Incoming Call kaise band kare? Call block/band karna sikhe.

Kya aap apne mobile par aane vali call jise hum Incoming call kahte hai. Inse pareshan ho chuke hai aur chahte hai ki aap jab bhi koi kaam kare. To koi bhi vyakti ko aapko call nahi kar paye. Yani ki Incoming call band karna chahte hai. Taki koi disturb nahi kar sake. 

Esliye aaj mai Call setting ke very useful feature ke bare me batane vala hu. Jiske bare me aapne suna to hoga aur kisi ko use karte bhi dekha hoga. Par kabhi use nahi kiya hoga jise hum Incoming call band karna ya apne mobile par aane vali Incoming Call ko block karna bhi kahte hai. Local language me hum ise Incoming call deactivation karna kahte hai.

Agar aapne abhi tak is hidden setting ka upyog nahi kiya hai. aur ise kaise karte hai. Is bare me nahi jante hai. To, aapko chinta karne ki koi jarurat nahi hai. Kyonki aaj hum is post me aapko is Incoming Incoming call deactivate karne ke bare me detail se batane vale hai.
incoming-call-kaise-band-kare

Aap koi kaam karte huye call se disturb nahi ho paye. To is wish ko puri karne Call barring setting aapki help karegi. Iske alva aap chahe to Call Divert karke bhi aap call ko dusre number par divert kar sakte hai. Mai aapko bata dena chahta hu ki yeh kisi company ki koi service nahi jiske liye aapko alag se kisi tarah ka Pay karne ki jarurat nahi hai. Yeh service bilkul free hai. App ise free me apne mobile me Setting kar sakte hai.
Incoming call setting, Yeh Call barring ki ek setting hai. Agar aap call barring ke bare me nahi jante hai to jarur padhe. Hume isme sim card ke liye kuch special settings milti hai. Jisse hum incoming call aur outgoing call ko deactivate kar sakte hai. Agar aap nahi jante hai ki incoming call kya hoti hai. Aur kis tarah se hum Sim ki sabhi Incoming call ko band kar sakte hai. To is post ko pura jarur padhe.

Incoming Call meaning in Hindi.

Man lijiye ki agar aapke Office se aapke mobile par Call aa raha hai. To is call ko aapke number par aane vali Incoming call kaha jata hai. Simple words me kahte to mobile ya sim par aane vali kisi bhi tarah ki call ko incoming call kaha jata hai. Chahe vah Voice call ho ya Video call ise hum Incoming Call hi kahenge.

Yeh to ho gaya Incoming call ka matlab. Ab hum jan lete hai ki Incoming call ko band kaise karte hai. Aur kis tarah se hum Incoming call ko band karna sikh sakte hai.

Incoming Call band kaise kare?

Dosto Incoming call ko band karna sikhane ke liye. Niche batayi Step with images ko follow karna hoga. Uske baad me aap bhi apne kisi bhi mobile ki Incoming call ko band kar sakte hai. Yaha humne Incoming calls ko deactivate karne ke liye 2 tarike bataye hai. Aap dono me se kisi bhi tarike ko apna kar incoming ko block kar sakte hai.
  1. Android Application se
  2. Call Setting (wtihout using any App)
Yeh ek free service hai iske liye aapko koi paise dena ki jarurat nahi hai.
Tarika:1)

Sim ki Incoming Call kaise band kare? [App Method]

Aap mobile ki sabhi incoming call ko band karna chahte hai. To Call Blocker app use kare yeh App isme aapki madad karega. Bas aapko is App ko apne android phone me download karna hai aur setting ko enable/chalu karna hai. Jiske baad sabhi Incoming phone call band/deactivate ho jayegi.

STEP :-1  Upar di gayi link se pahle apne mobile me. Call Blocker android app download and Install kar lijiye.

STEP :-2  Ab is App ko open kare aur Blocking Tab me jaye. Tab image me dikhaye anusar aapko display show hogi.
STEP :-3  Tab isme aapko All calls ko mark kar dena hai. Jiske baad moblie par aane vali sabhi incoming call band ho jayegi.
call-blocker-app-se-incoming-call-ko-kaise-band-kare
Is App ki khas bat yeh hai ki is setting ko On/chalu karne ke baad bhi. Aap chahe to selected numbers ke liye Incoming call ko on rakh sakte hai. Jise hum "Whitelist" ke name se jante hai aur is App me yah option isi name se diya hua hai. Par whitelist ka use karne ke liye aapko Pay karna hoga. Kyonki yeh App whitelist ko manage karega aur selected number ki calls ko hi aane deta hai.

Yeh bhi padhe:-
Tarika:2)

Incoming call band karna hai? [Call Setting Method]

Agar aap kisi App ko download nahi karna chahte hai. Aur Manually tarike se Incoming call band karna chahte hai. To aapko niche likhi steps ko follow karna hoga. Bas hidden setting ko enable/on karna hai. Jiske baad mobile par koi bhi incoming call nahi ho payegi. Jab tak ki aap ise band nahi kar dete hai.


STEP :-1  Dial pad me jaye aur left side me dikh rahe 3 dots ko click kare. Yaha par 2 option- Call setting aur General setting ke name se option show honge. Tab Call setting me jaye.
dialad-me-jaye
STEP :-2  Ab Call settings open ho jayegi. Yaha par aapko Calling account ya Advance setting dono me se kisi bhi name se ek option dikhai dega use Open karna hai.
incoming-call-deacitvate-kare

STEP :-3  Is group me aapko Call Barring likha dikhai dega ise click kar open kare.
call-barring-me-jaye

STEP :-4  Ab Mobile me lagi sim card ke name show honge. Tab aapko us sim card select karna hai. Jiski Incoming call band karna chahte hai.
STEP :-5  Aap jese hi is setting me enter karoge. Aapko bahut se Setting option dikhai denge. Jise kab aur kaise use karte hai maine niche detail se bataya hai.

Call Barring Options kaise use kare:-
  • All Outgoing Calls
Isse hum number se jane vali sabhi call ko band karte hai.
  •  International Outgoing Call
International outgoing call band kar sakte hai.
  • All Incoming Call
Is setting ko on karne ke baad se, Aapke mobile par koi bhi Incoming call nahi aayegi yani. Ki koi aapko call connect nahi kar payega.

Chunki abhi hume Incoming call band karna hai. Esliye All Incoming call option ko click kar dena hai.
incoming-call-band-karne-ka-password

STEP :-6  Setting on karne par ek box aayega. Jisme aapko call barring password dalna hoga. Tab apne phone ka default phone code/password dalna hai. Kyonki maximum time call barring password phone ka default password (0000) hi hota hai. Ab vo password dal karke OK kare.

Jiske baad se agar aapko koi bhi call karega to vyakti aap se call connect nahi kar payega. Jab tak ki aap is setting ko disable/band nahi kar dete hai.

Incoming Call Activate or chalu kaise kare?

Agar aapne is setting ko kisi karan se chalu kiya tha. To aapko yad se is setting ko band kar lena chahiye. Kyonki jab tak aap is setting ko turn off nahi kar dete hai. Aapke mobile par koi bhi call nahi aayega. Ab incoming call chalu or On kaise karte hai. Janne ke liye niche batayi setps ko follow kare.

STEP :-1  Friends, Upar batayi Step3 tak aapko same steps follow karna hai.

STEP :-2  Abhi Incoming call setting ka option on hai. Tab aapko is par click karke is option ko band kar dena hai. Jiske baad phir se aapke number par Incoming call chalu ho jayegi. Aur koi bhi aapko ek hi bar me call connect kar payega.
incoming-call-chalu-kare
So dekha friends, Upar batyai setting's steps ko follow karke. Aap sabhi incoming call band karna sikh sakte hai. Aur better tarike se samjh paye esliye humne 2 method batayi hai. App ki help se aur dusra Manual setting setps ko follow karke. Lekin friends ek baat ka dyan rakhe kaam pura hone ke baad. Yaad se Incoming call ko chalu bhi kar lijiye.

Aapko hamari yeh post kesi lagi hume comment karke jarur bataye aur Agar aapko in steps ko follow karne me koi problem hai to hume bataye. Saath hi isi tarha ki new post pane ke liye Email subscribe kare.

Tags: Incoming call band kare, Incoming call band kaise kare, Incoming call band karna hai, Incoming call block, phone se call nahi lage kaise kare,

Show comments
Hide comments

6 comments:

  1. Incoming call on phone par code dalna hota hai USka code kya hai Batadijiye bina code ke nahi hota hai

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sabhi Mobile ke liye code alag-alag hota hai. Aap google par apne mobile name ke saath search karne par milega. Example:- Mi note4 call barring code.
      Ya phir aap mujhe apne mobile ka name, model number bata dijiye mai uska code bata dunga. Taki aap Incoming call ko band kar sake.

      Delete
  2. Mobile name(Galaxy On7 Pro)
    Model no(SM-G600FY)

    ReplyDelete
  3. Ni ho rha h bhai maine google pe search bhi kiya redmi y2 call barring code to 1111 aaya vo daala ni ho rha hh

    ReplyDelete
    Replies
    1. Redmi Y2 ka by default code 0000 hota hai ise try kare.

      Delete

Apna Comment Kare