Tally kaise chalaye?

Hi guys, Picchli 2 post me humne Tally ke bare me jana tha. Jisme humne bataya tha ki Tally kya hai aur Tally kaise sikhe. Iske baad Aaj hum Tally kaise chalaye ke bare me janne vale hai. Agar aapne apne computer me Tally install kar liya hai aur ab use chalana chahte hai par aapko Tally ke bare me kuch jyada jankari nahi hone ke karan aap Tally use nahi kar paa rahe hai to is post me humne Tally chalane ke bare me bataya hai jise padh kar aap aasani se Tally chalana sikh sakte hai.
tally-kaise-chalaye
 To chaliye jante hai.

Tally chalana kaise sikhe?

Tally chalana sikhne ke liye sabse pahle aapke computer me Tally ERP hona chahiye agar aapke computer me tally nahi hai to niche diye gaye link se computer/laptop me Tally ERP download kar lijiye aur phir Tally install kar lijiye.

Tally install karne ke baad me Desktop par Tally ka ek shortcut icon ban jayega ise Right click kar Open kare.

Tally me Comapny kaise banaye?

Tally open karne par par aapko create company ka option dikhai dega. Us par jaye aur Enter kare.
tally-chalana-sikhe
Jisse aapke samne Company Creation ka form open ho jayega jisme aapko company ke details fill karna hogi. Jise humne niche bataya hai. Aap niche batayi detail ko padh kar Tally me company bana sakte hai. Ache se samjhne ke liye humne ek image bhi diya hai jisse aasani se samjh payenge.
 1.  Sabse pahle aapko Company ke liye name dalna hai aur Enter karna hai.

 2.  Ab company ka address enter kare.

 3.  Ab country section me jate hi left side me aapke samne Country list open ho jayegi isme se country "India" select kar Enter kare.
tally-company-banane-ka-form-kaise-bhare
 4.  Ab aapko State select karna hai jiski list bhi aapke khul jayegi select kare Enter button dabaye.
Ab aapko Address ka Pin code enter karna hoga.

 5.  Ab contact Details ka start hoga jisme aapko apni contact details dalna hogi jaise:- Phone no, Mobile no, Fax no, E-mail, website. Jo details aapke pas available hai vo bhar dijiye.

 6.  Ab aapko Financial year ki detail dena hogi. Jisme aapko yeh batana hoga ki Financial Year kab se start ho raha hai aur aap isme kab tak work karna chahte hai. Example:- Financial year begin form : 01-01-2018, ending date 31-12-2019 dal kar enter button dabaye.
 7.  Ab Enter ka button dabad kar aage badte jaye. Base currency symblo me rupess symbol karna hai. Vese to yeh automatically select ho jayega kyonki humne country India select kara hai phir Enter dabaye.
 8.  Ab Right side me aapke samne Accept ka ek notification box aayega jise aap keyboard se "Y" button daba kar phir select kar sakte hai ya Enter button bhi daba sakte hai.

Ab aap dekh sakte hai ki company ban chuki hai. Aap dekh sakte hai ki Left side me Company ka name aur Financial year starting-Ending dono show kar raha hai. Ab aap is company me entry kar company account ko manage kar sakte hai.

Aasha karta hu ki aap logo ko samjh me aaya hoga ki kis tarah se hum Tally chala sakte hai. Next post me hum aapko Tally me Entry karne ke bare me batayenge.

No comments:

Post a Comment

Apna Comment Kare