Passport Size photo kaise banaye | Computer/Mobile में

Passport size photo ek esa photo jiska use apni pehchan batane ke liye kisi bhi document ya form ke saath attach kiya jata hai. Jisse aapki identity ka verification ho sake. Aaj kal lagbhag sabhi jagah par passport size photo ka use to kiya jata hi hai chahe vo normal form ho exam form, Job, vacancies har jagah par passport size photo ka upyog kiya jata hai.
passport-size-photo-kaise-banaye
Agar aapke ghar me printer hai aur aap chate hai ki mai ghar bethe hi apne passport size photo bana lu aur mujhe alag se paisa kharcha na karna pade ya aap Passport size photo kaise banate hai sikhna chahte hai. Aur saath hi janna chahte hai ki India me passport size photo ka size kitna hota  hai to hamari is post ko pura jarur padhe.

Kyonki is post me humne passport size photo banane ki puri jankari di hai. Jisme hum aapko Mobile aur computer me passport size photo banana sikhane vale hai. To chaliye ab jante hai ki kis tarah se hum passport size photo bana sakte hai.

Mobile/Computer se Passport Size photo kaise banaye?

Passport size photo banana bahut hi aasan hai. Jis kisi ka bhi passport size photo banana hai hamare pas uska camera se khicha hua front face photo hona chahiye. Camera  ka photo esliye kyonki usme picture quality achi aayegi aur photo ke pixel thik rahenge.


Computer Method

Photoshop se Passport size photo kaise banaye?

Step1:- Jis kisi bhi photo ka photo ka passport size photo banana hai use file me jakar Open kar lijiye.
photosop-me-photo-open-kare
Step2:- Ab Crop tool ki help se us photo ko crop kar lijiye. Abhi Crop karne ke baad is imaze ki size humne nahi pata hai ki yeh passport size ki photo se jyada hai kam esliye hum ab is image ki size ko passport size photo me fit kar denge.
crop-tool-se-photo-crop-kare
Step3:-  Size change karne ke liye aapko upar Menu me dikh rahe Image ke option me jakar Image size ko open karna hai. Jisse Image size ke name se ek windows open hogi jisme photo width aur height niche bataye anusar dalna hai aur Ok kar dena hai.
india-me-passport-size-photo-ki-size-kitni-hoti-hai

India me passport size photo ki size kitni hoti hai?

Width - 3.5 cm aur height - 4.5 cm , Resolution - 300

Jisse crop huye photo ki size is passport size photo me change ho jayegi.

Step4:- Ab aapko File me jakar ek New page open karna hai. Aap jitne photo nikalna chahte hai us anusar new page ki size select kare. Hum yaha par A4 size ka New page open kar rahe hai. Is size ke page me 30 passport size photo ek saath Print kar sakte hai.

Step5:- Ab aapko Move tool ki help se is crop kiye gaye photo ko New page me drag karke lana hai aur paper me fix jagah par rakh dena hai. Ab hum is ek photo ki help se pure new page me Alt button ke sath photo drag karke passport size photo pure page me bana denge.
move-tool-se-passport-photo-drga-kare
Jesa ki aap upar image me dekh sakte hai ab kuch is tarah se pure page me Passport size photo ban jayenge.

Mobile Method

Mobile se Passport size photo kaise banaye?

Step1:- Mobile se passport size photo banane ke liye humne Play store se ek app download karna hoga jiska link humne niche diya hai jiski help se hum mobile me passport size photo bana sakte hai.

  Download

Step2:- Ab is app ko open kare yaha par passport size photo banane ke liye aapko 2 option milenge. Camera, Gallery. 
photo-select-kare
Agar aapke pas Gallery me photo available hai to select kare ya phir Camera par click kar new photo click kar select kare.

Step3:- Photo select karne ke baad uski editing start kare ya phir automatically adjust karne ke liye auto adjust karke Done kare.

Step4:- Uske baad Country select kare jisse selected photo country ke according passport size fit ho jayega.

passport-size-country-india-select-kare
Phir Done kare aur iske baad agar aap color change karna chahte hai to vo kar lijiye aur Final check me Save par click kare aur Type: PNG karke Save kar dijiye.

Yeh bhi padhe:-

To is tarike se aap apne mobile me app ki help se aur computer me Photoshop se passport size photo bana sakte hai aur printer se print kar sakte hai. Passport size photo banane me koi problem aarahi hai to hume comment kar jarur bataye.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare