Facebook Lasso App kya hai? Lasso kaise use kare.

Hi Guys, Aaj kali short and entertaining videos banane ka trend bahut chal raha hai. Bahut saare log apni social media platforms par apni videos me comedy, dancing, vines, dialogue video bana kar apni profile par launch kar rahe hai aur is tarah ki video ko banane ke liye Play store par apps bhi available hai aur isi trend ko aage badhane ke liye Facebook ne bhi apna "Lasso" App launch kiya hai. Is app me bhi aap yeh sab kuch kar sakte hai. Lasso app ko dusre App ke competition me launch kiya gaya hai. To chaliye jante hai ki Lasso kya hai aur Lasso kaise kaam karta hai?
lasso-app-kya-hai

Lasso kya hai?

Lasso app Facebook company ke dvara launch kiya gaya ek app hai. Jiska use kare aap apni funny, dialogue, vines, comedy video bana sakte hai. Sath hi video ko attractive banane ke liye aap video me Effect and Text bhi dal sakte hai. Filhal is app ko iOS aur Android user ke liye U.S. me launch kiya gaya hai aur kuch hi samay me Lasso app ko India me bhi release kar diya jayega.

Lasso app par aap apni 15 seconds ki video bana kar apni profile par upload karke publicly share kar sakte hai. Lasso app se sirf 15 seconds ki video hi bana sakte hai. Agar aapke andar Talent hai aur dusro ko dikhana chahte hai to Facebook Lasso app se hum apna talent video ke dvara logo tak share kar sakte hai. Filhal me Tik Talk app bahut trend me chal raha hai. TikTalk chines company hai jisne Musically app ko khud me merge kar liya hai aur yeh app India, Pakistan, China me bahut popular hai aur isi app ko takkar dene ke liye Lasso app ko bhi launch kiya hai.

Lasso Kaise Use Kare?

Agar aap Lasso use karne chahte hai aur apni short video banana chahte hai to iske liye aapko sabse pahle apne mobile me Lasso app download and install karna hoag. Uske baad hi aap ise use kar payenge. Abhi Lasso App Play store par available nahi hai. Isliye aapko ise niche di gayi link se hi download karna hoga aur install karna hoga.


 1.  Lasso App download karne ke baad ise install and open kare.
lasso-instal-kaise-kare

 2.  Open karne par aapko Lasso sign up karne ke liye kahega. Yaha par aap Facebook account se login karke Lasso par account bana sakte hai.
lasso-account-kaise-banaye

 3.  Sign up karne ke baad aap dekh payenge ki dusre logo ke dvara Publish ki gayi short and funny video dikhayi jayegi.
 4.  Apni khud ki short funny, mimicry, vines, lyrics sync jesi video banane ke liye Bottom Left side me dikh rahe Lasso button par click kare. Jisse video camera open ho jayega aur phir aap bhi apni video bana sakte hai aur Lasso par video share kar sakte hai.

Dosto hamari yeh post Lasso kya hai aur Lasso kaise use kare kesa lage hume comment kar jarure bataye aur is post ko apne dosto ke sath share karna nahi bhule. Isi tarah ki latest update post pane ke liye hamari website ko subscribe kare.

Yeh bhi padhe:-

Tags: Lasso kya hai, Facebook lasso kya hai, Lasso app kya hai, Lasso video app, lasso kaise use kare, lasso app download kare,

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare