye?

Agar aapne abhi tak apne Old Jio phone software ko update nahi kiya hai. To aaj hi apne Jio phone ko  update kar lijiye. Update karne ke baad Automatically Jio phone me hotspot ka option Setting me add ho jayega. Yeh option kaha par hai aur ise kaise use karna hai. Janne ke liye niche batayi steps ko follow kare.

Method: 1 

STEP :-1  Sabse pahle aapko Jio phone ki Setting me jana hai.
jio-phone-me-wifi-hotspot-chalaye
STEP :-2  Ab Setting me Network & Connectivity tab ke last se dusre number par Internet Sharing ka option dikhai dega ise Open kare.
jio-network-sharing-me-jaye
STEP :-3  Ab hotspot ki setting open ho chuki hai. Ab apne Jio phone me hotspot ke liye Hotspot ko Name and Password set kar dijiye. Iske baad hotspost On kare. Agar aap password set nahi karenge to koi bhi aapke Hotspot ko connect kar lega aur data use karega.
wifi-hotspot-on-kare
STEP :-4  Jab aap ise on karenge to confirmation ka ek notification milega. Tab ise Turn On kar confirm kare.
turn-on-kare
So friends is tarike se apne update Jio phone me wifi hotspot chala sakte hai aur Jio phone ka data share kar sakte hai. Aur dusre mobile me internet chala sakte hai.


Yeh bhi padhe 👇
✔ Jio number Call transfer kaise kare
✔ Band sim chalu kare
✔ Message nahi jaye to kya kare
✔ Jio Phone Blacklist kaise kare

Method: 2 

Jio Phone me Bluetooth ko hotspot kaise bananye?

Is method me hum Bluetooth ke dvara Jio phone ka internet dusre mobile me share karne vale hai. Iske liye aapko bas 4 steps ko follow karna hai.

STEP :-1  Jio phone ki setting me jaye aur Bluetooth ko enable/on kare.

STEP :-2  Ab jis android phone me internet chalana hai uske Bluetooth option me jana hai aur Jio phone ke Bluetooth device name ko search kar ise Pair karna hai.

STEP :-3  Jio phone ko Bluetooth pair kar lene par aapko ab android mobile me Bluetooth name ke piche ek settings ka icon dikhai de raha hoga us par click kare aur Internet access ko enable/on kar dijiye.
jio-phone-bluetooth-se-internet-chalu-kare

Jese hi aap Android  mobile me jio Bluetooth name vale device ko pair karenge. Aur Internet access ko mark karenge to aapke dusre phone me Jio phone se internet data share hone lag jayega. Aur Jio 4g internet chalu ho jayega.

So friends is tarike se aap apne Jio phone me hotspot chalu kar sakte hai. Aur Jio Phone ka internet data share kar sakte hai. Agar aapko abhi bhi hotspot connectivity me problem hai to hume comment kar jarur bataye.

Tags:- Jio phone me hotspot kaise chalaye, Jio phone ka data share kare, Jio phone me hotspot kaise chalu kare,

Show comments
Hide comments

8 comments:

  1. Bhai jio phone me software ko dabane ke bad bhi mere hotspot nehi aya

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapko internet data connect karke Jio Phone ka software update karna hai. Uske baad phone restart hoga aur phone me hotspot feature jud jayega.

      Delete
  2. bhai ji maine do bar shoftwear update kiya,aur shoftwear update bhi hua par ab tak hotspot nhi aya ,mera f120b moddel hai,kripya jaldi bataiga bhai ji,

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bhai maine jab Phone update kiya to mere phone me automatically yah feature add ho gaya tha. Abhi aapke pas Jio phone ka konsa modal hai bataye?

      Delete
  3. Bhai ji mera f120b moddel hai ,maine do bar update kiya ,tab bhi hotspot nhi aya ,bhai ji jaldi btana.

    ReplyDelete
  4. bhai mere mobile mai interndtsering ka oftion nai ata

    ReplyDelete
    Replies
    1. Jio phone ko update kar lijiye. Yah feature add ho jayega.

      Delete

Apna Comment Kare