Band Sim kaise Chalu kare hindi me puri janakri.

Hey friends kya aapka kisi bhi sim company like:- airtel, idea, Vodafone sim band ho chuka hai. Aur ab aap band sim chalu karne ka tarika dhund rahe hai. To yaha is post me mai aapko kisi bhi company airtel, idea, Vodafone band sim chalu or band sim reactivate karna ki puri process batane vala hu.

Abhi kuch dino se yah problem bahut dekhne me aa rahi hai. Ki achank se sim band ho jata hai jisse incoming aur outgoing calls band ho jati hai. Aur esi situation me agar Number important hai to aap iska use nahi kar payenge. Iske liye aapko jaldi se apni band sim ko chalu karna padega. Iske alava aur bhi problem aane lagti hai. Jaise:- sim me network nahi aana, call nahi lagna, mobile se message send nahi hona etc. aur maine inme se lagbhag sabhi topic par post bhi likhi huyi hai.
band-sim-chalu-kaise-kare

Lekin Sim card block hona ya band hona ek badi problem banti ja rahi hai. Mere ek user ne Pichhle kuch dino pahle mujhe comment karke pucha ki - Mera Sim band ho chuka hai, ab mai apni band sim ko reactivate kaise karu. To maine is problem ka solution dene ke liye. Aaj yeh post likh raha hu aur aap logo ke saath share karunga ki agar future me kabhi aapka mojuda sim band ho jaye aur mobile se call/message nahi ho to esi situation me kya karna hai aur apni band Sim ko chalu kaise karna hai.
Vese, Sim me itni aasani se to koi problem nahi aati hai. Par kuch galtiyo ke karan esa ho sakta hai. Aur hamare mobile ki Sim band ho jati hai. To aapko chinta karne ki koi jaruat nahi hai mai iska pura solution dene vala hu. Sim deactivate hone me Grace peroid ek bahut important chij hoti hai. Esliye maine Grace Peroid kya hota hai, Sim band hone ke kitne dino ke baad me bhi hum ise phir se chalu ya reactivate karva sakte hai. Aur apne sim ka mobile number vapas kaise paa sakte hai.

Band Sim chalu karna sikhe? Sim Deactivate hone ka karan aur upay.

Dosto, Jesa ki maine upar kaha ki Sim card itni aasani se band/deactivate nahi hota hai. Isme hamari kuch mistake hoti hai. Jiske karan sim band ho jata hai. Esa nahi hai ki ab hum band sim chalu nahi kar sakte hai. Balki aap bahut hi aasani se ghar bethe hi niche bataye tariko ko padh koi bhi idea, vodafone, airtel band sim chalu kar sakte hai.

Karan:1)
Agar user sim card use nahi karta hai. Aur apne number par recharge nahi karvata hai. To jiske karan sim card use ho raha hai ya nahi pata nahi chal pata hai. Esliye Telecom Regulatory Authority of India jise hum (TRAI) ke name se bhi jante hai, Isne kuch rules banaye hai. Jiske anusar agar hum  Sim card ko 90 dino tak use nahi karte hai Ya 35 Rs. ka recharge nahi karvate hai. Yani ki agar hum apne mobile se incoming call, outgoing call nahi karte hai, sim se message send nahi karte hai to. Telecom company esi situation me hamare Sim card ko Unregulated samjh leta hai aur hamari sim ko band kar deta hai. Jiske karan "Sim card band ya Temporary Deactivate" karna padta hai. Aur incoming/outgoing calls, message, hello tune band ho jate hai.

Upaay:1)
Jesa ki maine bataya ki Agar hum 35 rs. ka recharge nahi karvate hai. To sim ki outgoing, Incoming call band ho jati hai. Jiske karan hume sim band lagne lagti hai. Band sim chalu karne ke liye aapko har mahine 35 Rs. ka rechage karvana hoga.
grace-peroid-recharge-notice
Agar aap recharge nahi karte hai to 28 dino ke baad outgoing service band ho jati hai. Aur uske kuch hi dino baad incoming call bhi band kar di jati hai. Sim band hone ke pahle hume message send kiye jata hai. Taki hume is bare me jankari mil sake.

Grace Period kya hota hai? Band sim chalu karne ke liye jaruri Time

Karan:2)
Agar hum mobile me lagi sim ko 90 dino tak use nahi karte hai. To sim ko band kar diya jata hai. Phir hume band Sim ko chalu or Reactivate karne ke liye sirf 15 Days ka time diya jata hai. Jise Grace Period kaha jata hai. Agar hum Grace Peroid ke time me band sim ko Reactivate nahi karte hai. To sim company hamari mobile number ko deactivate kar deti hai. Aur kisi aur ko person ko provide kar sakti hai. Aur phir hamare paas vo number nahi rahega.


Upaay:2)
To jesa ki aapne upar padha ki sim se koi call, message nahi karne se Service provide us Sim ko band man leta hai aur Temporary deactivate kar deta hai aur agar phir Grace ki timing me bhi activation nahi karvata hai to sim band ho jati hai. So agar aap apne band Sim ko chalu karna chahte hai. Aur number nahi khona chahte hai to. Kisi bhi Mobile Store par jakar E-KYC karke Sim ko reactivate karvana padega.
band-sim-chalu-karne-ke-liye-ekyc-kare
Agar aapke pas Airtel ki sim hai to Airtel Store par jakar band Airtel sim ko Reactivate karvana padega. E-KYC karne ke liye saath me apna Aadhar Card lekar jaye. Jiske baad Sim chalu ho jayegi aur phir se incoming call, outgoing call, message, hello tune set kar payenge.

Band Sim reactivate karne ka last karan aur upaay.

Reason:3)
Agar karana 2 aur 3 ko try karne ke baad bhi band sim chalu nahi ho raha hai. To iska solution aapko is point me jarur milega. Kya aapke mobile message to ja rahe hai par call nahi lag raha hai aur call aa bhi nahi raha hai to. Iska sidha sa karan hai Calling services deactivation. Calling service deactivation yani ki number ki sirf calling service off hona.
Solution:3)
Calling service activate karne ke liye aapko us Sim ke service provider yani ki Company (Airte, Idea, Vodafone) me Customer care se bat karna hogi aur aapko yeh problem batana padegi. Vo aapko check karke bata denge yahi problem hai ya koi problem bhi hai.
sim-ki-calling-service-chalu-karne-ke-liye-customer-care-me-call-kare
Agar yeh calling service deactivation problem nikalti hai. To aap unhe phir se call service activate karne ke liye kah dijiye. Jisse aapke mojuda mobile number par incoming aur outgoing call service activate kar di jayegi.

To friends, Yah kuch poins hai jise padh aur try karke apni band sim chalu kar sakte hai. Agar iske baad bhi koi problem aati hai. To hume comment kar jarur bataye hum aapki help jarur karenge. Aap chahe to contact us form fill karke humse personally contact kar sakte hai.

Show comments
Hide comments

4 comments:

  1. Mera sim band kar diya gaya hi india ka no hi band hua 25 days ho gaya mana recharge nahi karya tha company bala massege diya tha hamna kabhi dhyan nahi diya customer care sa bat kiya tha ya khata hi ab chulu nahi hoga kaya kara mara mail id kamalkumod0000@gmail.com

    ReplyDelete
  2. Aapne dhyan nahi diya jiske karan sim ki Grace Period bhi expire ho chuki hai. So ab kuch nahi ho sakta hai. Aap customre care se contact kijiye agar vo is number ki sim fir se alot kar de to.

    ReplyDelete
  3. Mera sim block ho gaya hai ushe chalu kaise kare

    ReplyDelete
    Replies
    1. Aapko apne Service provider company ko dusre number se call karke is bare me batana hoga. Vahi batayenge ki sim kis karan se sim block hua hai.

      Delete

Apna Comment Kare