Tally kya hai? Tally ERP 9 ki puri jankari

Hello Guys, Aapko yeh to pata hoga ki aaj ke time par apne Business ko handle karne ke liye hume tej aur satik kaam karne ki jarurat hoti hai. Aapne kuch bhi galti kari to aapka account disturb ho sakta hai. Agar ek vyakti kisi business ko handle kare to usse galti hona normal hai kyonki kahi na kahi koi galti to ho hi jati hai. Lekin agar hum satik, tej aur safe tarike se kaam karne ki jarurat hai to hume ek software ki help lena padti hai aur is tarah ke kaam ke liye Tally Software ka use kar sakte hai.
tally-kya-hai-puri-jankari

Tally ki help se hum badi hi aasani se apne business, Individual account ko manage kar sakte hai aur balance sheet, profit & loss nikal sakte hai. Is post me aaj hum aapko Tally ke bare me detail se batane vale hai. Jisme hum aapko batane vale hai ki- Tally kya hai, Tally ka full form, Tally par kaam kaise kare aur Tally ERP kya hai, Ghar bethe Tally kaise sikhe, Tally.ERP9 download kaise kare?

Tally kya hai? टैली क्या है?

Tally ek accounting based software hai jiska use Statement, Balance sheet, Business account ko manage karne, business me ho rahe expense and spent, account ka profit aur loss nikalne ke liye, account ka record rakhne ke liye Tally ka use kiya jata hai. Isme bas hume Ledger create karke Vouchers me entry karna hoti hai.

Tally me hum kisi bhi company ka account create karke uski sari chijo ki usme entry kar sakte  hai. Jaise- kitni tarikh ko kya chij aayi aur vo kitne me padi us par kitna bhada laga aur yeh product humne kise becha, kitne me becha, kya humne usse pura payment le liya hai ya abhi bhi baki hai aadi jesi sabhi chijo ki entry hum Tally me kar sakte hai aur jarurat padne par in sabhi chijo ko check bhi kar sakte hai.

Tally ka full form in Hindi

Tally ka full form, Transaction Allowed in a Linear Line Yards hai. Yeh ek Indian multi national company hai jo Enterprise Resource Planning software (उद्यम संसाधन योजना सॉफ्टवेयर) available karti hai.  Tally ka Headquarter Bangalore, Karnataka, India me hai. Tally ek bahut hi upyogi aur safe software hai jo ki logo dvara bahut pasand kiya jata hai. Tally ne bataya hai ki iske 1 Million se bhi adhik user hai aur India ke outside bhi Tally ko dusre desho me use kiya jata hai..

Tally ERP Version kya hai?

Tally Solutions Pvt. Ltd. samay-samay par Tally ke updates karti rahi hai aur isme new features add karti hai. Har bar yeh apne new features update karne ke baad software ka name me bhi change- ERP7, ERP8.1, ERP9 kar deti hai.
Tally ka sabse pahla version 4.5 tha aur ise DOS ke liye 1990 me launch kiya gaya tha. Phir iske Tally 5.4, Tally 6.3, Tally 7.2, Tally 8.1 launch kiye the. Tally ka latest version Tally ERP 9.0 hai jo ki hume complete business solution deta hai saath hi GST ko calculate bhi kar deta hai.

Ghar bethe Tally kaise sikhe?

Agar aap Tally sikhna chahte hai to iske pahle aapko Tally ke kuch basic word aur unke matlab pata hona chahiye. Taki jab jab aap Tally me accounting kare to aapko koi dikkat nahi aaye.
  • Assests
Tally se judi chije jo Tally karne ke liye jaruri hoti hai. Inhe aap inhe business ki sampatti(Assets) kah sakte hai.
  • Creditor
Jinhe hamare business ka payment dena hota hai unhe accounting me Creditor ke name se jana jata hai.
  • Capital
Kisi bhi Business ko start karne me laga investment Capital amount kaha jata hai. Yeh capital Assets ke rup me bhi ho sakta hai.
  • Cash Transaction
Jo Transaction cash payment me kiye jate hai unhe Cash Transaction kaha jata hai.
  • Cash Discount
Agar koi user nishit samay ke liye available kisi product ko kharidta hai to us product kharidne par mili chhut ko Cash Discount kahte hai.
  • Credit Transaction
Jin Transaction ko kisi credit par kiya jata hai use Credit Transaction kahte hai.
  • Debtor
Jinse business ko payment lena hota hai unhe Debtor kaha jata hai.

  • Liability
Business ko start karne me agar koi chij karj (Loan) ke rup me li jati hai to use Liability kahte hai.
  • Ledger
Tally me Ledger ek book hota hai jisme Personal, Real aur Nominee ke sabhi account hote hai.
  • Transaction
Business me ho rahe len-den ko hi Transaction kaha jata hai.

Tally.ERP 9 Download kaise kare?

Tally ERP 9, Tally ka latest version software hai. Agar aap apne computer me download karke use karna chahte hai. To sabse pahle aapko computer me ise download karna hoga. Niche humne Tally download karne ka link diya hai jaha se aap ise download kar sakte hai.


Iske baad mai aapko Tally kaise sikhe aur Tally kaise chalate hai ki puri jankari share karne vala hu. Agar aapko Tally nahi aata hai aur Tally ke bare me detail se janna chahte hai to hamari website ko subscribe kare taki new post notification aapko mil sake. Aur dosto hamari yeh post Tally kya hai kesa laga comment kar jarur bataye.

Show comments
Hide comments

5 comments:

  1. आपने Tally के बारे में काफी अच्छे से समझाया। Tally के बारे में लोग सुनते तो बहुत है, पर इसके काम की जानकारी बहुत कम लोगो को होती है, ऐसे में आपकी पोस्ट लोगो के Tally के ऊपर सवालो के जवाब देगी।
    मेने भी एक पोस्ट Tally full form पर लिखी है

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank You Sam. Maine aapka Blog dekha bahut hi achchha hai and Keep Visiting on our blog.

      Delete

Apna Comment Kare